*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamu Alaikum
Bhai Mera Sawal Tha Ek Banda Nikah Ki Raat Namaz Nahi Padha Toh Uss Par Kya Karna Padega Usse
Nikah Ki Raat Shabe Zufaaf Ko Jo Namaz Padhi Jati He, Vo Shukrane Ke Taur Par 2 Raka'at Nafl Padhte He, Ye Farz Ya Wajib Nahiñ Balki Bataure Shukrana Nafl Namaz He... Agar Dulhan Halate Haiz Me He To Vo Namaz Na Padhe Magar Dulha Zaroor Padhe... Or Agar Kisi Wajah Se Donoñ Na Padh Sake To Isse Nikah Ya Shadi Me Koi Farq Na Aayega.. Albatta Uske Jo Fazaail He Vo Hasil Na Hone Ka Andesha He... Or Agar Dubara Biwi Se Mile Tab Bhi Bataure Shukrana Padh Sakta He...
Is Namaz Ke Fazaail Ke Ta'alluq Se Hadees Shareef Me He,
Hazrat Abdullah Ibne Mas'ud Radiallahu Anhu Farmate Hai,
Ek Shakhs Ne Unse Bayan Kiya Ki Mene Ek Jawan Ladki Se Nikah Kar Liya He Or Mujhe Andesha He Ki Vah Mujhe Pasand Nahiñ Karegi... Hazrat Abdullah Bin Mas'ud Radiallahu Anhu Ne Farmaya " Muhabbat W Ulfat Allah Ki Taraf Se Hoti He Or Nafrat Shaitan Ki Taraf Se.. Jab Tum Apni Biwi Ke Paas Jaao Sabse Pahle Usse Kaho Ki Vah Tumhare Pichhe 2 Raka'at Namaz Padhe. InshaAllah Tum Use Muhabbat Karne Wali Or Wafa Karne Wali Paoge.
*📚(Gunyatut Talibeen, Baab-5, S-115)*
*Ba Hawala📚 Qareena E Zindagi, Shabe Zufaaf Ke Aadab)*
Wallahu Ta'ala Aa'alam
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
*🗓️24 Nov 2022, 28 Rabi Us Saani 1444*
📲+91
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
No comments:
Post a Comment