Sunnate Gair Muakkidah Chhodne Wale Imam Ke Pichhe Namaz Ka Hukm ?

 *Sunnate Gair Muakkidah Chhodne Wale Imam Ke Pichhe Namaz Ka Hukm*

*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamualaikum,
Baad Salama Maulana Sahab Ki Bargah Me Sawal He Ki,
Agar Muqtadi Ayse Imam Ke Pichhe Namaz Padhta Ho Jo Imam Kaseat Se Sunnate Gair Muakkedah or Nawafil Chhodte Ho or Kabhi Kabhi Waqf Par Hazir Na Ho (Badgumani Nahiñ He) to Ayse Imam Ke Pichhe Namaz Ke Liye Muqtadi Ko Kya Hukme Shara'a Hoga ?

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Sunnate Gair Muakkidah Sunane Zawaaid He or Unka Tarq Karne Wala Gunahgar Nahiñ or Usse Muwakhiza Nahiñ, Lihaza Agar Koi Imam Sunnate Gair Muakkedah Ka Taariq He Ya Basa Awqaat Namaz Me Waqt Par Hazir Nahiñ Hota Lekin Namaz Padhta He to Isko Buniyad Bana Kar Uske Pichhe Namaz Na Padhna Ye Durust Nahiñ... Namaz Bilkul Jaaiz He or Uske Pichhe Namaz Padhne Me Koi Harj Nahiñ He..

Jaisa Ki Huzur Sadrushshariyah Alaihir Rahmato Ridwan Taherir Farmate Hai,
Sunnate Gair Muakkidah: Vo Ki Nazre Shara'a Me Aysi Matloob Ho ki Uske Tark Ko Napasand Rakhe Magar Na Is Had Tak Ki Us Par Waeede Azab Farmaye Aam Azeeñ Ki Huzur Saiyyede Aalam ﷺ Ne Is Par Mudaawmat (Hameshgi) Farmai Ya Nahiñ, Iska Karna Sawab or Na Karna Agarche Aadatan Ho Maujube Itaab Nahiñ.
*📚(Bahare Shariyat, J-1, H-2, S-283, Maktabul Madina)*
Wallahu Ta'ala Aa'alam Bis-sawab
*🎙️Al-Jawab: Hazrat Mufti Nizamuddin Razvi Amjadi Sahab*
*📬Khadimut Tadrees Jaamia Imame Aazam Abu Hanifa, Lucknow*
*🗓️13 Nov 2024, 10 Jamadi Ul Awwal 1446*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+91
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad Gujrat_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
*Amanat Me Khayanat Na Kare Yaani Post Me Tabdili Karne Ki Ijazat Nahiñ. Agar Kuchh Khami Ya Lafzi Galti Nazar Aaye To Admin Se Rabta Kare*

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?*

 *Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?* *🌹SAWAL:-🌹* اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ Jacket Ki Chain K...

Popular Posts