*🌹SAWAL:-🌹*
Asslam Alaikum
Hazrat Ek Swal Hai Ki Huzur Mustufa ﷺ Ko Tum Kah Kar Nahi Mansoob Kar Sakte Jaise Naat Me Kai Jagah "Tum Noor E Khuda Ho" Aisa Kah Kar Nahi Pukar Skte "Aap" Kah Kar Pukarna Chahiye, Kya Naat Me Tu Tera Tum Wagairah Alfaaz Istemal Kar Sakte He ? Iski Tashreeh Farma Dijye..
*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ
Naate Paak Ya Manqabat Me Huzur ﷺ Ya Buzurgane Deen Ke Liye " Tu, Tera, Tum, Teri, Tujhse" Wagairah Alfaaz Istemal Karna Jaaiz W Durust He Or Isme Koi Be Adbi Nahiñ.. Agarche "Tera, Tum" Wagairah Tarah Ke Alfaaz Urdu Zabaan Me Nasr Me Aam Bol Chaal Me Kamtar Darje Ke Liye Ya Apne Se Chhote Ke Liye Bole Jate He Or Bade Ke Liye Bolne Par Be Adbi Samjha Jata Ho Magar Nazm Me Naato Manqabat Me Is Tarah Ke Alfaaz Adab Ke Daairah Me Aata He Or Ye Tazeem Ke Khilaf Nahiñ.. Balki Hamare Buzurgane Deen Ne Bhi Jaise Mauana Room, Allama Jaami, Huzur Aala Hazrat, Huzur Mufti Aazame Hind Is Tarah Ke Alfaaz Istemal Kiye.. Or Tamaam Urdu Adab Ke Sho'ara Naato Manqabat Ya Shero Shayri Me "Tu, Tera, Tum" Wagairah Alfaaz Ko Be Adab Nahiñ Mante Or Ye Alfaaz Istemal Karte He... Lihaza Isme Koi Harj Nahiñ...
Sirajul Fuqha Ki Deeni Majaalis Me He,
Naatiya Shayri Me Is Tarah Ke Alfaaz Ka Istemal Karna Jaaiz He.. Asl Me Har Zabaan Or Har Maahol Ka Urf Alag Alag He, Adab Or Taazeem Ki Buniyad Urf Par Huva Karti He. Nasr Me Ye Alfaaz Boleñge To Vo Adab Ke Khilaf Hoga Or Nazm Ke Urf Me Ye Alfaaz Adab Ke Daaire Me Aata He Or Taazeem Ke Khilaf Nahiñ Samjha Jata. To Jo Kalam Jis Maahol Me Parha Jaye Usi Maahol Ke Urf Me Iska Matlab Samjhna Chahiye..
Jaise Zamana E Risaalat Me Sahaba E Kiram Jute Pahan Kar Masjid Me Aate The, Us Zamane Ke Urf Ke Mutabiq Jute Pahan Kar Masjid Me Aana Adab Ke Khilaf Nahiñ Tha Or Agar Aaj Koi Jute Pahan Kar Masjid Ke Andar Dakhil Ho Jaye To Ye Adab Ke Sarasar Khilaf Samjha Jayega. Wajah Wahi He Ki Aaj Ka Urf Badal Chuka He, Maahol Badal Chuka He, Kal Ke Maahol Me Jute Pahan Kar Masjid Me Aana Be Adbi Nahiñ Tha, Magar Aaj Be Adbi He, To Is Wajah Se Aysa Farq Parta He..
Isi Tarah Arbi Zaban Me
کَ Or کُم, انتَ Or انتم
Bola Jata He Jiska Ma'ana Tera Or Tum He Arbi Zaban Me Badoñ Ke Liye Ye Alfaaz Bolne Me Koi Be Adbi Nahiñ Or Urdu Nasr Me Lafz "Tera" Or "Tujh" Ko Be Adbi Tasawwur Kiya Jata He.
Khulasa Ye He Ki Ye Sab Cheezeñ Izaafi Hai K Kisi Cheez Ki Taraf Nisbat Karte Huve Adab He Or Kisi Ki Taraf Nazr Karte Huve Be Adbi He. Maaloom Hua Ki Jis Tarah Zamana E Risaalat Ki Taraf Nisbat Karte Huve Masjid Me Jute Pahan Kar Jana Be Adbi Nahiñ Tha Isi Tarah Nazm W Naat Ki Taraf Nisbat Karte Huve Lafz "Tera" Koi Be Adbi Nahiñ
*📚(Sirajul Fuqha Ki Deeni Majaalis, S-129)*
Or Fatawa Mushahidi Me He,
Naat Shareef Me Bargahe Risaalat ﷺ Ke Adab W Ehteram Ka Paas W Lihaaz Karte Huve Zamaair "Tu" Or "Tera" Or Unki Izaafi Soortoñ Ka Istemal Bila Shubah Kiya Ja Sakta He. Is Liye Ki 'Tu, Tera, Tum' Wagairah Logatan Agarche Zameer Mukhatib Or Kalma E Khitab He Jo Adna Ki Taraf Kiya Jata He. Lekin Ye Muaamla Sirf Nasr Tak Hi Mahdood He Nazm Me Muaamla Iske Khilaf He.
Jaisa Ki Jaamiah Ashrafiyah Mubarak Pur Ke Rukn Majlise Shora W Maroof Adeeb Doctor Shakeel Aazmi Sahab 'Tu', 'Tum', Or 'Tera' Wagairah Zamaair Ki Tahqeeq Karte Huve Is Tarah Raqam Taraaz Hai:
Tu, Tum, Tera Wagairah Agarche Lugatan Zameer Mukhatib Or Kalma E Khitab He Jo Adna Ki Taraf Kiya Jata He. Farsi Me 'Tu' Or 'Shama(شما)' Arbi Me' Ant(انت), Antum (انتم) ; Laka (لک), Baka (بک), Wagairah Ek Hi Andaaz Me Istemal Hote Bai Khwah Mukhatib Adna Or Kamtar Darje Ka Ho Ya Aala Or Bartar Darje Ka... Lekin Urdu Me Tu, Tera, Tum Jaise Kalimaat Khitab W Zamaair E Adna Or Kamtar Darje Ke Liye Musta'amal Hai Lekin Ye Muaamla Sirf Nasr Tak Hi Mahdood He. Nazm Me Muaamla Isse Mukhtalif He.
Chunanche Qawaaide Urdu Az Maulwi Abdul Haqq Me Saaf Darj He Ki Nazm Me Aksar Mukhatib Ke Liye 'Tu' Likhte Hai Yahañ Tak Ki Bare Bare Logoñ Or Badshahoñ Ko Bhi Is Tarah Mukhatib Kiya Jata He..
Agarche Lagwi Aitebaar Se Tu Or Tera Ke Alfaaz Kamtar Darje Waaloñ Ke Liye Waz'a Kiye Gaye Hai Lekin Ahle Zabaan Pyaro Muhabbat Ke Liye Bhi Inka Istemal Karte Hai Or Kisi Bhi Zabaan Me Ahmiyat Ahle Zabaan Ke Muhawraat Or Iste'amaalaat Hi Ko Haasil Hui He Is Liye Naate Paak Me Inka Istemal Qat'an Durust He Or Isme Kisi Tarah Ki Be Adbi Or Sharaee Qabaahat Nahiñ.
*📚(Mahnaama Ashrafiyah Sitamber 2000 Mubarak Pur, S-48,49)*
Ishqo Muhabbat Or Adabo Ehteram Ke Paikare Jameel Saiyedi Sarkar Aala Hazrat Or Aap Ke Shahzade Huzur Mufti E Aazam Quddassirahuma Bargaahe Risalat Ke Ayse Naat Go Shayar Hai Ki Shayad W Baayad Kahiñ Jinki Misaal W Nazeer Mile. In Sahibaane Ilmo Hikmat W Ma'arefat Ke Sher Me Sharaee W Adabi Or Ehtiyat Ke Vo Jalwe Or Jawaahir Muztar Hai Jo Dusroñ Ke Yahañ Shaazo Naadir Hi Paaye Jate Hoñ. Fanne Naat Goi Ke Ayse Mumtaaz W Munfarid Aashiqaane Rasool ﷺ Ne Bhi Apni Naatiya Kalam Me "Tu, Tera, Tum" Wagairah Jaise Zamaair Istemal Farmaya He.
*📚Mulakhkhsan: (Fatawa Mushahidi, S-417,418)*
Wallahu Ta'ala Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
*🗓9 Apr 2023, 17 Ramzanul Mubarak 1444*
📲
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
No comments:
Post a Comment