*🌹SAWAL:-🌹*
Agar Kisi Ne Koi Mannat Maani Ki Mera Falañ Kaam Ho Jaye To Mai Allah Ke Naam Ki Deg Utaruga (Neez Ke Logo Ko Khana Khilauga Allah Ke Naam Ka ) Or Usne Nhi Kiya Toh Kya Wo Un Paiso Se Apni Behon Ka Roza Khulwa Sakta Hai Ya Deg Utarni Lazim Hai
Tafseel Se Baten
اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ
Deg Utaarne Ya Khana Khilane Ki Mannat Manna Ibadate Maqsoodah Or Az Qabeel Waajibat Nahiñ Agar Kare To Sawab Paayega Or Na Kare To Koi Gunah Nahiñ Jab Vo Niyaz Kare To Us Khane Ko Ameer Gareeb Sabhi Kha Sakte Hai Or Agar Vo Chahe To Apni Bahenoñ Par Uski Qeemat Ko Sarf Kar Sakta He.
Fatawa Bahrul Uloom Me Isi Tarah Ke Sawal Ke Jawab Me Bahrul Uloom Mufti Abdul Mannan Aazmi Alaihir Rahma Irshad Farmate Hai,
Zikr Ki Hui Mannateñ Ibadate Maqsoodah Or Az Qabeel Waajibat Nahiñ Is Liye Mannat Maan Lene Ke Baad Bhi Unka Wahi Hukm Rahega Ki Karo To Sawab Or Na Karo To Koi Gunah Nahiñ.
*📚(Kitabul Aimaan Wannazoor, J-4, S-443)*
واللہ تعالیٰ اعلم
*✍🏻 Al-Jawab: Hazrat Mufti Dilshad Ahmad Zaiyai Amjadi Sahab Qibla*
*📬Khadim Sadrushshariyah Darul Ifta W Darul Uloom Raza E Mustafa, Bharuch, Gujarat*
*🗓️9 Apr 2023, 17 Ramzanul Mubarak 1444*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+91
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
No comments:
Post a Comment