*🌹SAWAL:-🌹*
Hazarat Ek Sawal Hai Kya Isha Ki Namaz Me Sirf 4 Farz Padhne Se Namaz Ada Ho Jayegi
Isha Ki Namaz Me Witr Na Padhne Ka Kya Hukm Hai Kya Sirf Farz Padhli Witr Na Padhi Namaz Hogi Ya Nai Hadees Ki Rosni Me Jawab Inayat Faramaye
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ
Witr Mazhabe Ahnaaf Me Wajib Hain Aur Wajib Ko Chhodna Na Jayiz W Haram Hai, Lihaza Witr Ka Tark Karne Wala Sakht Gunahgar W Mustahiqqe Etaab Hoga.. Albatta Farz Namaz Ho Jayegi Witr Na Padhne Ka Gunah Hoga...
Hadeese Paak Me He,
Abu Dawood W Tirmizi W Nasaai W Ibne Maja Maula Ali Radiallahu Anhu Se Raawi, Ki Rasoolallah ﷺ Ne Farmaya: Allah Witr He Witr Ko Mahboob Rakhta He, Lihaza Ay Qur'aan Waalo ! Witr Parho. Or Isi Ke Misl Jabir W Abu Hurairah Radiallahu Anhuma Se Marwi..
*📚(’جامع الترمذي ‘‘ ، أبواب الوتر، باب ماجاء أن الوتر لیس بحتم، الحدیث : ۴۵۳ ، ج ۲ ، ص ۴۔)*
*📚(Bahare Shariyat, H-4, Witr Ka Bayan, Hadees-4 Ta 6)*
Usi Me He,
Wite Wajib He Agar Sahwan Ya Qasdan Na Parha to Qaza Wajib He... اھ
*📚(Bahare Shariyat, H-4, Witr Ka Bayan)*
Or Farmate Hai,
Wajib Ka Ek Baar Bhi Qasdan Chhorna Gunahe Sageera He or Chand Baar Tark Karna Kabeera.
*📚(Bahare Shariyat, H-2, S-286)*
Wallahu Ta'ala Aa'alam Bis-sawab
*✍🏻Al-Jawab: Hazrat Mufti Muhammad Javed Khan Noori Bareilvy Sahab*
*📬 Noori Darul Ifta Jaamia Nooriyah Razviyah Bareilly Shareef*
*🗓️13 Dec 2024, 10 Jamadi Ul Aakhir 1446*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+9
*_📬Pathan Moin Raza Khan, Petlad Gujrat_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
*Amanat Me Khayanat Na Kare Yaani Post Me Tabdili Karne Ki Ijazat Nahiñ. Agar Kuchh Khami Ya Lafzi Galti Nazar Aaye To Admin Se Rabta Kare*
No comments:
Post a Comment