25 Saal Pahle Nikah Hua Mahar Ada Nahi Kiya Tha To Mahar Ki Raqam Tab Jo Thi Vahi Ada Kare Ya Is Zamane K Hisab Se ?

 *🌹SAWAL:-🌹*
Assalsmualikum
Janab Mera Nikah May 1995 Me Hua Hai, Maher Ki Rakam Rs. 786 Mukarrar Hui 
Hai, Lekin Aaj Tak Main Wo Rakam Ada Nahi Kiya, Lekin Abhi Main Wo Rakam 
Biwi Ko Dena Chahta Hu.
Janab Abhi Shadi Ko 25 Saal Ho Gaye Hai. Meherbani Hogi Ki Muje Aap Bataye 
Aaj Ke Tarikh Me Muje Biwi Ko Maher Ki Kitni Rakam Ada Karni Hogi.

Regards,
Shaikh Dawood Usman

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Kam Se Kam Maher 10 Dirham Chandi He Ya Uske Barabar Qimat Ya Koi Cheez. Lihaza Aap Ka Nikah 1995 Yani Taqriban Aaj Se 25 Saal Pehle Huwa Tha Our Us Waqt Maher 786 Rp Rakhkha Gaya Tha to Biwi Ko Wahi Maher Milega Jo Pehle Yaani Waqt E Aqd Muqarrar Kiya Gaya Tha.. Albatta Jo Maher Muqarrar Huwa Tha Wo 10 Dirham Ya Uske Barabar Qimat Se Kam Tha to Utna Zyadah Kar Ke Maher Diya Jayega Our Agar 10 Dirham Ya Uske Barabar Ki Qimat Maher Me Muqarrar Thi to Ab Us Par Zyadah Aurat Nahi Le Sakti...

Bahaar E Shariat Hissa 7 Me He
Mahar Kam Se Kam Das (10) Dirham He Usse Kam Nahiñ Ho Sakta, Jis Ki Miqdaar Aaj Kal Ke Hisab Se 12 Aa, 95/3 Paai He Khwah Sikka Ho Ya Waisi Hi Chandi Ya Us Qeemat Ka Koi Saman, Agar Dirham Ke Siwa Koi or Cheez Mahar Thahri to Uski Qeemat Aqd Ke Waqt Das 10 Dirham Se Kam Na Ho or Agar Us Waqt to Usi Qeemat Ki Thi Magar Baad Me Qeemat Kam Ho Gai to Aurat Wahi Paayegi Pherne Ka Use Haq Nahiñ or Agar Us Waqt Das (10) Dirham Se Kam Qeemat Ki Thi or Jis Din Qabza Kiya Qeemat Barh Gai to Aqd Ke Din Jo Kami Thi Vo Legi, Maslan Us Roz Uski Qeemat Aath Dirham Thi or Aaj Das (10) Dirham He to Aurat Vo Cheez Legi or Do Dirham or Agar Us Cheez Me Koi Nuqsan Aa Gaya to Aurat Ko Ikhtiyar He Ki Das Dirham Le Ya Vo Cheez..
*📚(Bahare Shariyat, H-7, Mahar Ka Bayan)*

10 Dirham Ka Wazan 2 Tola Sadhe Saat Maasha Yani 30 Gram 618 Miligram Hota He ..
Ab Ye Dekha Jaega Ki Aap Ka Nikah Jab Huwa (1995) Us Waqt 10 Dirham Chandi Ki Kya Qeemat Thi.. Agar Is Ko Aap Googal Par Search Kare to Pata Chalega Ke Us Waqt 1 Kg Chandi Ki Qimat India Me  Taqriban 6335 Thi Is Lihaz Se Dekha Jaae to Ek Gm Chandi Ki Qimat Us Waqt 6.335 Yaani 6 Rupees 335 Pese Thi Usko 30.618 Se Guna Kare (30.618×6.335) to 193.965 Yaani 194 Rupees Hota He, Our Maher Jo Bandha Gaya Tha Wo 786 Tha Yaani Zyadah Tha.. Lihaza Utna Hi Maher Paayegi Jitna Muqarrar Huva.. 
Note: [ye Hisab Andaze Se Kiya H Magr Is Tarah Asl Mas'ale Ko Hal Kiya Ja Sakta He.]
Wallahu Ta'ala Aa'alam Bis-sawab
*✍🏻Al-Jawab: Hazrat Allama Mufti Qasim Raza Sahab Misbahi*
*📬Masjide Hazrate Bilal, Nadiyad*
*🗓️12 March 2024, 1 Ramzan Ul Mubarak 1445*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+91
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?*

 *Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?* *🌹SAWAL:-🌹* اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ Jacket Ki Chain K...

Popular Posts