*🌹SAWAL:-🌹*
Zaid Ne Kufriya Ash'aar Wala Status Whatsapp Status Par Rakha To Kya Us Par Hukme Kufr Hoga ?
اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ
Jis Shakhs Ne Yaqeeni Taur Us Kufri Alfaaz Ko Samajh Kar, Jaanbujh Kar Us Kufri Ash'aar Ya Gaane Par Razaamandi Ka Izhaar Karke Aysa Status Rakha Ya Sms Kiya Or Suboote Sharai Se Sabit Bhi Ho Jaaye Ki Ye Status Usi Ne Rakha He Ya Ye Sms Usi Ne Kiya He To Yaqeenan Us Par Tajdeede Imaan Or Biwi Wala Ho To Tajdeede Nikah Laazim Hoga.....
Lekin Agar Ek Shakhs He Jo Kisi Dusre Shakhs Ke Bare Me Puchh Raha He Ki Fulaañ Aadmi Ne Status Lagaya Ya Fulaañ Aadmi Ne Aysa Sms Kiya He Us Waqt Uspe Hukme Sharai Lagaane Ke Liye Suboote Sharai Or Yaqeen Wagairah Darkaar Zaroor Hoga...
Jaisa Ki Baraily Shareef Me Mun'aqid Hone Wale 19ve Fiqhi Seminar Me Tay Hua Ki,
Kufr W Irtedaad, Fisqo Dalaalat Or Mo'asiyat W Gunaah Par Mushtamil SMS Karne Wale Ya Dusroñ Tak Pahunchand ( Forward Karne ) Wale Par Suboote Sharai Or Tahqeeq Ke Bagair Koi Hukme Shara'a Nahiñ Lagaya Ja Sakta He..
Wallahu Ta'ala Aa'alam Bis-Sawab
*_🎙 Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Taufiq Raza Sahab Misbahi_*
*📬Tadriso Ifta Darul Uloom Qadriyah Razviyah, Petlad*
*🗓️21 March 2023, 28 Shabanul Muazzam 1444*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+91
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
No comments:
Post a Comment