HUZUR KA ILM GAIB OR MERAJE NABI PAR HAZRATE AAISHA radiallahu anha KE BAYAN HADISH KA JAWAB

*🌹SAWAL:-🌹*
Hazrat Ayesha Radialla Taaa Anha Se Riwayat Hai Ki Jisne Kaha K Nabi Swallallahualaihiwasallam Ne Apne Rabb Ko Dekha Woh Jhuta Hai Aur Jo Kahe K Nabi Swallallahualaihiwasallam Gaib Jante Hai Toh Woh Jhuta Hai

*🌹JAWAB:-🌹*

Yeh Hadees Bilkul Sahi Hai Lekin Hadees Ko Samajna Padega.....

Is Hadees Me 2 Point Hai..

*1)* Humare Sarkar Swallallahualaihiwasallam Ne Allah Ko Dekha.
*2)* Agar Koi Kahe Ki Nabi Sallallahualaihiwasaalm Ko Ilm E Gaib Hai Toh Woh Jhuta Hai...

*_Pehle Point Ka Jawab Hum Gaushe Aazam Hazrat Shaikh Abdul Qadir Jeelani Radiallahu Taala Anhu Se Samajte Hai._*

Kitab Ka Naam Gunya Tut Talebeen

Yeh Kitab Arbi Me Thi Aur Iska Tarjuma Kiya Hai Ahle Hadees Hafiz Mubashhir Hussain Lahori.

*Safa No. 178 :*

Likhte Hai : “Humara Aqeeda Hai K Nabi Swallallahualaihiwasallam Ne Shab E Meraj Bedaari Ki Haalat Me (Khwab Me Nahi) Apne Sir Wali Aakhon Se (Dil Se Nahi) Allah Taala Ka Deedar Kiya Hai Jaisa K Hazrat Jabir Radiallataala Anhu Riwayat Karte Hai K Nabi Swallallahualaihiwasallam Ne Aayat (Aap Swallallahualaihiwasallam Ne Allah Ko Dusri Martaba Dekha , *Surah Najam Aayat 13,* Ki Tafseer Me Farmaya K Mene Bila Shak Wa Shuba Apne Rab Ko Apne Saamne Dekha”.

Aur Akhir Ki Line Per Gaur Kare Hazrat Ibn Abbas Radiallataala Anhu Se Jo Riwayat Hai Ki Farmate Hai K Mohammad Swallallahualaihiwasallam Ne Apni Ankhon Se Do (2) Martaba Rabtaala Ka Deedar Kiya.

Subhan Allah

Hazrat Gaus E Paak Khud Apna Aqeeda Bayan Farma Rahe Hai Aur Hazrat Gaus E Paak Radialla Taala Anhu Ko Har Tabka (Jamaat) Manti Hai Aur Yeh Aqeeda Rakhti Hai Ki Hazrat Gaus E Paak Radialla Taala Anhu Allah Taala K Wali Hai .

Aur Aage Khud Hazrat Gaus E Paak Hazrat Ayesha Radialla Taala Anha Waali Hadees Ka Jawab Dete Hai,

*📚Safa 179 Per*

Likhte Hai: “Yeh Riwayat Hazrat Ayesha Radiallataala Anha Ki Riwayat Se Muta’araz Nahi Q K Inki Riwayat Me Nafi Hai Aur Yeh Isbaat Hai Aur Ijtama’a K Waqt Isbaat Naïf Per Muqaddam Hota Hai Aur Nabi Sallallahualaihiwasallam Ne Bhi Apni Rue’yat Ka Isbaat Farmaya.

Yaha Per Hazrat Gaus E Paak Khud Kehrahe Hai Ki Nabi Swallallahualaihiwasallam K Muqabil Hazrat Ayesha Radiallataala Anha Ka Qaul Nahi Maana Jayega.

👉Ab Dusra Point

Dusre Point Ka Jawaab Yeh Hai Ki Hazrat Ayesha Ne Zaati Ilm E Gaib K Baare Kaha Hai Ki Agar Kisi Ne Kaha Ki Nabi Sallallahualaihiwasallam Khud Se Gaib Jaante Toh Woh Jhuta Hai...Q K Ilm E Gaib Khud Se Jaan Lena Sirf O Sirf Allah K Liye Hai Aur Allah K Ilawa Kisi K Liye Nahi Aur Ataai Ilm E Ghaib K Bare Humne Quran Shareef Ki Aayat Aur Ahadees E Mubaraka Pesh Kiye Aur Aage In Sha Allah Hum Imam K Aqwal B Pesh Karege.

Note: Hadees Kabhi Quran Shareef Se Takra Nahi Sakti Aur Yeh Hadees Sahi Hai Aur Quran Ki Woh Aayatein B Sahi Hai Jo Ataai Ilm E Gaib K Baare Batati Hai Jinka Zikr Pehle Kiya Gaya Hai.

Isliye Yeh Hadees Nabi Sallallahualaihiwasallam K Ilm E Gaib Ki Nafi Nahi Karti.

*📚Isi Hadees Per Hum Ab Imam Ibn Hajar Asqalani Radialla Taala Anhu Ki Likhi Hui Sharah Sahi Bukhari Fatah Ul Bari Se Padhte Hai:*

Tarjuma: Maruzi Rahimahullah Ne Imam Ahmed Bin Hanbal Radialla Taala Anhu Se Pucha K Log Kehte Hai K Hazrat Ayesha Radialla Taala Anha Ne Farmaya Hai K Jo Koi Tumhe Kahe K Aap Swallallahualaihiwasallam Ne Allah Ko Dekha Hai Toh Usne Allah Per Bohtan Bandha,Iska Jawab Kaise Diya Jaye,(Imam Ne Farmaya) Rasul Allah Swallallahualaihiwasallam K Aapne Farman Se Jisme Inhone Farmaya Hai “Rayyat Rabbi”(Yaani Mene Rab Ko Dekha) , Yeh Hazrat Ayesha Radialla Taala Anha K Qaul Ka Jawab Hai Kyukay Rasul Allah Sallallahualaihiwasallam Ka Farma Dena Hazrat Ayesha Radialla Taala Anha K Farmane Se Hazar Badarja Buland Hai.

*📚Fatah Ul Bari Sharah Sahi Bukhari Jild 8 Safa 494.*

*📚Ab Imam Nawawi Rahimah Ullah Ka Jawab Padhte Hai Isi Hadees Per Sharah Sahi Muslim Kitab Al Iman*

Likhte Hai:
Jab Yeh Hazrat Ibn Abbas Radialla Taala Anhu Ki Sahi Hadees Se Saabit Ho Chukka Hai Toh Hum Yeh Nahi Soch Sakte K Yeh Inhone Apni Taraf Se Se Kaha Hoga,Yaqeenan Inhone Aap Sallallahualaihiwasallam Se Sunkar Farmaya Hai.Mamar Bin Rasheed Hazrat E Ayesha Aur Hazrat Ibn Abbas Rizwanallah Alaihim Ajmaen Ki Babat Farmate Hai K Yeh Ikhtilaf Is Wajah Se K Ayesha Radialla Taala Anha Issey Mukammal Taur Per Waqif Na Thi Jabke Ibn Abbas Radialla Taala Anhu Mukammal Taur Per Jante The,Toh Agar Ibn Abbas Radialla Taala Anhu Isko Saabit Karrahe Hai Aur Kuch Aur Log Iski Nafi Karrahe Hai Toh Yeh Sabik Ka Usool Hai K Woh Nafi Per Bhari Hota Hai.
=======➖➖➖➖=========
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
*_📬Khadim:-Pathan Moin Raza Azhari_*

========➖➖➖➖=========

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Kya Lakdi Ke Koyle Se Daant Saaf Karna Jaaiz He ?

 *_Koyle Se Daant Saaf Karna Kesa?_* *🌹SAWAL:-🌹* Assalamualaikum  Hz Ek Swal Hai Ki Kya Mustafa ﷺ Ne Lakdi K Koyle Se Daant Saaf Krne Ko M...

Popular Posts