Badmazhab Se Muamlaat Rakhne Wale Aalime Deen Par Hukme Shara'a Kya Hoga ?

 *🌹SAWAL:-🌹*
Assalamu Alaikum 
Muftiyan E Kiram Ki Bargah Me Sawal Arz Hai Ki ,

1 Sunni Aalim Deen Jab Kisi Badmazhab Ahle Hadees Se Khushi Se Mulaqat Kre Unke Madarsa Wagaira Me Jaye Toh Us Aalim E Deen Par Kya Hukoom Lagega? 
Baki Imam Yeh Bole Sunni Imam Ki Ham Unse Baat Krenge Jakar Unpr Hukoom?

Yani Wo Aalim E Deen Anjuman Ka Sadar Hai Filwaqt Me

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Badmazhab Se Mel Jhol Unke Sath Uthna Bethna Unse Baat Chit Karna Ye Shar'an Najaaizo Haram He, or Jab Koi Aalime Deen Kisi Badmazhab Ahle Hadees Se Mile to Ye Aur Zyada Sakht Mamnoo'a or Najaaiz He.. Is Liye Ki Awam Aalim Ke Amal Ko Dekh Kar Uski Iqteda Karti He, or Phir Aalim Ke Tarz Par Chalte Huve Awam Bhi Is Amr Me Mulawwis Ho Jati He, Is Liye Aalime Deen Ko Aur Zyada in Khabeesoñ Se Badmazhaboñ Se Bachne or Door Rahne Ki Zaroorat He. 

Allah Ke Nabi ﷺ Ne Hadeese Paak Me Irshad Farmaya,
"لا تجالسوھم و لا تشاربوھم ولا تواکلوھم ولا تناکحوھم ولا تصلوا علیھم ولا تصلوا معهم"اھ- 

Is Tarah Se Hadeese Paak Ke Alfaaz Kuchh Mukhtalif Ho Kar Ke Hai, Jisme Ye Farmaya Gaya Ki Badmazhaboñ Se Mel Jol, Uthna Bethna, Baat Chit Karna, Namaze Janaza Me Haazir Hona, or Unke Sath Namaze Padhna Unke Sath Khane Pine Me Shirkat Karna Unke Sath Munaqehat Karna Ye Sab Ka Sab Najaaizo Haram He.. 

Is Wajah Se Aalim Ke Liye Ye Jaaiz Nahiñ Ki Vo Kisi Badmazhab Se Mile... Jo Alaim Bad Mazhaboñ Se Mail Jol Rakhe Jab Tak Apne Is Amal Se Tauba Na Karle Unheñ Imam Banana Aur Unki Iqtida Me Namaz Parhna Najaaiz Hai Aur Agar Vo Baaz Na Aye to Musalman Unse Mail Jol Tark Kare..
Wallahu Ta'ala Aa'alam Bis-Sawab 
*🎙️Al-Jawab: Hazrat Mufti Nizamuddin Razvi Amjadi Sahab Qibla*
*📬 Khadimut Tadrees Jaamia Imame Aazam Abu Hanifa, Lucknow*
*🗓️8 Dec 2024, 5 Jamadi Ul Aakhir 1446*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+91
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad Gujrat_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
*Amanat Me Khayanat Na Kare Yaani Post Me Tabdili Karne Ki Ijazat Nahiñ. Agar Kuchh Khami Ya Lafzi Galti Nazar Aaye To Admin Se Rabta Kare*

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Bachhe Ka Naam Kabir Rakhe, Ya Al-Kabir Ya Abdul Kabir?*

 *Bachhe Ka Naam Kabir Rakhe, Ya Al-Kabir Ya Abdul Kabir?* *🌹SAWAL:-🌹* Asalamualaikum, Kise Bache Ke Naam Kabir/ Al Kabir/ Abdul Kabir, in...

Popular Posts