Islam Me Halala Ki Haqiqat ?? Halala Karne Or Karwane Wale Par Lanat Ka Kya maana He ?

 *🌹SAWAL:-🌹*
Ek Shakhs Ne Kuchh Ahadis Ka Zikr Karte Huve Kaha Ki Halala Ka Nikah Kisi Bhi Soorat Me Jaaiz Nahi Or Kisi Bhi Sahabi Ne Nahi Kiya... Iski Kya Haqiqat He ?

*🌹JAWAB:-🌹*
اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Agar Kisi Zaroorat Ke Tahat Talaq Deni Pad Jaye To Aurat Ko Shariyat Ke Mutabiq Ek Ya Do Talaq De Kar Chhod De, Ye Ahsan Tariqa He.. Do Talaqoñ Ke Baad Bahetar Soorat Ye He Ki Mazeed Talaq Na Di Jaye.. Taaki Agar Kisi Waqt Ye Dono Mard W Aurat Dubara Ikaththa Hona Chahe To Sirf Nikah Ke Zariye Aysa Mumkin Ho Sake...

Daure Jahiliyat Me Ek Shakhs Apni Biwi Ko Talaq De Kar Iddat Khatm Hone Se Pahle Ruju'a Karleta Tha.. Agar Vo Ek Hazaar Talaq Bhi Deta To Uske Liye Ruju'a Ka Haq Sabit Tha... Chunanche Ek Aurat Ne Ummul Muamineen Hazrate Aaisha Siddiqa Radiallahu Anha Ki Khidmat Me Hazir Ho Kar Shikayat Ki Ke Uska Khawind Use Talaq Deta He Fir Ruju'a Kar Leta He, Is Tarah Vo Taklif Pahunchata He.. Ummul Muamineen Ne Ye Baat Sarkare Do Aalam  ﷺ Se Arz Ki To Allah Ta'ala Ne Ye Aayat Nazil Farmai  Ki "Talaq Do Baar Tak He"
*📚(Fakhruddin Raazi Tafsire Kabeer, J-6, S-102)*

Goya Islam Ne Dore Jahiliyat Me Aurat Par Dhhaye Jane Wale Us Zulm Ka Khatma Karke Ruju'a Ko 2 Talaqoñ Tak Mahdood Kar Diya.. Agar Do Talaqeñ Raj'ee Di Ho To Iddat Ke Andar Andar Ruju'a Kar Sakta He. Or Jab Talaqoñ Ki Ta'adad 3 Tak Pahunch Jaye Chahe Talaqeñ Ikaththi Di Ho Ya Alag Alag Karke 3 Ki Ta'adad Mukammal Ki Ho To Ab Ruju'a Nahi Ho Sakta... Ab In Donoñ Ka Ikaththa Hona Isi Soorat Me Jaaiz Hoga Jab Aurat Ka Dusri Jagah Nikah Ho Jaye Or Vo Shakhs Use Mubasharat Ke Baad Talaq Dede.. 

Qura'ane Paak Me Allah Ta'ala Farmata He,
إِن طَلَّقَهَا فَلَا تَحِلُّ لَهُۥ مِنۢ بَعْدُ حَتَّىٰ تَنكِحَ زَوْجًا غَيْرَهُۥ ۗ فَإِن طَلَّقَهَا فَلَا جُنَاحَ عَلَيْهِمَآ أَن يَتَرَاجَعَآ إِن ظَنَّآ أَن يُقِيمَا حُدُودَ ٱللَّهِ ۗ وَتِلْكَ حُدُودُ ٱللَّهِ يُبَيِّنُهَا لِقَوْمٍ يَعْلَمُونَ

*Tarjamah-* Phir Agar Tisri Talaq Use Dee To Ab Aurat Halal Na Hogi, Jab Tak Dusre Shohar Ke Pas Na Rahe, Phir Wo Dusra Agar Use TALAQ De De To In Dono Par Gunah Nahi Ki Apas Me Mil Jayen (Ab Pehla Wala Usse Nikah Kar Sakta Hai) Agar Guman Ho Ki Allah Ki Hadon Ko Qa'im Rakhenge, Ye Allah Ki Hade'n Hai Jo Wo Bayan Farmata Hai Samajhdaron Ke Liye.
*📚(SURA E BAQRAH, AAYAT-230)*

Qura'ane Paak Ki Is Aayat Me Jo Amal Bataya Gaya He Use 'Halala' Kaha Jata He...

Hadeese Paak Me He,
Ummul Muamineen Hazrate Aaisha Siddiqa Radiallahu Anha Se Marwi He, Hazrat Rafa'aa Qarzi Ne Ek Khatun Se Nikah Kiya Phir Use Talaq Dedi,  Ab Us Khatun Ne Dusre Shakhs Se Nikah Kiya.. Phir Us Khatun Ne Bargahe Nabvi Me Hazir Ho Kar Shikayat Ki Ke Vo (Dusra Khawind) Huqooqe Zaujiyat Ada Nahiñ Kar Sakte, Unke Paas Kapde Ke Phande Ki Tarah He, Aap  ﷺ Ne Farmaya,
Tum Us Waqt Tak Pahle Khawind Se Nikah Nahi Kar Sakti Jab Tak Tum Us Khawind Ka Zaaiqa Or Vo Tumhara Zaaiqa Na Chakh Le.
*📚(صحیح البخاری باب اذاطلاقہاثلاثاثم تزوجت بعدالعدۃ ٢/٨٠١)*
Goya Qura'an W Sunnat Ki Roshni Me Halala Usi Soorat Me Hoga Jab Dusra Khawind Huqooqe Zaujiyat Ada Kare.

Ab Ye Janna Zaroori He Ki Halala Ki Hikmat Kya He....

Halala Me Shohare Saani Ke Hambistar Hone Ki Shart Or Mahaz Aqde Nikah Ko Na Kaafi Qarar Dene Ki Hikmat W Maqsad Logoñ Ko Talaq Dene Me Jald Baazi Se Rokna He, Or Ye Cheez Hambistari Ki Shart Se Zyada Hasil Hoti He, Is Liye Ki Koi Dusra Shakhs Uski Biwi Ke Sath Hambistar Ho Umooman Logoñ Ki Gairat Iski Ijazat Nahiñ Deti... Iske Barkhilaf Aqde Nikah Se Ye Cheez Hasil Nahi Hoti, Ki Dusre Shakhs Se Nikah Karna Logoñ Ke Liye Zyada Nafrat W Gairat Ka Baais Nahiñ Hota, Is Hikmat Ke Peshe Nazar Halala Me Dusre Shohar Ke Sath Hambistari Ki Shart Lagai Gai, Taaki Log Talaqe Mugallaza Dene Me Jald Baazi Se Kaam Na Leñ.
Isi Tarah *📚(Tafsire Roohul Bayan, J-1, S-359)* Me He
*📚(Fatawa Markaze Tarbiyat Ifta, J-1, S-597)*

Halaala Ki 3 Soorteñ He, *(Kitab 📚Tahqiqe Halala Se Makhuz)*

Pahli Soorat:
Jis Aurat Ko 3 Talaqeñ Di Gai Vo Iddat Guzarne Ke Baad Dusri Jagah Nikah Kare. Phir Khawind Huqooqe Zaujiyat Ada Karne Ke Baad Jab Chahe Apni Marzi Se Talaq De. Ab Iddat Guzarne Ke Baad Us Aurat Ka Pahle Khawind Se Nikah Ho Jaye.. Goya Yayañ Halala Kiya Nahiñ Jata Ho Jata He..

Halale Ki Is Soorat Ka Qura'ane Paak Me Zikr He, Is Par Tamam A'imma Ka Ittefaq He Ki Ye Soorat Bila Karahat Jaaiz He....

Ye Soorat Chuñ Ki Aqlan Naqlan Sahih He Or Qura'an W Hadees Se Sabit Bhi He Lihaza Use Najaaiz Ya Behayai Ka Baais Qarar Dena Na Sirf Jahalat He Balki Khullam Khula Qura'an Ki Mukhalifat He..

Dusri Soorat:
Jab Khawind Ne Talaq Dedi Or Aurat Ki Iddat Bhi Guzar Gai Ab Koi Shakhs Apni Marzi Se Usse Nikah Karta He Or Nikah Ke Waqt Halala Ki Shart Bhi Nahiñ Rakhi Gai Yaani Yuñ Nahiñ Kaha Gaya Ki Tum Huqooqe Zaujiyat Ada Karne Ke Baad Use Talaq De Dena Ki Pahle Khawind Se Uska Nikah Kiya Jaye.. 

Albatta Dusre Aadmi Ne Dil Me Ye Niyyat Ki Ke Chuñki In Donoñ Ke Bahami Ta'alluqat Achhe The, Unke Chhote Chhote Bachhe Hai, Lihaza Agar Me Is Aurat Se Nikah Karluñ Or Fir Use Talaq Deduñ Taaki Pahla Khawind Usse Nikah Karle Or Yuñ vo Ujda Hua Ghar Dubara Aabad Ho Jaye To Is Soorat Me Maliki W Hambali Fiqh Ke Mutabik Nikah Fasid W Batil Hota He. 
Or Shafai Or Fiqhe Hanfi Ke Mutabik Ye Nikah Sahih Qarar Diya Jata He Agar Kuchh Sharait Ka Khayal Rakha Jaye..

Khulasa Ye Ki Jab Halal Mamnuaat Se Mahfooz Ho Or Uska Maqsad Pahle Khawind Or Uski Mutlaqa Biwi Ke Daemiyan Sulah Karana Ho To Ye Jaaiz He Or Ayse Shakhs Ko Us Aadmi Ki Tarah Ajr Milega Jo Miya Biwi Me Sulah Karata He.

Tisri Soorat:
Jab Us Mutalaqa Se Nikah Kiya Jaye To Ye Shart Rakhi Jaye Ki Dusra Khawind Jima'a Ke Baad Use Talaq Dega Taaki Vo Pahle Khawind Se Nikah Kar Sake. Ye Tariqa Ikhtiyar Karna Tamam A'imma E Kiram Ke Nazdik Haram He...
Isi Tarah Dusra Shakhs Halala Karne Wala Mash'hoor Ho, Ya Is Par Ujrat Muqarrar Karta Ho To Ye Sab Haram He...

Or Isi Ke Ta'alluq Se Hadeese Paak Me He,
RasoolAllah ﷺ Ne Halala Karne Wale Or Jiske Liye Halala Kiya Gaya Donoñ Par La'anat Farmai.. 

Is Tarah Ki Kai Ahadise Paak He... Lekin Ahadis Shart Ke Sath Halala Karne Ke Ta'alluq Se He...

Lihaza Shart Ke Sath Nikah Karna Haram He Or Jo Log Isme Sharik Hai Vo Sab Laanat Ke Mustahik Hai Musalamanoñ Ko Isse Bachna Chahiye..

Albatta Fiqhe Hanfi Ke Nazdik Nikah Is Soorat Me Bhi Ho Jayega, Magar Makrooh Hoga.. Is Tariqa Se Bhi Vo Pahle Shohar Ke Liye Halal Ho Jayegi...

Ab Hadeese Paak Me Jo Zikr He Ki Halala Karne Wale Or Karwane Wale Par Laanat... Is Hadees Ka Muhaddisine Kiram Ne Yahi Mafhoom Bayan Kiya Ki Is Shart Par Nikah Karna Haram He, Or Hazrat Imame Aazam Abu Hanifa Or Aapke Pairokaar Bhi Yahi Nazariya Rakhte Hai Ki Halala Ki Shart Par Nikah Karne Wale Lanat Ke Mustahiq Or Gunahgar Hai Lekin Iske Bawajood Nikah Sahih Ho Jayega.. 

Lihaza Zaid Ka Ye Kahna Ki Halala Ka Nikah Kisi Bhi Soorat Me Jaaiz Nahi Sarasar Galat Or Qura'an Hadees W A'imma E Kiram Ke Khilaf He.. 
Wallahu Ta'ala Aa'alam
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
*🗓30 May 2022, 28 Shawwal 1443*
📲+918487928693
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?*

 *Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?* *🌹SAWAL:-🌹* اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ Jacket Ki Chain K...

Popular Posts