Aurat Ka Miswak Karna Kesa ?

 *🌹SAWAL:-🌹*
Assalamu Alaikum
Ek Shakhs Ka Sawal Hai Auraten  Miswak Kar Sakti Hai Ya Nahin ?

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Aurtoñ Ke Liye Miswaak Karna Ummul Muamineen Aaisha Siddiqua Radiallahu Anha Ki Sunnat He, Lekin Aurtoñ Ke Liye Mustahab Ye He Ki Vo Miswak Ke Bajaye Dusri Naram Cheezeñ, Maslan Missi Ke Zarye Daant Saaf Kare, Kyuñki Aurtoñ Ke Daant Mardoñ Ke Muqable Me Kamzor Hote Hai..

Abu Dawood Shareef Ki Hadeese Paak Me He,
عن عائشة، أنها قالت: «كان نبي الله صلى الله عليه وسلم يستاك، فيعطيني السواك لأغسله، فأبدأ به فأستاك، ثم أغسله وأدفعه إليه
Ummul Muamineen Hazrat Aaisha Siddiqua Radiallahu Anha Farmati Hai Ki Nabi E Akram ﷺ Miswak Karke Mujhe Dharne Ke Kiye Dete to Me Khud Usse Miswak Shuru'a Kar Deti Phir Use Dho Kar Aap Ko De Deti.
*📚(سنن أبي داود في كتاب الطهارة، باب غسل السواك، جلد 01، صفحہ 14، مطبوعہ مکتبۃ العصریہ بیروت )*

Is Hadeese Paak Ke Tahat Miraatul Manaajeeh Me He,
Hazrat Aaisha Siddiqua Tabarrukan Ye Miswak Kartiñ, Phir Dho Kar Huzur Ki Khidmat Me Pesh Karti, Warna Aurtoñ Ke Liye Mustahab Ye He Ki Bajaye Miswak, Sakra, Missi Istemaal Kareñ, Ungli Se Daant Saad Kareñ, Kyuñ Ki Inse Masode Kamzor Hote Hai.
*📚(مرآۃ المناجیح جلد 01، صفحہ 263، مطبوعہ نعیمی کتب خانہ گجرات )*

Raddul Muhtaar Me He,
أي في الثواب إذا وجدت النية، وذلك أن المواظبة عليه تضعف أسنانها فيستحب لها فعله 
Aurat Ke Liye Miswak Par Qudrat Hone Ke Bawajood Ilk (Gund) Miswak Ke Sawab Me Qaaim Maqaam Ho Jayegi Jab (Sawab Ki) Niyyat Paai Jayegi, Ye Is Wajah Se He Ki Miswak Par Muwazabat (Yaani Hameshgi) Se Aurtoñ Ke Daant Kamzor Ho Jate Hai Lihaza Unke Liye Ilk Karna Mustahab He..
*📚( رد المحتار علی الدر المختار، جلد 01، صفحہ 115، مطبوعہ دار الفکر بیروت )*

Or Malfoozate Aala Hazrat Me He,
Aurtoñ Ke Liye Miswaak Karna Ummul Muamineen Hazrate Aaisha Siddiqua Radiallahu Ta'ala Anha Ki Sunnat He Lekin Agar Vo Na Kareñ to Harj Nahiñ.. Unke Daant or Masodhe Ba Nisbat Mardoñ Ke Kamzor Hote Hai, Unke Liye Missi (Yaani Ek Qism Ka Manjan) Kaafi He.
*📚(Malfoozate Aala Hazrat, S-357, Matbooah Maktabul Madina Karachi)*
Wallahu Ta'ala Aa'alam Bis-sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
*🗓️12 March 2024, 1 Ramzan Ul Mubarak 1445*
📲+9
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Dakhile Masjid Or Kharije Masjid Konsa Area He Or Masjid Me Azan Dena Kesa?

 *🌹SAWAL:-🌹* Assalamu Alaikum Masjid Ka Kon Sa Area Dakhile Masjid He or Kitna Kharije Masjid? Or Kya Azaane Jumaa K Siwa Diger Azan Dakhi...

Popular Posts