Witr Me Dua E Qunoot Bhul Gaya To Kya Kare ?

 *Witr Me Dua E Qunoot Bhul Gaya To Kya Kare ?*

*🌹SAWAL:🌹*
السلامُ علیکم ورحمۃاللہ وبرکاتہ
Agar Namaz E Witr Me Dua E Qunoot Padhna Bhool  Gaya Aur Ruku Me Chale Gye ...  to Namaz E Witr Ko Ab Kese Ada Kiya Jaye .. Kya Hukm Hoga ?? 

Zaid Ruku Me Chala Gya Tha to Usne Sajda E Sahu Kar Liya to Kya Uski Namaz Ho Gyi ? Ya Dohrani Hogi. ??

*🌹JAWAB:-🌹*
 علیکم السلام ورحمتہ اللہ وبرکاتہ
Ji Haañ Namaz Ho Gai Sajda E Sahw Se, Ruku'a Se Wapas Qayam Ki Taraf Qunoot Ke Liye Lautna Jaaiz Nahiñ.

Jaisa Ki Bahare Shariyat Me He,
Agar Dua E Qunoot Parhna Bhul Gaya or Ruku'a Me Chala Gaya to Na Qayam Ki Taraf Laute Na Ruku'a Me Parhe or Agar Qayam Ki Taraf Laut Aaya or Qunoot Parha or Ruku'a Na Kiya, to Namaz Fasid Na Hogi, Magar Gunahgar Hoga or Agar Sirf Alhamdu Parh Kar Ruku'a Me Chala Gaya Tha to Laute or Soorat W Qunoot Parhe Phir Ruku'a Kare or Aakhir Me Sajda E Sahw Kare. Yuñhi Agar Alhamdu Bhul Gaya or Soorat Parh Li Thi to Laute or Fatiha W Soorah W Qunoot Parh Kar Phir Ruku'a Kare 
*📚(Bahare Shariyat, H-4, Witr Ka Bayan, Mas'ala-6)*
Wallahu Ta'ala Aa'alam Bis-Sawab 
*✍🏻Al-Jawab: Hazrat Maulana Ashraf Qadri Alimi Sahab*
*📬Madarsa Lateeful Uloom, Raza Nagar, Jigna, Mirzapur, Up*
*🗓️15 Nov 2024, 11 Jamadi Ul Awwal 1446*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+918487928693
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad Gujrat_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
*Amanat Me Khayanat Na Kare Yaani Post Me Tabdili Karne Ki Ijazat Nahiñ. Agar Kuchh Khami Ya Lafzi Galti Nazar Aaye To Admin Se Rabta Kare*

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?*

 *Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?* *🌹SAWAL:-🌹* اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ Jacket Ki Chain K...

Popular Posts