Darji Ka Aurat Ke Fashion Wale Ya Be Parda Kapde Sina Or Uski Ujrat Ka Hukm

 *_Darji Ka Aurat Ke Fashion Wale Ya Be Parda Kapde Sina Or Uski Ujrat Ka Hukm_*

*🌹SAWAL:-🌹*
الســـلام علیکم ورحمتہ اللہ وبرکاتہ
Aj Kal Jo  Ledies Tailor Ka Kam Karte Hai Ye Amdani Jaiz Hai Jab Ke Tailor Ko Pata Hai Ki Aj Kal Ki Aurate (Muslim) Achhi Achhi Desain Wale Kapde Bana Kar Sadi Me Jayegi or Waha Be Parda Rahe Gi or Woh Aurte Kapde Aise Hi Banati Hai K Waha Sab Hamko Dekhe Hamare Kapde Dusri Aurto Se Achhi Design Wale Lage
Ye Pata Hone K Bawajud Tailor Aisi Aurato K Kapde Siye to Kya Ye Silai Ki Ujarat Le Sakte Hai.or Is Tarha Ka Kam Jo Gunah Me Madad Ho Karna Kaisa Us Kya Huqm Hai ?

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Ye Mas'ala Taqreeban Dadhi Mundne or Us Par Ujrat Lene Ki Tarah He,

Dadhi Mundne Ka Hukm Ye He Ki,
Musalman Naai Ke Liye Dadhi Mundne Ki Ujrat Lena Haram He... Wajah Ye He Ki Dadhi Mundna or Mundana Haram He or Haram W Najaaiz Kaam Par Ujrat Lena Bhi Haram W Najaaiz He.

Durre Mukhtar Me He,
 ” ولا تصح الاجارۃ لاجل المعاصی مثل الغناء والنوح والملاھی ” 
*📚(در مختار باب الاجارہ الفاسدہ, جلد ٦ صفحہ ٥٥)*

Or Bahrur Raaiq Me He,
” وان اعطاھا الاجر لا یحل لہ ویجب علیہ ردہ علی صاحبہ ” ١ھ. 
*📚(جلد ٨ صفحہ ٢٠)*
Yahi Soorat Be Parda Kapde Silne Me Bhi He Ki Ayse Kapde Silna Jo Beparda Ho Jisse Vo Hissa Nazar Aaye Jiska Chhupana Farz Ho or Zahir Karna Haram Ho...

Aur Haram Kaam Par Madad Bhi Haram He...

Qur'aan Paak Me He,
وَ لَا تَعَاوَنُوۡا عَلَی الۡاِثۡمِ وَ الۡعُدۡوَانِ ۪
*📚(Surah Maaidah, Aayat-2)*
واللہ تعالی اعلم
*✍️Al-jawab: Hazrat Allama Mufti Alfaz Quraishi Najmi Sahab Qibla*
*📬Khatibo Imam Lasha Masjid, Karnataka*
*🗓️16 June 2023, 26 Zul Qa'ada 1444*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+91
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Jab Se Balig Hua Be Ilmi Me Sahih Tarah Se Gusl Na Kiya Sirf Nahaya Ho Aysi Soorat Me Padhi Gai Namazoñ Ka Hukm

 *Jab Se Balig Hua Be Ilmi Me Sahih Tarah Se Gusl Na Kiya Sirf Nahaya Ho Aysi Soorat Me Padhi Gai Namazoñ Ka Hukm* *🌹SAWAL:-🌹* اَلسَلامُ ع...

Popular Posts