*_Biwi Ko Talaq Dene Ke Baad Nikah Karne Ka Mas'ala_*
*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamualaikum Va Rahmatullahi Va Barakatuhu
Hazrat Ustazul Ulma Ustaze Mohtaram *Mufti Tofik Sahab* Ki Bargah Me Ye Sawal Hai Ki Zaid Ne Apni Biwi Ko Talaq De Diya Ab Zaid Ko Usse Hi Nikah Karna Hai to Is Ka Masala Kiya Hai
Rehnumaee Farmaiye Badi Navazish Hogi
*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ
Zaid Ne Agar Apni Biwi Ko Ek Talaqe Rajaee Ya Do Talaqe Rajaee Di Thi To Usko Is Baat Ka Ikhtiyar Tha Ki Vo Iddat Hi Ke Andar Usse Ruju'a Kar Leta... Is Soorat Me Dubara Nikah Ki Zaroorat Pesh Na Aati or 2 Talaqe Rajaee Dene Ke Baad Ruju'a Kar Lene Ki Soorat Me Ab Aaindah Sirf Ek Hi Talaq Ka Maalik Rahega..
Aur Agar Ek Ya Do Talaqe Rajaee Dene Ke Baad Ruju'a Na Kiya Hatta Ki Iddat Guzar Gai Ab Agar Dubara Uska Lana Chhata He to Sirf Nikah Karleñ, Uske Baad Usko Wapas La Sakta He... Yaani Iddat Guzarne Ke Baad Dubara Nikah Karke Usko Wapas La Sakta He...
Lekin Agar Zaid Ne Apni Biwi Ko 3 Talaqe Mugallaza Dedi to Ab Aysi Soorat Me Bagair Halala Kiye Huve Usko Wapas Nahiñ La Sakta...
Aysa Hi *📚Bahare Shariyat, Aur Aam Kutube Fiqh* Me Marqoom He..
Wallahu Ta'ala Aa'alam Bis-sawab
*_🎙 Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Taufiq Raza Sahab Misbahi_*
*📬Tadriso Ifta Darul Uloom Qadriyah Razviyah, Petlad*
*🗓️25 June 2023, 6 Zul Hijja 1444*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+91
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
No comments:
Post a Comment