Masjid Ke Dusre Floor Par Namaz Padhna Kesa ? Tanha Sunnat Wagairah Padhne Ka Bhi Kya Hukm He?

 *Masjid Ke Dusre Floor Par Namaz Padhna Kesa ? Tanha Sunnat Wagairah Padhne Ka Bhi Kya Hukm He?*

*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamualaikum Wa Rahmatullah 
Kiya Hazart Agar Masjid Me Phele Maala Khaali Hai Aur Dusre Maale Pe Namaz Padna Kaisa Jamaat Ke Baad Sunnate Aur Nafl Namaz Pad Sakte He Aisa Dusre Maale Pe ?

*🌹JAWAB:-🌹*
اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ
Masjid Do Manzila Ho Ya Teen Manzila Our Niche Ke Maale Me Jagah Khali He to Bila Zaroorat Upar Jaana Makrooh He..
Haañ, Albatta Niche Ka Maala Bhar Jaye to Upar Ja Sakta He..

Jesa Ke Fatawa Faqih E Millat Me He,
Jab Masjid Do Manzila Ya Tin Manzila Ho to Imam Ko Niche Hi Namaz Parhana Chahiye, Niche Jagah Hote Huve Upar Dusri Ya Tisri Manzil Par Namaz Parhna Parhana Makrooh He Is Liye Ki Bila Zaroorat Masjid Ki Chhat Par Charhna Jaaiz Nahiñ. Haañ Agar Niche Jagah Na Ho to Upar Namaz Parhi Jaye.
*📚(Fatawa Faqihe Millat, J-1, S-195)*
Lihaza Niche Jagah Khali Hote Upar Na Jaye. Tanha Namaz Padhne Wale Ka Bhi Yahi Hukm He..
Wallahu Ta'ala Aa'alam Bis-sawab 
*✍🏻Al-Jawab: Hazrat Allama Mufti Qasim Raza Sahab Misbahi*
*📬Masjide Hazrate Bilal, Nadiyad, Gujrat*
*🗓️6 Nov 2024, 3 Jamadi Ul Awwal 1446*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+918
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad Gujrat_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
*Amanat Me Khayanat Na Kare Yaani Post Me Tabdili Karne Ki Ijazat Nahiñ. Agar Kuchh Khami Ya Lafzi Galti Nazar Aaye To Admin Se Rabta Kare*

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?*

 *Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?* *🌹SAWAL:-🌹* اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ Jacket Ki Chain K...

Popular Posts