Musibat zada Ko Dekh Kar Maut Ki Dua Karna Kesa ?

 *🌹SAWAL:-🌹*
Salam Hazrat 

Kisi Preshan Shaks Ko Dekh Kr Uske Liye Mot Ki Dua Krna Kesa Hai? 

Kya Esi Dua Krne Wale Pr Toba Lazim Hai? 

Rehnumai Frmaye

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Hadees Sharif Me Mumaniat Aai He, Dunyawi Takalif O Masaaib Ke Sabab Khud Ke Liye Mout Mangne Ke Bare Me,blihaza Jab Apne Liye Mout Nahi Mang Sakte To Dusre Ke Liye Kyoñ Kar Sahih Ho Sakta He... Albatta Duniyawi Fitno Ke Sabab Apna Deeni Nuqsan Ho To Sahaba E Kiram Se Mout Ki Tamnna Sabit He... Hadees Sharif Me He Ke Tum Se Koi Mout Ki Arzu Na Kare Ke Agar Wo Nekokar Hoga To Uski Nekiyo Me Izafa Hoga Our Gunehgar Ho To Allah Use Nekiyoñ Ki Taraf Ruju'a Ki Taufiq De.. 
او کما قال صلی اللہ علیہ وسلم۔

Jaisa Ki Sharhush Sudoor Me He,
Huzur Nabi E Kareem  ﷺ Ki Chachi Ummul Fazl Bayan Karti Hai Ki Aap  ﷺ Hamare Yaañ Tashreef Laye To Aap Ke Chacha Hazrat Abbas Radiallahu Anhu Ne Bimari Ki Takleef Ki Wajah Se Mout Ki Tamanna Ki To Aap  ﷺ Ne Irshad Farmaya: Chacha Jaan! Mout Ki Tamanna Hargiz Na Kareñ, Agar Aap Nekokaar Hai To Zinda Rahna Or Apni Nekiyoñ Me Izafa Karte Rahna Aap Ke Liye Bahetar He, Or Gunahgar Hai To Jeena Or Nekiyoñ Ki Taraf Ruju'a Kar Lena Bahetar He, Algraz Mout Ki Tamanna Hargiz Mat Kareñ...
*📚(Musnad Imam Ahmad, 10/256)*

Hazrat Saiyeduna Abu Hurairah Radiallahu Anhu Se Marwi He Ki Huzur Nabi E Akram  ﷺ Ne Irshad Farmaya: Tum Me Se Koi Bhi Mout Aane Se Pahle Uski Tamanna Na Kare Or Na Hi Uski Duaa Kare Magar Ye Ki Use Apne Amal Par Bharosa Ho..
*📚(Musnad Imam Ahmad, 3/195, 263)*
*📚(Sharhush Sudoor Mutarjim, S-42,43)*

Aysi Dua Karne Se Parhez Kare Our Touba Kare. Wallahu Ta'ala Aa'alam
*_✍🏻Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Qasim Raza Sahab Misbahi_*
*📬Masjide Hazrat Bilaal, Nadiyad Gujarat*
*🗓️25 Jan 2023, 2 Rajab 1444*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+91
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Qurbani Ke Liye Afzal Din Konsa He?

 *Qurbani Ke Liye Afzal Din Konsa He?* *🌹SAWAL:-🌹* Hazrat Ki Bargah Me Swal Hai Ki Qurbani Kis Din Krana Zyada Afzal Aur Bhtr Hai

Popular Posts