*Zaid Ne Bakar Ko Paise Diye Ki Kisi Zaroorat Mand Ko De Dena Or Bakar Khud Zaroorat Mand He To Apne Sarf Me Lana Kesa ?*
*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamu Alaikum,
Zaid Ne Kisi Se Paise Liye Ki Fàlah Ki Beti Ki Shadi Hai Usne De Diye Magar Jiski Beti Ki Shadi Usne Kaha Hamara Sab Intizam Ho Gaya Hame zarurat Nhi Hai Paiso Ki Ab Toh Zaid Ne Jiske Paise the Usse Puch Kar Kaha Ki Kya Ham Aapke Paise Ab Kisi Nek Kaam Me De Sakte Hai Kya Usne Kaha Jo Aapko Acha Lage Kre Paiso Ka Toh Zaid Ne Wo Paise Kisi Ko De Diye Ki Wo Kisi Zaruratmand Ko De Dena Ya Masjid, Madarse Ke Kaam Me De Dena Magar Zaid Ne Jisko Paise Diye Usne Bataya Nhi Ki Wo Khud Hi Zaruratmand Hai Toh Wo Paise Usne Masjid, Madarse Me Nhi Diye Khud Hi Rakh Liye Toh Aise Me Zaid Ne Jisko Paise Diye Uspar Hukam Sarah Kya Hoga Kyo ki Wo Khud Zaruratmand Tha?
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ
اللهم هداية الحق والصواب
Zaroorat Mand Ki Madad Ye Hukme Baari Ta'ala or Sunnate Rasoolallah ﷺ He, Ye Neki or Bhalaai Ka Kaam He, Chunanche Qur'an Kareem Me Allah Ta'ala Irshad Farmaya He,
"وَتَعَاوَنُوا عَلَى الْبِرِّ وَالتَّقْوَى"الخ
*📚(Para-6, Surah Maaidah, Aayat-2)*
Tarjma: or Neki or Parhezgaari Par Ek Dusre Ki Madad Karo.
*📚(Kanzul Imaan)*
Hadeese Paak Me Irshad Hua,
Jo Sakhs Apne Bhai Ki Haajat Puri Karta He Allah Ta'ala Uski Haajat Puri Farmata He or Jo Koi Musalman Ki Musibat Ko Door Karega to Allah Ta'ala Qayamat Me Pesh Aane Wali Musibatoñ Me Kisi Musibat Ko Usse Door Farmayega. اھ ۔ Muttafiq Alaiha...
Chunanche Jis Shakhs Ke Supurd Maal Kiya Gaya or Malik Ne Kaare Khair Me Sarf Karne Ki Zaid Ko Ijazat Dedi Ab Zaid Ne Vo Maal Kisi Dusre Shakhs Ke Supurd Kar Diya Ye Kah Kar Ke Jo Zaroorat Mand Ho Is Maal Ke Zariya Se Uski Madad Karde Ya Phir Kisi or Kaare Khair Me Sarf Karde to Ye Jaaiz He..
Aala Hazrat Alaihir Rahma Ek Sawal Ke Jawab Me Irshad Farmate Hai,
"Chanda Ka Rupya Chanda Dene Waloñ Ki Milk Rahta He, Jis Kaam Ke Liye Vo Deñ, Jab Usme Sarf Na Ho, to Farz He Ki Unhiñ Ko Wapas Diya Jaye Ya Kisi Dusre Kaam Ke Liye Vo Ijazat Deñ, Unme Jo Na Raha Ho, Unke Warisoñ Ko Diya Jaye Ya Unke Aaqil Baalig Jis Kaam Me Ijazat Deñ. اھ ۔۔
*📚(Fatawa Razviya Mutarjim, J-23, S-563, Mas'ala-237)*
Hazrat Mufti E Aazam Alaihir Rahma Farmate Hai,
"Chanda Ka Rupya Chanda Dene Waloñ Ka He Ye Ameen He Jis Nek Kaam Ke Liye Unhoñ Ne Diya He Dayanat Ke Sath Use Usme Sard Kare or Sarf Na Ho to Laazim Jis Jis Se Jitna Jitna Liya Har Ek Ko Utna Utna Wapas De Ya Unki Ijazat Ho to Kisi or Jaaiz Kaam Ke Sarf Kare... اھ
*📚(Fatawa Muatafwiya, S-443)*
Lihaza Soorate Mas'oola Me Jab Malik Ne Jaaiz Kaam Me Sarf Karne Ki Ijazat Dedi to Vo Us Maal Ko Kisi Bhi Jaaiz Kaam Me Sarf Kar Sakta He Ya Kisi Ke Hawale Karde Is Shart Ke Sath Ke Jo Bhi Indush Shara'a Zaroorat Mand Ma'aloom Ho Uski Madad Is Maal Se Kardi Jaaye Ya Kisi or Jaaiz Kaam Me Is Maal Ko Istemal Kiya Ja Sakta He, Aysi Soorat Me Uske Liye Jaaiz He Ki Vo Is Maal Ko Zaroorat Mand Ki Zaroorat Pura Karne Me Sarf Kare Ya Kisi or Jaaiz Kaam Me Use Sarf Kade, Ab Jis Ko Diya He Vo Shakhs Khud Bhi Zaroorat Mand He to Ye Bhi Rakh Sakta He Haañ Munasib Ye He Ki Apne Istemaal Se Qabl Ek Baar Maal Dene Wale Ko Is Par Aagah Karde..
Wallahu Ta'ala Aa'alam
*✍🏻Al-Jawab: Hazrat Maulana Mufti Faiz Raza Khan Tahesini Mazhari Summa Manzari Sahab Qibla*
*📬Markaze Ahle Sunnat, Bareilly Shareef*
*🗓️8 Dec 2024, 5 Jamadi Ul Aakhir 1446*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+9
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad Gujrat_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
*Amanat Me Khayanat Na Kare Yaani Post Me Tabdili Karne Ki Ijazat Nahiñ. Agar Kuchh Khami Ya Lafzi Galti Nazar Aaye To Admin Se Rabta Kare*
No comments:
Post a Comment