*_Qurbani Ka Pura Gosht Apne Liye Rakh Lene Wale Par Kya Hukm He_*
*🌹SAWAL:-🌹*
Assalam Alaikum
Qurbani Ke Gosht Teen Hisson Me Taksim Karne Ka Hukum Hai Log Sahi Se Ek Hissa Bhi Taksim Nahin Karte or Sara Ka Sara Apne Pass Rakh Lete Hai Aise Karne Wale Ke Upar Kya Hukum Hai Shariyat Mein
*🌹JAWAB:-🌹*
Huzur Sadrushshariyah BadrutTariqah Alaihir Rahmato Ridwan Taherir Farmate Hai Ki,
Qurbani Ka Gosht Khud Bhi Kha Sakta He Or Dusre Shakhs Gani Ya Faqeer Ko De Sakta He, Khila Sakta He, Balki Usme Se Kuchh Kha Lena Qurbani Karne Wale Ke Liye Mustahab He.
Bahetar Ye He Ki Gosht Ke 3 Hisse Kare Ek Hissa Fuqra Ke Liye or Ek Hissa Dost W Ahbaab Ke Liye or Ek Hissa Apne Ghar Waloñ Ke Liye, Ek Tihaai Se Kam Sadqa Na Kare.. Or Kul Sadqa Kar Dena Bhi Jaaiz He or Kul Ghar Hi Rakh Le Ye Bhi Jaaiz He.. Teen Din Se Zaaid Apne Ghar Waloñ Ke Khane Ke Liye Rakh Lena Bhi Jaaiz He or Ba'az Hadeesoñ Me Jo Iski Mumaneat Aai He Vo Mansookh He Agar Us Shakhs Ke Ahlo Ayaal Bahut Hoñ or Sahibe Wus'at Nahiñ He to Bahetar Ye He Ki Sara Gosht Apne Baal Bachchoñ Hi Ke Liye Rakh Chhore..
*📚(Bahare Shariyat, H-15, Qurbani Ke Gosht Posht Wagairah Ka Kya Kare, Mas'ala-21)*
Ab Agar Koi Shakhs Kuchh Bhi Qurbani Ka Gosht Gareeboñ Me Taqseem Na Kareñ Balki Khud Khane Ke Liye Rakhde to Ye Bhi Jaaiz He, Koi Gunah Nahiñ.. Aur Is Me Laan Taan Karna Hargiz Rava Nahiñ...
Wallahu Ta'ala Aa'alam Bis-sawab
*_🎙 Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Taufiq Raza Sahab Misbahi_*
*📬Tadriso Ifta Darul Uloom Qadriyah Razviyah, Petlad*
*🗓️25 June 2023, 6 Zul Hijja 1444*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+91
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
No comments:
Post a Comment