Shohar Ke Paas Paisa Na Ho To Aurat Apne Maa Baap Se Paisa Le sakti He ?

 *🌹SAWAL:-🌹*
Shohar Ke Paas Itna Paisa Nahi Ki Aurat Ka Kahrcha Utha Sake.. Ladki Ka Shohar Bhi Apne Walid Ke Paiso Se Kharch Karta He... To Kya Aurat Apne Shohar Ke Hote Huve Apne Maañ Baap Se Paise Le Sakti He ??

*🌹JAWAB:-🌹*
اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Aysi Halat Me Jabki Naan O Nafqa Par Qudrat Na Ho, Nikah Karna Makrooh He, Our Apni Biwi Ka Naan O Nafqa Wagairah Uske Shohar Par He Na Ki Kisi Our Par... Balki Ladka Balig Ho Jaae To Ab Uska Kharch Wagairah Baap Par Lazim Nahi.. Fir Bhi Baap Uspar Ya Uske Ahl O Ayaal Par Kharch Karta He, Wo Tabrro W Ehsaan He, Lazim Nahi.. 

Lihaza Soorat E Masoula Me Agar Us Shakhs Ka Baap Apni Khushi W Raza Se Apne Bete Ya Bahu, Our Pote Par Kuchh Kharch Karta He To Ye Ehsaan Hoga.. Kar Sakta He Albtta Na Kare To Us Par Jabr Nahi Kiya Ja Sakta...

Is Liye Ke Ladke Ke Balig Ho Jane K Bad Baap Par Uska Nafqa Wajib Nahiñ...

Jaisa Ki Bahare Shariyat Me He,
Balig Hone Ke Baad Baao Par Nafqa Wajib Nahiñ Ab Agar Akhrajaat Ka Mutakffil Ho To Tabra'a W Ahsaan He.
*📚(Bahare Shariyat, H-8, Nafqa Ka Bayan, Mas'ala-15)*

Or Ek Jagah Farmaya,
Jis Aurat Se Nikah Sahih Huva Uska Nafqa Shohar Par Wajib He Aurat Musalman Ho Ya Kafira, Aazad Ho Ya Makaatiba, Mohtaaj Ho Ya Maaldaar, Dukhool Huva Ho Ya Nahiñ, Baliga Ho Ya Nabaliga Magar Nabaliga Me Shart Ye He Ki Jima'a Ki Taqat Rakhti Ho Ya Mushtahaat Ho.. Or Shohar Ki Janib Koi Shart Nahiñ Balki Kitna Hi Sageerus Sin Ho Us Par Nafqa Wajib He Uske Maal Se Diya Jayega.. Or Agar Uski Milk Me Maal Na Ho To Uski Aurat Ka Nafqa Uske Baap Par Wajib Nahiñ Haañ Agar Uske Baap Ne Nafqa Ki Zamaanat Ki Ho To Baap Par Wajib He.
*📚(Bahare Shariyat, H-8, Nafqa Ka Bayan, Mas'ala-2)*

Yaani Aurat Ka Nafqa Sirf Uske Shohar Par Wajib He, Na Biwi Ke Bap Par Na Shohar Ke Bap Par Albatta Kuchh BaTour Ehsan De To Le Sakta He... Magar Zabardasti Nahi Ki Ja Sakti...

Or Shohar Agar Nadaari Ke Sabab Nafqa Dene Se Aajiz He To Us Ki Wajah Se Tafreeq Na Ki Jaye. Yuñhi Agar Maaldaar He Magar Maal Yahañ Maujud Nahiñ Jab Bhi Tafreeq Na Kareñ Balki Agar Nafqa Muqarrar Ho Chuka He To Qaazi Hukm De Ki Qarz Lekar Ya Kuchh Kaam Karke Sarf Kare Or Vo Sab Shohar Ke Zimma He Use Dena Hoga...
*📚(Bahare Shariyat, H-8, Nafqa Ka Bayan, Mas'ala-46)*

Agar Baap Muflis He To Kamaye Or Bachchoñ Ko Khilaye Or Kamane Se Bhi Aajiz He Maslan Apaahij He To Dada Ke Zimma Nafqa He Ki Khud Baap Ka Nafqa Bhi Is Soorat Me Usi Ke Zimma He...
*📚(Bahare Shariyat, H-8, Nafqa Ka Bayan, Mas'ala-66)*

Nafqa Se Murad Khana, Kapda, Rahne Ka Makan He .
*📚(Bahare Shariyat, H-8, Nafqa Ka Bayan, Mas'ala-1)*

Lihaza Shohar Agar Apaahij Nahiñ To Biwi Ka Naano Nafqa Usi Par He, Shohar Ke Ya Aurat Ke Walidain Par Wajib Nahiñ.. Wo Khushi Se De To Thik, Un Par Bhi Lazim Nahi.. Balki Sohar Par Mehnat Mazduri Kar Ke Apne Ahl O Ayal Ka Nafqa Hasil Karna Lazim He... Albatta Wo Bahut Kamzor Ya Bimar He To Uski Madad Ki Niyyat Se Dusre Log Usko De Sakte He Ya Faqir Ho To Zakat Bhi Le Sakta He..
Wallahu Ta'ala Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Qasim Raza Sahab Misbahi_*
*📬Masjide Hazrat Bilaal, Nadiyad Gujarat*
*🗓️29 Jan 2023, 6 Rajab 1444*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+9
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?*

 *Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?* *🌹SAWAL:-🌹* اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ Jacket Ki Chain K...

Popular Posts