Gair Muslim Ke Ango Ko Muslim Ke Jism Me Dalna ? aa'aza E Jism.Ki Pewandkaari Ka Hukm

 *🌹SAWAL:-🌹*
Kya Kisi Gair Muslim Ke Ango Ko Kisi Muslim Ke Jism Me Dakhil Kar Sakte Hai Yaani Koi Gair Muslim Ke Angdaan Ko Kubul Kar Sakte Hai????

*🌹JAWAB:-🌹*
اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ
Allah Tabarak W Ta'ala Ne Insan Ko Ye Jism Ata Farmaya or Ye Jism Insanoñ Ke Paas Amaanat Ke Taur Par He.. Lihaza Kisi Bhi Qism Ka Tasarruf Karne Ka Haq Insan Ko Haasil Nahiñ, to Is Wajah Se Bhi Ham Kisi Musalman Ya Gair Musalman Ka Uzw Nikaal Kar Chahe Vo Zinda Ho Ya Murda Hamare Badan Me Nahiñ Kaga Sakte.. 

Or Dusri Wajah Ye He Ki Jo Bhi Uzw Murda Ya Zinda Aadmi Ke Badan Se Juda Hua Vo Napaak He, Najees Be or Us Najees Hisse Se Ham Apna Ilaaj Nahiñ Kara Sakte Ye Bhi Haraam He.. Or Bahut Saari Wajhe He Jisko Hamare Aulma E Kiram Fuqha E Izaam Ne Usko Bayan Farmaya He, 

Iske Liye Aap Bareily Shareef Me Hone Wale Seminar Mulahiza Kare Jisme Is Ta'alluq Se Faisla Hua...

Or Majlise Sharai Ke Faisle Me Bhi He,
Dusre Zinda Insaan Ka Uzw Kaat Kar Istemaal Karna Halate Iztaraar Me Bhi Jaaiz Nahiñ Hota.. 

Usi Ke Hashya Me He,
Insan Apne Aa'aza Aankh, Gurde, Phephre Wagairah Ka Malik Nahiñ, Ye Tamaam Aa'aza Bande Ke Paas Allah Azzwajal Ki Amaanat Hai, Lihaza Insan Apne Ye Aa'aza Na to Dusre Ke Hath Bech Sakta He Na Kisi Ko Hiba Ya Khairat Kar Sakta He, Na Hi Apne Kisi Azeez Wagairah Ke Liye Ba'ade Wafaat Ye Aa'aza Dene Ki Wasiyat Kar Sakta He. Yuñ Hi Dusra Shakhs Kisi Insaan Se Aa'aza Na Kharid Sakta He Na Hi Aa'aza Ka Hiba, Sadqa Ya Wasiyat Qubool Kar Sakta He, Na Le Sakta He..
Mazeed Tafseel *📚(Sahifa E Majlise Sharai, J-3)* Me Mulahiza kar sakte hai

Makhuz az *📚(Majlise Sharai Ke Faisle, S-183, 184)*
Wallahu Ta'ala Aa'alam Bis-Sawab
*_🎙 Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Taufiq Raza Sahab Misbahi_*
*📬Tadriso Ifta Darul Uloom Qadriyah Razviyah, Petlad*
*🗓️11 June 2023, 21 Zul Qa'ada 1444*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+918
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Jab Se Balig Hua Be Ilmi Me Sahih Tarah Se Gusl Na Kiya Sirf Nahaya Ho Aysi Soorat Me Padhi Gai Namazoñ Ka Hukm

 *Jab Se Balig Hua Be Ilmi Me Sahih Tarah Se Gusl Na Kiya Sirf Nahaya Ho Aysi Soorat Me Padhi Gai Namazoñ Ka Hukm* *🌹SAWAL:-🌹* اَلسَلامُ ع...

Popular Posts