Hamila Aurat Or Dudh Pilane Wali Aurat Ko Ramzan Ke Roze Rakhna Ke Hukm ? Bache Ke Sehat Ke Dar Se Roza Na Rakhna

 *🌹SAWAL:-🌹*
Assalamu Alaikum Hazrat  Mera Sawal Ye Hai
Agar Hamila Ramadan Ke Roze Na Rakhe Q Ki Bahot Kamzor Hai Aor Pahela Hamal Hai Aor Uska Shaohar Aor Uske Ghar Wale Nahi Chahte Ki Wo Roze Rakhe Unko Darr Hai Ki Bache Ko Kisi Chiz Ki Kami Na Ajaye Ya Koi Dikkat Na Ho Jaye To Ayse Me Kya Hukum Hai

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Hamila Or Dudh Pilane Wali Aurat Ko Ijazat He Ki Vo Us Waqt Roza Na Rakh Sake To Chhod De Or Baad Me Uski Qaza Kare.... Jabki Apni Ya Bachche Ki Jaan Ke Hilak Hone Ka Khatra Ho, Is Ki Shar'an Ijazat He...

Bahare Shariyat Me He,
Hamal Waali Or Dudh Pilane  Wali Ko Agar Apni Jaan Ya Bachcha Ka Sahih Andesha He, To Ijazat Hs Ki Us Waqt Roza Na Rakhe, Khwah Dudh Pilane Wali Bachhe Ki Maañ Ho Ya Daai Agarche Ramzaan Me Dudh Pilane Ki Naukri Ki Ho.
*📚(Bahare Shariyat, H-5, Bayan Un Wajhoñ Ka Jisse Roza Na Rakhne Ki Ijazat He, Mas'ala-5)*

Our Is Tarah Ka Dar Rakhna Ke Maañ Ke Roza Rakhne Ke Sabab Bachche Me Koi Kami Aayegi, Ye Jahaalat He... Balki Wo Bachcha Saabir O Shakir Hoga. ان شاء اللہ
Wallahu Ta'ala Aa'alam
*_✍🏻Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Qasim Raza Sahab Misbahi_*
*📬Masjide Hazrat Bilaal, Nadiyad Gujarat*
*🗓️22 March 2023, 29 Shabanul Muazzam 1444*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+91
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?*

 *Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?* *🌹SAWAL:-🌹* اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ Jacket Ki Chain K...

Popular Posts