EK HADISH KA JAWAB HAZRAT AAISHA SE BAYAN JO KAHE KI HUZUR SALLALLAHU ALAIHI W SALLAM NE ALLAH KO DEKHA VO JHUTHA HE

*🌹SAWAL:-🌹*
Wahabi log Hazrate Aaisha siddiqa radiallahu anha ki ek hadish bayan karte he or kahte he ki jo aesa kahe ki huzur sallallahu alaihi w sallam ne Allah ko dekha vo jhutha he.. iske bare me kuchh irshad farmae. Or kya huzur ne allah ko dekha ?

*🌹JAWAB:-🌹*

Is Hisse ko Hum 02 Parts me divide karte hai aur Compare Karenge bilkul clear words me taaki shak o subhat ki koi gunjaish na rahe. *A)* Hazrat Masruk Tabai se rivayat Hadees Aur Hazrat Anas bin Sahabi Se Rivayat Hadees *B)* Hazrat Abdullah ibn Abbas Sahabi se rivayat hadees aur Hazrat Masruq Tabai se Rivayat Hadees A) Hazrat Masruk Tabai se rivayat Hadees Aur Hazrat Anas bin Malik Sahabi Se Rivayat Hadees Ka Bayan Aur Jaiza Hadees :
“Hazrat Masruq رَضِیَ اللهُ عَنْهُ se rivayat hai k unhone Ummul Momineen Ayesha Siddika Radi Allaho Anha se Suna k Unhone Farmaya  Jo Ye Kahe K Nabi E Karim ﷺ ne Allah Tabarakwatala ko Dekha Hai Wo Jhoota Hai”
References :
*📚(Sahi Bukhari Vol : 03, Kitab No 97, Kitabut Tawheed, Hadees : 7380)*
Isi Tarah ki Hadees ko kuch alfaz k changes k saath Imam Muslim ne likha hai
*📚(Sahi Muslim, Vol : 01, Kitabul Imaan, Hadees : 177)*
Yehi Sunaya jaata hai awaam ko aur is hadees ko base banake Kaum e Wahabiya k nanhe nanhe muballig jo fakat 02 04 takreer sun english me wahabi aur christian website padh watsapp facebook munazir bane ghumte hai wo msg k through aur inke mullahs apne speech me ye bayan karte hai k dekho hadees me aaya k jo ye kahe K Nabi e Karim ﷺ ne Allah ka deedar kiya wo jhoota hai par ye la ilm kaum akal,muttala se khali hai jo na aimma ko maanti hai fukaha ko na sharain ko bas jo apne dil ka accha laga jo akal me samaya usko maanti hai lekin bas ek hadees padhke aap pura akeeda nahi bana sakte iske liye mazeed muttale ki jarurat hai.
Ab Aaye Hum ussi Bukhari Sharif ki dusri hadees Likhte hai
Hazrat Anas رَضِیَ اللهُ عَنْهُ ne jo ke Sahabi hai unhone ek taveel riyavat bayan ki Safar e Meraj ki jo unone Nabi E Karim ﷺ se Suna hai us hadees ka hum wo hissa likh rahe hai
Hadees :
حَتَّى جَاءَ سِدْرَةَ الْمُنْتَهَى وَدَنَا الْجَبَّارُ رَبُّ الْعِزَّةِ فَتَدَلَّى حَتَّى كَانَ مِنْهُ قَابَ قَوْسَيْنِ أَوْ أَدْنَى
Hazrat Anas رَضِیَ اللهُ عَنْهُ se rivayat hai “Pura Meraj ka Wakya Bayan kiya”.... Fir Kehte hai “Huzoor Sidratul Muntaha Par Tashreef Laaye aur Izzat Waala Jabbar (Allah ) Yaha Tak K Karib Huwa Aur Nazdik Aaya k Do Kamano Ya Is Se Bhi Kam Ka Faasla Reh Gaya”
*📚(Sahi Bukhari, Vol : 03, Kitab No 97 Kitabut Tawheed, Hadees : 7517)*

Ab aaye Hum dekhe dusri hadees Hazrat Abbas رَضِیَ اللهُ عَنْهُ waali bhi hai jo bahot si kutub e hadees me alag alag sanado se aayi hai wo dekhenge (B) part me filhal ye hadees k hisse me thodi tehkeek

A) Hazrat Masruk رَضِیَ اللهُ عَنْهُ Tabai se rivayat Hadees Aur Hazrat Anas bin Malik رَضِیَ اللهُ عَنْهُ Sahabi Se Rivayat Hadees ko dekhe in dono hadees me hume kis taraf jaana chahye ek aam musalmaan kaise samjhe k kis ko follow karen.
Point Wise :
1) Awwal to ye Jab Wakya E Meraj Huwa us wakt Umool Momineen Ayesha Siddika Radi Allaho Anha ki umr 04 baras ya 06 baras thi aur wo Nabi e Karim صلى الله عليه وسلم K Nikaah me bhi naa aayi to unhe is masle ka mukkamal ilm na tha aur agar baad me unhone ye bayan bhi kiya hai to ye Kaul e Umool Momineen Hai jiske baare me Aimma Fukaha ne likha hai k Umool Momineen jo na dekhne ki baat kahi hai wo is dunaya me rehte huwe na dekhne ki baat kahi hai par Hamare Nabi صلى الله عليه وسلم ne ALLAH عزوجل ko is dunya me nahi balki Laa Maka me apne Matho ki aankh se dekha hai.
2) Sanad pe behas Hazrat Ayesha Siddika Radiallahu Anha ka Kaul Bayan huwa hai Hazrat Masruq رَضِیَ اللهُ عَنْهُ  se Joke ek Tabai Hai. To Yaha Sanad (Chain) pahuchi Tabai se Sahabiya tak.
*⛓Chain :* Hazrat Masruk رَضِیَ اللهُ عَنْهُ - > Ummol Momineen Ayesha Siddika Radi Allaho Anha Yaani Tabai se Sahabiya tak.
3) Hazrat Anas bin Malik رَضِیَ اللهُ عَنْهُ joke Khud Jalilul kadr sahabi hai unki rivayat hai direct Rasool Allah صلى الله عليه وسلم  se Yaani ki Sanad Sahabi se Nabi e Karim صلى الله عليه وسلم  tak pahuchi.
*⛓Chain :* Hazrat Anas Bin Malik رَضِیَ اللهُ عَنْهُ  - > Huzoor e Akram صلى الله عليه وسلم  Tak Sahabi se Nabi E Karim ﷺ Tak.
To Ab is masle me usool (Kanoon) ye hai k hum Farmaan e Nabi ﷺ ko tarjeeh denge aur uspe akeeda banaynge naaki us hadees pe jispe Kaul e Sahaba hai aur ye baat koi hamari aajki dalil nahi hai Shara e Hadees bhi yehi kehte hai chunache
Sabse Motebar Shara e Bukhari Me se ek Imam Ibn Hajar Al Asqalani رَحْمَةُ اللهِ عَلَيْه  is hadees ki shara me likhte hai wahabi maulvi khud inhe bahot maante hai.

عن المروزي قلت لأحمد إنهم يقولون إن عائشة قالت من زعم أن محمدا رأى ربه فقد أعظم على الله الفرية فبأي شيء يدفع قولها قال بقول النبي صلى الله عليه وسلم رأيت ربي قول النبي صلى الله عليه وسلم أكبر من قولهاTranslation : “Hazrat Maruzi رَحْمَةُ اللهِ عَلَيْه  ne Imam Ahmad Ibn Hambal رَحْمَةُ اللهِ عَلَيْه se pucha k Log Kehte hai Umool Momineen Ayesha Siddika Radi Allaho Anha ne Kaha k Jo ye Kahe K Nabi ﷺ Ne Allah عزوجل ka deedar kiya wo Jhuta Hai iska kya jawab hai.
Hazat Imam Ahmad Ibn Hambal رَحْمَةُ اللهِ عَلَيْه  Farmate hai jab Nabi e Karim ﷺ ne khud Irshad Farmaya ( رأيت ربي ) MAINE MERE RAB KO DEKHA ye jawab Umool Momineen Ayesha Siddika Radi Allaho Anha Ka  k kawl ka hai Kyuki Nabi e Paak ﷺ ka Farman Ummol Momineen Ayesha Siddika Radiallaho anha Se Zyada BADA (Superior) Hai”
*📚(Fath Ul Baari Shara e Sahi Bukhari, Vol : 08, Pg : 494)*

Allama Ibn Hajar Asqalani رَحْمَةُ اللهِ عَلَيْه  ne yaha pure masle ka hi khulasa kiya k hum usko Follow karnge jo Nabi e Karim Rauf o Raheem ﷺ Ne farmaya yaani NABI ﷺ NE ALLAH KO DEKHA hai wo bhi Imam Ahmad Ibn Hambal ka farman yehi hai wahabi aaj dawa bahot karte hai Imam Ahmad ibn Hambal ko maan ne ka yaha tak k pura saudi Fiqah e Hambli pe chalta hai unka bhi yehi akeeda k NABI NE ALLAH عزوجل KO DEKHA HAI.
Kya karenge Wahabi Agar Apne Abba k acche bacche hai to Lagaye Fatwa Hazrat Anas ibn Malik pe Imam Ibn Hajar Asqalani pe Imam Ahmad ibn Hambal pe Radiallaho anha azmain pe ? Kisi maa ne wo beta jana hai to dikhaye hume bhi fatwe.
Takreero me kehte hai wahabi jo ye Kahe K Nabi ﷺ  ne Allah عزوجل ko Dekha wo kafir hai Nauzubillah abhi aage dekhe hum kitne hawale denge inko dekhne naani yaad aajaygi pyjama gila hojaynge pura padhne k baad inke mullo aur facebook watsapp muftio k khokle gande chehre saamne aajaynge.

B) Mufassire e Quran Sahabi e Rasool  ﷺ Hazrat Abdullah ibn Abbas رَضِیَ اللهُ عَنْهُ se rivayat hadees e Paak.
Iske pehle hadees bayan kare hum Hazrat Abdullah ibn Abbas رَضِیَ اللهُ عَنْهُ  ka makam aur martaba bayan karde taaki koi wahabi ye na kahe kiski hadees likh di.
Hadees :
Hazrat Abdullah ibn Abbas  رَضِیَ اللهُ عَنْهُ farmate Hai
“Ek baar Nabi e Karim Ne Mujhe Apne Sine (Chest) Se Lagaya Aur Dua Ki Aye ALLAH Abdullah ibn ABBAS رَضِیَ اللهُ عَنْهُ KO Quran Ka Ilm Aur Hikmat Ata Farma”
Reference :
*📚(Sahi Bukhari, Vol : 02, Kitab No 62 Fazail E Ashabun Nabi, Baab : Zikr Ibn Abbas, Hadees : 3756)*
*📚(Jamai Tirmizi, Vol : 03, Kitab No 49 Kitabul Manakib, Hadees : 4195)*
*📚(Sunan Ibn Majah, Vol : 01, Kitab Us Sunnah, Hadees : 171)*

ye Makam hai Sahaba me jinke Haq me Quran ki Samajh ki dua Khud Nabi e Akram ﷺ ne Ki aur Hazrat Abdullah ibn Abbas  رَضِیَ اللهُ عَنْهُ khud Sahaba e Kiram ki jamaat me sabse pehle Muffasir huwe aapki Tafseer Ibn Abbas k naam se mashoor hai.
Ab aaye Meraj Un Nabi ﷺ Me ALLAH عزوجل k deedar k talluk se hadees Yu To Ibn Abbas se rivayat bahot si kutub me hai par yaha hum 02 likh rahe hai mulahiza kare.

Hadees :
Hazrat Abdullah ibn Abbas رَضِیَ اللهُ عَنْهُ Farmate Hai Hum Bani Hashim Kehte Hai beshak Nabi e Karim ne ALLAH ka Deedar Kiya”
*📚(Jamai Tirmizi, Kitab No 47 Kitabut Tafseer, Hadees : 3201)*
Imam Tirmizi Ne Is Hadees ko *HASAN* kaha Hai

Hadees :
Imam Ahmad ibn Hambal رَضِیَ اللهُ عَنْهُ ne Apni Musnad me nakl kiya rivayat hai

قال رسول الله صلى الله تعالى عليه وسلم رأيت ربي عزّ و جل

Hazrat Abdullah ibn Abbas رَضِیَ اللهُ عَنْهُ bayan farmate hai k RASOOL ALLAH ne farmaya MAINE MERE RAB KO DEKHA”
*📚(Musnad E Ahmad Ibn Hambal, Vol : 01, Pg : 285, Print : Al Maktab Al Islami, Beirut)*
*📚(Imam ibn Asim Vol : 01, Pg : 188, Hadees : 433)*
*📚(Imam Haythami  Al Majmau Zawaid , Vol : 01, Pg : 178)*

*📚Imam Jalaludin Suyuti ne Khasais Al Kubra Vol : 01, Pg : 161 pe likha ye Hadees Sahi Hai.*
*📚Imam Abdur Rauf Munadi ne Tahsheer Shara Jama as Sageer Vol : 02, Pg : 25, Maktaba Riyadh me Likhte hai ye hadees Sahi Hai.*

Ab Aaye Is Hadees pe bhi Sharain ka jawab padhe Chunache Imam Nawawi Ash Shafai رَضِیَ اللهُ عَنْهُ   likhte hai

“Jab ye Baat Hazrat Abdullah ibn Abbas رَضِیَ اللهُ عَنْهُ   ki Hadees e Sahi se Sabit Hai to Hum ye Guman Nahi karte k ye unka apna KAWL hai Unhone ye Rasool Allah se Sunke Hi Farmaya Hai,
Ma’mar ibn Rashid (Tabain) ne Umool Momineen Aur Hazrat Abdullah ibn Abbas رَضِیَ اللهُ عَنْهُ  k ektelaf k baare me kaha k Ummool Momineen Ayesha Siddika Radi Allaho Anha ko us wakt is masail me pura Ilm na tha, Jabki Abdullah ibn Abbas رَضِیَ اللهُ عَنْهُ   isko saabit kar rahe hai aur kuch log Nafi kar rahe hai to Usool k mutabik Masbat ko maana jayga Naki Nafi (rejection) Ko”
*📚(Shara E Sahi Muslim, Kitabul Imaan, Baab : Allah K Nabi Ne Deedar Kiya)*

Imam Nawawi رَضِیَ اللهُ عَنْهُ   bhi Deedar waali hadees ko accept kar rahe hai.
Ab aaye dusri ek aur dalil aaj kaum e Wahabiya Huzoor Sayyidi Shaikh Abdul Qadir Jilani رَضِیَ اللهُ عَنْهُ  ko maan ne ka bahot daawa kar rahi aur kitabo pe kitabe chaap rahi hai sirf is baat ko saabit karne k liye k Gaus e Paak Ahle Hadees the goya Awaam ko ye batana chah rahe hai k Gaus e Aazam ka akeeda aur wahabiya ka akeeda ek ho magar hum challenge karte hai kaum e wahabiya ka koi ek bhi nazariya aur akeeda aisa nahi jo Wahabio ka Gaus e Aazam رَضِیَ اللهُ عَنْهُ  se mel khata ho balki aqaid me wo AHLE SUNNAH k aqaid pe hi the aur fiqh me Imam Ahmad ibn Hambal رَضِیَ اللهُ عَنْهُ   k mukallid the.
Chunache uzoor Sayyidi Shaikh Abdul Qadir Jilani رَضِیَ اللهُ عَنْهُ  kya farmate hai padhe unki maarakatul aara kitab GUNYATUTALIBEEN me.

“Hazrat Abdullah ibn Abbas رَضِیَ اللهُ عَنْهُ   farmate Hai ki Hazrat Ibrahim عليه السلام Ko Khullat Mili , Hazrat Moosa عليه السلام ko Kalam aur Muhammad ﷺ Ko Deedar E Ilahi Haasil Huwa.

Hazrat Abdullah Ibn Abbas رَضِیَ اللهُ عَنْهُ   Ne ye bhi farmaya Muhammad ﷺ ne Apne Rab Ko Apne Matho ki Aankho Se DO baar Dekha. Ye rivayat Hazrat Ayesha Siddika Radi Allaho Anha k Us Rivayat se Maarij Nahi Jo Ro’eet k Inkaar Me Marvi Hai Isliye k Isme Nafi Hai aur Rasool Allah ﷺ ne Apne Ro’eet ka Isbaat Farmaya Hai.

Hazrat Abu Bakr bin Suleman رَضِیَ اللهُ عَنْهُ  ka Kaul Hai k Rasool Allah ﷺ ne apne Rab Ka deedar 11 martaba Kiya , 9 Baar Ka Saboot Hadees E Paak se milta Hai Jab ki Aapne Hazrat Moosa عليه السلام aur Allah عزوجل k Maa’bain Takhfeef E Namaz K Liye Baar Baar Gaye

aur 50 Wakt Ki Namaz K Bajaye 5 wakt Namaz Farz Ki Gayi (45 Baar Ki Takhfeef Hogyi) Ye Sunnan Nabvi se saabit hai aur 02 baar ALLAH ka deedar Quran Se Saabit Hai. *📚(Guniyatutalibeen, Baab Shab e Meraj Ka Bayan, Pg : 186)*
=========➖➖➖➖=========
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
*_📬Khadim:- Pathan Moin Raza Azhari_*

=========➖➖➖➖==========

1 comment:

  1. Mout aane se just ek minute phle kiya hota hai jaise ko pyas lagti h farishte aate hai ya ghabrahat hoti h please daleel se jawab de

    ReplyDelete

NEW POST

Kya Lakdi Ke Koyle Se Daant Saaf Karna Jaaiz He ?

 *_Koyle Se Daant Saaf Karna Kesa?_* *🌹SAWAL:-🌹* Assalamualaikum  Hz Ek Swal Hai Ki Kya Mustafa ﷺ Ne Lakdi K Koyle Se Daant Saaf Krne Ko M...

Popular Posts