*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamualaikum Sajda E Sahw Kya Hai Or Kesa Karta Hai ?
*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ
Wajibat E Namaz Me Se Koi Cheez Bhul Kar Chhut Jaae, Maslan Surah Fatiha Ki Ek Aayat Bhi Padhna Bhul Gaya Ya Surat Milana Bhul Gaya Wagairah Aakhir Me Attahiyyat Padhne Ke Baad Dahini Taraf Salam Fere, Fir Do Sajde Kare Aur Dubara Attahiyyat, Durood Shareef W Duaa E Masura Padh Kar Dono Janib Salam Fer Kar Namaz Mukammal Kare Ye Sajda E Sahw Ka Tariqa He..
Note...Agar Koi Aysa Wajib He Jo Wajibat E Salat Se Nahi Balki Amr E Kharij Ke Sabab He Jese Qura'an Shareef Ko Tartib Se Padhna To Aysi Surat Me Sajda E Sahw Nahi Karna He, Aur Agar Qasdan Wajib Ko Chhod Diya He To Fir Sajda E Sahw Se Kaam Nahi Chalega Namaz Ko Duhrana Hoga.
*📚Hawala: Bahaare Shariyat, Hissa 4, Sajda E Sahw Ka Bayan.*
Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Qasim Raza Sahab Misbahi_*
*📬Tadriso Ifta Madrsa E Islamiyah Matehat Peer Dastagir Ekta Trust, Ddewgadh Bariya Dahod Gujarat*
*🗓️13 July 2021, 2 Zulhijja 1442*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+918487928693
*_📬Pathan Moin Raza,Petlad Gujarat_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
No comments:
Post a Comment