*🌹SAWAL:-🌹*
اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ
Kya Farmate Hai Aulma E Deen Is Mas'ala Ke Bare Me Ba'az Jagah Qabrastanoñ Me Dekha Gaya He Ki Log Kahte Hai Murde Ko Qabr Me Mitti Dene Ke Baad Ki Tum Apne Hath Mat Jharo Jo Gard Logoñ Ke Hath Par Murde Ko Mitti Dalte Waqt Lag Jati He Uske Bare Me Kya Sharaee Hukm He ?
*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ
Murde Ko Dafn Karte Waqt Hath Me Jo Mitti Lagi Use Jhar Dena Chahiye Ya Dho Bhi Sakte He Isme Koi Harj Nahiñ...
Jaisa Ki Huzur Sadrushshariyah Alaihir Rahmato Ridwan Taherir Farmate Hai,
(Murde Ko Dafn Karte Waqt) Hath Me Jo Mitti Lagi He, Use Jhaar Deñ Ya Dho Daaleñ Ikhtiyar He.
*📚(Bahare Shariyat, H-4, Qabro Dafn Ka Bayan, Mas'ala-18)*
Wallahu Ta'ala Aa'alam
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
*🗓️10 Apr 2023, 18 Ramzanul Mubarak 1444*
📲+918487928693
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
No comments:
Post a Comment