*Namaze Awwabeen Kya He Or Kab Padhi Jati He ?*
*🌹SAWAL:-🌹*
السَّلاَمُ عَلَيْكُمْ وَرَحْمَةُ اللهِ وَبَرَكَاتُهُ
Namaz E Awwabeen kya Hai Kab Padhi Jati Hai ? Aur Kitni Rakat Hai ?
*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ
Salaate Awwabeen Yaani Baade Magrib Chhe Rakaateñ Mustahab Hai Ye Namaze Magrib Ke Baad Parhi Jati He Unko Salatul Awwabeen Kahte Hai, or Parhne Ka Tareeqa Do Do Karke Parhna Afzal He, Hadees Shareef Me Is Namaz Ki Badi Fazilat Hai,
Tirimizi W Ibne Maja Abu Hurairah Radiallahu Anhu Se Raawi, Ki Farmate Hai, Jo Shakhs Magrib Ke Baad Chhe (6) Rakateñ Parhe or Unke Darmiyan Me Koi Buri Baat Na Kahe, to Barah (12) Baras Ke Ibadat Ki Barabar Ki Jayeñgi.
*📚(جامع الترمذي ، أبواب الصلاۃ، باب ماجاء في فضل التطوع ۔۔۔ إلخ، الحدیث : ۴۳۵ ، ج ۱ ، ص ۴۳۹)*
Tabrani Ki Riwayat Ammar Bin Yaasir Radiallahu Anhuma Se He Ki Farmate Hai, Jo Magrib Ke Baad Chhe Rakateñ Parhe, Uske Gunah Bakhsh Diye Jayeñge, Agarche Samandar Ke Jhaag Barabar Hoñ.
*📚(المعجم الأوسط ، باب المیم، الحدیث :۷۲۴۵ ، ج ۵ ، ص ۲)*
Huzur Sadrushshariyah Alaihir Rahmato Ridwan Taherir Farmate Hai,
Baad Magrib Chhe (6) Rakateñ Mustahab Hai Unko Salatul Awwabeen Kahte Hai, Khwah Ek Salam Se Sab Parhe Ya Do Se Ya Teen Se or Teen Salam Se Yaani Har Do Rakaat Par Salam Pherna Afzal He.
*📚(Bahare Shariyat, H-4, Sunano Nawafil Ka Bayan, Mas'ala-20)*
Wallahu Ta'ala Aa'alam Bis-sawab
*✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad Gujarat*
*🗓️25 July 2025, 29 Muharram 1447*
📲+9
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
*Amanat Me Khayanat Na Kare Yaani Post Me Tabdili Karne Ki Ijazat Nahiñ. Agar Kuchh Khami Ya Lafzi Galti Nazar Aaye To Admin Se Rabta Kare*
No comments:
Post a Comment