Awliya Allah Se Is Tarah Dua Karna Ki Aap Meri Madad Farmaye Kesa He ?

 *🌹SAWAL:-🌹*
السلام عليكم ورحمه الله وبركاته
Kya Hum Apne Murshid Aur Wali Allah Se Ye Kah Sakte Hai Ki Main Fala Gunah Me Mubtela Hu Mujhe Usse Nijat Dilaye

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Qura'an Ahaadis Ki Tasreehaat Ke Mutabiq Ambiya E Kiram Or Awliya E Izaam Se Madad Mangna Jaaiz He.. Jabki Aqeedah Ye Ho Ki Haqeeqi Or Zaati Imdaad To Sirf Allah Ta'ala Hi Farmata He, Or Ye Nufoose Qudsiya Allah Ta'ala Ki Ata Se Hi Madad Karti Hai... Or Zinda Hone Or Dunya Se Chale Jane Me Koi Farq Nahiñ Yaani Ambiya Or Awliya Zinda Hoñ Ya Dunya Se Rukhsat Ho Jayeñ Donoñ Sooratoñ Me Unse Madad Talab Karna Jaaiz He..

Qura'an Majeed Me Rab Tabarak W Ta'ala Irshad Famrata He,
إِنَّمَا وَلِيُّكُمُ اللَّهُ وَرَسُولُهُ وَالَّذِينَ آمَنُوا الَّذِينَ يُقِيمُونَ الصَّلَاةَ وَيُؤْتُونَ الزَّكَاةَ وَهُمْ رَاكِعُونَ
Yaani Tumhare Dost (Madadgaar) Nahiñ Magar Allah Or Uska Rasool Or Imaan Wale Ki Namaz Qaaim Karte Hai Or Zakaat Dete Hai Or Allah Ke Huzur Jhuke Huve Hai..
*📚(Surah Al-Maaida, Aayat-55)*

Or Ek Jagah Farmaya,
 فَإِنَّ اللَّهَ هُوَ مَولاهُ وَجِبريلُ وَصالِحُ المُؤمِنينَ ۖ وَالمَلائِكَةُ بَعدَ ذٰلِكَ ظَهيرٌ
To Beshak Allah Unka Madadgaar He Aur Jibrail Aur Nek Imaan Wale, Or Uske Baad Farishte Madad Par Hai.
*📚(Surah-66, Surah Tehrim Aayat-4)*

In Aayate Kareema Se Wazeh He Ki Allah Ki Ata Se Ambiya E Kiram, Malaaikane Izaam Or Imaan Wale Yaani Awliya E Kiram Momineen Ki Madad Farmate Hai...

Sarkar Aala Hazrat Alaihir Rahmato Ridwan Taherir Farmate Hai,
Shah Wali Ullah Ham'aat Me Hadeese Nafs Ka Ilaaj Batate Hai,
بارواحِ طیبہ مشائخ متوجہ شود وبرائے ایشاں فاتحہ خواند یا بزیارت قبر ایشاں رود ازانجا انجذاب دریوزہ کند
Mashaaikh Ki Paak Roohoñ Ki Janib Mutawajjah Ho Or Unke Liye Fatiha Parhe Ya Unke Mazaarat Ko Jaye Or Wahañ Se Bheek Maange..
*📚(ہمعات ہمعہ ۸ اکادیمیۃ الشاہ ولی اللہ حیدر آباد ص۳۴)*

Kisi Se Bheek Maangni Yuñhi Ma'aqool Ki Vo Uski Arz Sune Or Uski Taraf Tawajjeh Kare, Warna Diwaroñ Paththaroñ Se Kya Bheek Maangna..

Or Shah Sahaab Tafseere Azeezi Me Dafn Ko Ne'amate Ilaahi Thahra Kar Uske Manaafe'a W Fawaaid Me Likhte Hai,
ازاولیائے مدفونین انتفاع واستفادہ جاریست
Madfoon Awliya Se Nafa'a Or Faaida Talab Karna Jaari He..
*📚(تفسیر فتح العزیز پارہ عم استفادہ ازاولیاء مدفونین مسلم بک ڈپو لال کنواں دہلی ص۱۴۳)*

Kashful Gutaa Me He,
ارواح کمل کہ درحینِ حیات ایشاں بہ سبب قرب مکانت ومنزلت از رب العزت کرامات وتصرفات وامداد داشتند بعد از ممات چوں بہماں قرب باقیند نیز تصرفات دارند چنانچہ درحین تعلق بجسد داشتند یا بیشتر ازاں۔
Kaamileen Ki Rooheñ Unki Zindagi Me Rabbul Izzat Se Qurbe Maratabat Ke Baais Karamaat W Tasarrufaat Or Haajat Mandoñ Ki Imdaad Farmaya Karti Thi Baad Wafaat Jab Vo Arwaah Shareefa Usi Qurbo Aizaaz Ke Sath Baaqi Hai To Ab Bhi Unke Tasarrufaat Waise Hi Hote Hai Jaise Jism Se Dunyavi Ta'alluq Ke The Ya Usse Bhi Zyada..
*📚(کشف الغطاء فصل دہم زیارت القبور مطبع احمدی دہلی ص۸۰)*

Imaam Gazaali Quddassirahul Aali Phir Shaikh Muhaqqiq Phir Shaikhul Islaam Farmate Hai,
واللفظ لشرح المشکٰوۃ حجۃ الاسلام امام غزالی گفتہ ہر کہ استمداد کردہ مے شود بوی درحیات استمداد مے شود بوی بعدازوفات۔
Alfaaz Sharah Mishkaat Ke Hai: Hujjatul Islam Imam Gazaali Farmate Hai Jis Se Zindagi Me Madad Maangi Jaye Usse Baade Wafaat Bhi Madad Maangi Jaye.
*📚(اشعۃ اللمعات باب زیارۃ القبور مکتبہ نوریہ رضویہ سکھر ۱ /۷۱۵)*

Imaam Ibne Hajar Makki Phir Shaikh Ne Sharooh Mishkaat Me Farmaya,
صالحاں رامدد بلیغ است بہ زیارت کنند گانِ خود رابر اندازہ ادب ایشاں۔
Saliheen Apne Zaaireen Ke Adab Ke Mutabiq Unke Liye Be Panah Madad Farmate Hai..
*📚(اشعۃ اللمعات باب زیارۃ القبور مکتبہ نوریہ رضویہ سکھر ۱ /۷۱۵)*

Saiyed Jamaal Makki Ke Fatawa Me Imam Shahaabuddin Ramli Se Manqool,
للانبیاء والرسل والاولیاء والصالحین اغاثہ بعدموتھم۔
Ambiya W Rasool W Awliya W Saaliheen Baade Rahlat Bhi Faryaad Rasi Karte Hai.
*📚(فتاوٰی جمال بن عمر مکی)*

Ham Jahaañ Tak Samajhte He Ki Duaa Karne Wala Khuda Se Duaa Karta He Or Us Banda E Muqarrab Ki Roohaniyat Ko Wasila Banata He Ya Us Banda E Muqarrab Se Arz Karta He Ki Ay Khuda Ke Bande Or Uske Dost ! Meri Shafa'at Kijye Or Khuda Se Duaa Kijye Ke Mera Matloob Mujhe Ata Farmade.. Agar Ye Ma'ana Shirk Ka Baais Ho Jaisa Ki Munkir Ka Khayale Baatil He To Chahiye Ki Awliya Allah Ko Unki Hayaate Dunya Me Bhi Wasila Banana Or Unse Duaa Karna Mamnoo'a Ho Halaanki Ye Bil-ittifaaq Mustahab W Mustahsan Or Deen Ma'aroof W Mash'hoor He. Arwaahe Kamileen Se Istemdaad Or Istigfaar Ke Bare Me Mashaaikhe Ahle Kashf Se Jo Riwayaat W Waqeaat Warid Hai Vo Hisr W Shumaar Se Baahar Bai Or Un Hazraat Ke Rasaail W Kutub Me Mazkoor Or Unke Darmiyan Mash'hoor Hai, Hameñ Unko Bayan Karne Ki Zaroorat Nahiñ Or Shayad Hat Dharm Munkar Ke Liye Unke Kalimaat Sood Mand Bhi Na Ho..
*📚(اشعۃ اللمعات باب حکم الاسراء فصل ۱ مکتبہ نوریہ رضویہ سکھر ۳ /۴۰۱)*

Kashful Guta Me He,
Istemdaad Se Inkaar Ki Koi Sahih Wajah Nazar Nahiñ Aati, Magar Ye Ki Sare Se Rooh W Badan Ke Ta'alluq Ka Hi Bilkul Inkaar Kardeñ. Or Ye Nass Ke Khilaf He.. Is Taqdeer Par To Qabroñ Ke Paas Jaana Or Ziyarat Karna Sab Lagw Or Be Ma'ana Ho Jata He, Or Ye Ek Dusri Baat He Jiske Khilaf Tamam Aasar W Ahaadis Daleel Hai, Or Istemdaad Ki Soorat Kya He ? Yahi Ki Haajat Mand Apni Haajat Khuda E Azzawajal Se Banda E Muqarrab Ki Roohaniyat Ko Wasila Karke Talab Karta He. Ya Us Bande Ko Nida Karta He Or Arz Karta He Ki Ay Khuda Ke Bande Or Uske Dost ! Meri Shafa'at Kijye Or Mere Matloob Ke Liye Khuda Se Duaa Kijye, Isme To Shirk Ka Koi Shaaiba Bhi Nahiñ Jaisa Ki Munkar Ka Waham W Khayal He..
*📚(کشف الغطاء فصل دہم زیارت قبور مکتبۃ احمد دہلی ص ۸۱ -۸)*
*📚(Mulakhkhsan Fatawa Razviya Mutarjim, J-9, Mas'ala-272)*

Lihaza Is Tarah Dua Karna Ki Ay Allah Falaañ Buzurg Ke Wasile Se Meri Duaa Qubool Farma Ya Ye Kahna Ki Ay Allah Ke Wali Mere Haq Me Allah Se Dua Farma Dijye Ya Un Awliya Kiram Se Madad Talab Karna Ki Meri Madad Farmaye Sab Soorteñ Jaaiz He Ki Isme Haqeeqi Madadgaar Allah Ta'ala Hi He Or Awliya E Kiram Allah Ki Ata Se Bando Ki Farmyaad Rasi Karte Hai...

Mazeed Tafseel Ke Liye Aala Hazrat Alaihir Rahmato Ridwan Ka Risala 
رسالہحیاۃ الموات فی بیان سماع الاموات(۱۳۰۵ھ)
Ka Muta'ala Farmaye...
Wallahu Ta'ala Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
*🗓21 March 2023, 28 Shabanul Muazzam 1444*
📲+91
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Jab Se Balig Hua Be Ilmi Me Sahih Tarah Se Gusl Na Kiya Sirf Nahaya Ho Aysi Soorat Me Padhi Gai Namazoñ Ka Hukm

 *Jab Se Balig Hua Be Ilmi Me Sahih Tarah Se Gusl Na Kiya Sirf Nahaya Ho Aysi Soorat Me Padhi Gai Namazoñ Ka Hukm* *🌹SAWAL:-🌹* اَلسَلامُ ع...

Popular Posts