Marhuma Ne Hinda Ko Gusl Dene Ki Wasiyyat Ki Or Hinda Tab Haiz Se Ho To Hinda Ko Gusle Mayyat Dene Ka Hukm

 *Marhuma Ne Hinda Ko Gusl Dene Ki Wasiyyat Ki Or Hinda Tab Haiz Se Ho To Hinda Ko Gusle Mayyat Dene Ka Hukm*

*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamualaikum Hazrat 

Eik Khatoon Thi Jinki Wasiyat Thi Ke Jab Main Faut Hojau to Mujhe Hinda Gusl De Den

Per Us Waqt Hinda Haiza Thi to Kya Gusl De Sakti 

Aur Afzal Kya H Wasiyat Per Amal Kare Ya Kisi Aur Ko Gusl Dene Ke Liye Kahen

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
بسم اللہ الرحمن الرحیم 
Marhuma Maiyyat Ne Agar Apni Zindagi Me Ye Wasiyat Ki K Jab Me Mar Jau to Fulañ Aurat Mujhe Gusl De.. To Is Wasiyyat Ko Nafiz Karna Zaroori Nahiñ.. Kyu K Maiyyat Ko Gusl Dene Me Behtar Ye Hai K Us Ki Qaribi Rishtedar Orte Use Gusl De.. 

Fatawa Shami Kitabussalat, Salatul Janazah Me Hai,
لو أوصى بأن يصلي عليه غير من له حق التقدم أو بأن يغسله فلان لايلزم تنفيذ وصيته و لايبطل حق الولي بذلك
Aysa Shakhs Jis Ka Haq Muqaddam or Pehla Nahiñ Hai Agar Mayyat Ne Us Ke Bare Me Wasiyyat Ki K Woh Meri Namaze Janaza Parhaye Ya Woh Mujhe Ghusl De to Is Wasiyyat Ko Nafiz Karna Zaroori Nahiñ. Yaani Is Se Wali Ka Haq Batil Na Hoga. 

Bahare Shareeat Hissa 4  Me Hai,
Behtar Hai K Mayyat Ko Nehlane Wala Us Ka Sab Se Qaribi Rishtedar Ho.

Niz Usi Me Hai.
Nahlane Wala Ba Taharat Ho, Junub Ya Haiz Wali Aurat Ne Gusl Diya to Karahat He Magar Gusl Ho Jayega.
*📚(Bahare Shariyat, H-4, Mayyat Ke Nahlane Ka Bayan, Mas'ala-4)*

Lihaaz Aap Ne Jo Surat Puchhi Hai Usme Maiyyat Ki Wasiyyat Par Amal Karna Zaroori Nahiñ.. Neez Haiz Ki Halat Hone Ki Wajah Se Us Ke Gusl Dene Me Karahat Bhi Hogi.
و اللہ تعالیٰ اعلم بالصواب
*✍🏻Al-Jawab: Hazrat Allama Hafiz Taufiq Raza Khan Misbahi Sahab Qibla*
*_📬Qazi E Shahar, W Sadar JRM Petlad Branch_*
*🗓️6 Nov 2024, 3 Jamadi Ul Awwal 1446*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad Gujrat_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
*Amanat Me Khayanat Na Kare Yaani Post Me Tabdili Karne Ki Ijazat Nahiñ. Agar Kuchh Khami Ya Lafzi Galti Nazar Aaye To Admin Se Rabta Kare*

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?*

 *Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?* *🌹SAWAL:-🌹* اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ Jacket Ki Chain K...

Popular Posts