Zaid Ko Uski Beti Ki Shadi Me Zakat Ki Niyyat Se Kuch Raqam Dena Kesa ?

 *Zaid Ko Uski Beti Ki Shadi Me Zakat Ki Niyyat Se Kuch Raqam Dena Kesa ?*

*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamu Alaikum 
Hazrat Mera Sawal Ye Hai Ki Ek Bhai Ki Beti Ki Shadi Hai .
Usse Jarurat Bhi Hai to Kya Main Jo Rakam Dun to Usse Zakat Samajhkar De Sakta Hu ? Is Surat Me Zakat Ada Ho Jayegi ?

Aur Agar Main Apne Bhai Ko Du to Bhi Ada Ho Jayegi ?

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Jis Ko Diya Ja Raha He Agar Wo Shakhs Malik E Nisab Nahiñ He Our Zarooratmand He to Unko Zakat Ki Niyyat Se Diya Jae Our Us Maal Ka Usko Malik Bana Diya Jae to Zakat Ada Ho Jayegi..
Us Ke Liye Zakat Keh Kar Dena Zaroori Nahiñ Balki Bacchoñ Ke Liye Eidi Ya Apni Bachchi Ki Shadi Ke Liye Ba Tour Madad Keh Kar Dega Tab Bhi Zakat Ada Ho Jayegi..

Bahare Shariyat Me He,
Zakat Me Iski Zaroorat Nahiñ Ki Faqeer Ko Zakat Kah Kar de, Balki Sirf Niyyate Zakat Kaafi He Yahañ Tak Ki Agar Hiba Ya Qarz Kah Kar De or Niyyat Zakat Ki Ho Ada Ho Gai. Yuñhi Nazr Ya Hadiya Ya Paan Khane Ya Bachchoñ Ke Mithaai Khane Ya Eidi Ke Naam Se Di Ada Ho Gai. Ba'az Mohtaaj Zaroorat Mand Zakat Ka Rupya Nahiñ Lena Chahte, Unheñ Zakaat Kah Kar Diya Jayega to Nahiñ Leñge Lihaza Zakat Ka Lafz Na Kahe.
*📚(Bahare Shariyat, H-5, Zakat Ka Bayan, Mas'ala-76)*
Wallahu Ta'ala Aa'alam Bis-sawab 
*✍🏻Al-Jawab: Hazrat Allama Mufti Qasim Raza Sahab Misbahi*
*📬Masjide Hazrate Bilal, Nadiyad, Gujrat*
*🗓️18 Dec 2024, 15 Jamadi Ul Aakhir 1446*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+9184
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad Gujrat_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
*Amanat Me Khayanat Na Kare Yaani Post Me Tabdili Karne Ki Ijazat Nahiñ. Agar Kuchh Khami Ya Lafzi Galti Nazar Aaye To Admin Se Rabta Kare*

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Bachhe Ka Naam Kabir Rakhe, Ya Al-Kabir Ya Abdul Kabir?*

 *Bachhe Ka Naam Kabir Rakhe, Ya Al-Kabir Ya Abdul Kabir?* *🌹SAWAL:-🌹* Asalamualaikum, Kise Bache Ke Naam Kabir/ Al Kabir/ Abdul Kabir, in...

Popular Posts