Saari Pahan Kar Namaz Padhna Kesa ?

 *🌹SAWAL:-🌹*
Saari Pahan Kar Namaz Padhna Kesa ?

*🌹JAWAB:-🌹*
اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Is Tarah Saari Pahanna Jisse Be Pardagi Na Ho Or Namaz Me Jin Aaza Ko Chhupana Zaroori He Vo Chhupe Rahe To Usme Namaz Padhna Jaaiz He, Or Is Tarah Ki Saari Pahanna Jisme Be Pardagi Ho To Use Pahan Kar Namaz Padhna Jaaiz Nahiñ..

Fatawa Faizur Rasool Me He,
Saari Is Tarah Pahni Jaaye Ki Be Pardagi Na Ho To Jaaiz Or Agar Be Pardagi Ho To Najaaiz He, Or Niche Ki Janib Khule Rahne Me Koi Qabaahat Nahiñ He Is Liye Ki Shariyate Mutahhara Ne Saari Or Tahband Pahan Kar Namaz Padhne Ko Jaaiz Qaraar Diya He Or Huzur ﷺ Hamesha Tahband Hi Istemaal Farmate Raheñ.
*📚(Fatawa Faizur Rasool, J-2, S-601)*

Lihaza Jis Tarah Ki Saari Pahanna Jaaiz He Usme Namaz Padhna Bhi Jaaiz He...
Wallahu Ta'ala Aa'alam
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
*🗓20 March 2023, 27 Shabanul Muazzam 1444*
📲+9
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?*

 *Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?* *🌹SAWAL:-🌹* اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ Jacket Ki Chain K...

Popular Posts