Kaffara Ke 60 Roze Rakh Raha Tha Darmiyan Me Ramzan Aa Gaya To Kya Dubara Se Sab Roze Rakhega ?

 *🌹SAWAL:-🌹*
Assalamu Alaikum.
Koi Shakhs Adaaygiye Qaffara K Roze Rakh Raha He or Darmiyan Me Ramzan Ka Mahina Aagaya to Us Ka Qaffara Adaa Hoga?
(Kaffara Ke Vo Roze Jo Halate Roza Me Woh Kaam Kiya Jis K Kerne Per Qaffara Lazim Aata He)

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Kaffare Ke Roze Ada Karne Me Shart Ye He Ke Na Ramzan Ho Na Eid Ul Fitr Na Eid Ul Adha Na Hi Ayyam E Tashriq Ho, Yaani in Dino Me Kaffare Ke Roze Nahi Rakh Sakta, Lihaza Agar Wo Kaffare Ke Roze Ada Kar Raha Tha Our Darmiyan Me Ramzan Aa Gaya Our Wo Musafir Nahiñ He Balki Muqim He to Dubara Se Kaffare Ke 60 Roze Musalsal Rakhne Padeñge, Albatta Agar Musafir Ho to Ramzan Me Kaffare Ke Roze Rakh Sakta He...

Bahaar E Shariat Hissa 8 Me He,
Roze Se Kaffara Ada Karne Me Ye Shart He Ki Na Is Muddat Ke Andar Maahe Ramzaan Ho, Na Eid Ul Fitr, Na Eid Ul Ad'ha Na Ayyame Tashreeq.. Haañ Agar Musafir He to Maahe Ramzan Me Kaffara Ki Niyyat Se Roza Rakh Sakta He.. Magar Ayyame Manhiya (Vo Ayyam Jinme Roza Rakhna Mana'a He, Yaani Eid Ul Fitr, Eid Ul Ad'ha, or Gyarah Barah Tera Zulhijjah)Me Use Bhi Ijazat Nahiñ.
*📚(Bahare Shariyat, H-8, Kaffara Ka Bayan, Mas'ala-15)*

Roze Todne Ka Kaffara Ye He Ki Mumkin Ho to Ek Ruqba Yaani Baandi Ya Gulam Aazad Kare or Ye Na Kar Sake Maslan Uske Paas Na Londi Gulam He, Na Itna Maal Ki Kharide Ya Maal to He Magar Ruqba Mayassar Nahiñ Jaise Aaj Kal Yahañ Hindustan Me, to Pe Dar pe Sath (60) Roze Rakhe, Ye Bhi Na Kar Sake to Saath 60 Miskeen Ko Bhar Pet Donoñ Waqt Khana Khilaye or Roze Ki Soorat Me Agar Darmiyan Me Ek Din Ka Bhi Chhut Gaya to Ab Se 60 Roze Rakhe, Pahle Ke Roze Mahsoob Na Hoñge Agarche Unsaath (59) Rakh Chuka Tha, Agarche Bimari Wagairah Kisi Uzr Ke Sabab Chhuta Ho, Magar Aurat Ko Haiz Aa Jaye to Haiz Ki Wajah Se Jitne Naage Huve Ye Naage Nahiñ Shumar Kiye Jayeñge Yaani Pahle Ke Roze or Haiz Ke Baad Wale Donoñ Mil Kar 60 Ho Jaane Se Kaffara Ada Ho Jayega..
*📚(Bahare Shariyat, H-5, Baab Un Soortoñ Ka Bayan Jinme Kaffara Bhi Lazim He, Mas'ala-25)*

Musafir Ko Bhi Eid Ul Fitr or Zul Haj Ki 10, 11, 12, 13 Tarikh Ko Kaffara Ke Roze Ki Ijazat Na Hogi, Sirf Ramzan Me Musafir Ho to Kaffare Ka Roza Rakh Sakta He...
Wallahu Ta'ala Aa'alam Bis-sawab
*✍🏻Al-Jawab: Hazrat Allama Mufti Qasim Raza Sahab Misbahi*
*📬Masjide Hazrate Bilal, Nadiyad*
*🗓️28 Feb 2024, 17 Shaban Ul Muazzam 1445*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+9
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?*

 *Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?* *🌹SAWAL:-🌹* اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ Jacket Ki Chain K...

Popular Posts