*🌹SAWAL:-🌹*
As Salamu Aliakum
Ulmaae Ekram Ki Bargah Main Ek Sawal Arz Hai Ke...
Ke Koi Shaks Har Mahine Main 11vi Tarikh Ko Roza Rakhta Ho To Is Baar Eid Ka Dusra Din Aa Raha Hai To Kya Wo Roza Rakh Sakta Hai??
Jawab Inayat Farmae..........
*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ
Saal Me 5 Dino Ke Roze Rakhna Makrooh E Tehrimi He, Aur Agar In Dino Me Roze Rakkhe To Todna Wajib He, Agar Inhi Dino Me Roza Rakhne Ki Mannat Mani To In Dino Me Pura Karna Wajib Nahi Balki Dusre Dino Me Pura Kare, Wo 5 Din Ye Hai,
Eid Ul Fitr Ka Din Aur Zil Hijjah Ke 10/11/12/13 In Dino Me Roza Rakhna Makrooh E Tehrimi He...
Har Mahine Ki 13/14/15 Wi Ka Nafli Roza Rakhne Ke Ta'alluq Se Hadees Sharif Me Fazilat Aai He,
Jesa Ke Hadees Sharif Me He...
Imam Ahmad W Tirmizi W Nasai W Ibne Maja Abu Zar Radiallahu Anhu Se Raawi, RasoolAllah ﷺ Ne Farmaya, Jab Mahine Me 3 Roze Rakhne Hoñ To Tera, Chaudah, Pandrah Ko Rakho.
Magar In 5 Dino (Eid Ul Fitr Aur Zil Hajj Ki 10/11/12/13 Me Roza Rakhna Makrooh E Tehrimi He, Ke Ye Allah Wahdahu La Sharik Ki Janib Se Khane Pine Aur Khushi Ke Ayyam He, Ye Rukhsat Allah Ta'ala Ki Janib Se He, Banda Isko Azimat Me Nahi Badal Sakta, Balki Yanha Tak Bataya Ke Agar In Dino Me Koi Bhul Se Roza Rakh Bhi Le To Uska Todna Wajib He...
*📚(Bahare Shariyat Hissa 5)*
Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Qasim Raza Sahab Misbahi_*
*📬Tadriso Ifta Madrsa E Islamiyah Matehat Peer Dastagir Ekta Trust, Ddewgadh Bariya Dahod Gujarat*
*🗓️17 July 2021, 6 Zulhijja 1442*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+918487928693
*_📬Pathan Moin Raza,Petlad Gujarat_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
No comments:
Post a Comment