*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamualaikum Hazrat Mufti Sahab Qibla Ki Bargaah Me Arz He Ki Kisi Maalike Nisaab Shakhs Ne Kisi Dusre Ko Ek Laakh Rupye Qarz Diya Fo Us Ek Laakh Ki Zakaat Ada Karni Hogi Halaañki Use He Bhi Nahiñ Maloom Ki Maqrooz Qarz Kab Ada Karega ??
*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ
Qarz Me Di Hui Raqam Ki Zakat Hogi, Magar Waajibul Ada Us Waqt Hogi Jab Vo Wusool Ho Jaye.. Lihaza Agar Chand Saaloñ Ke Baad Wusool Hui to Aysi Soorat Me in Salaha E Guzishta Ki Bhi Zakat Nikalni Hogi, Agar Kisi Ne Badi Raqam Qarz Me Di He or Use Ye Lag Raha Ho Ki Kuchh Saaloñ Ke Baad Mujhe Ye Raqam Wusool Hogi to Aysi Soorat Me Munasib Yahi He Ki Vo Saal Ba Saal Zakat Nikaalta Jaaye Taaki Uske Liye Sab Ek Sath Zakaat Nikalne Ka Muamla Pesh Ho to Dubar Na Ho, Magar Wajib or Farz Nahiñ He.. Jab Use Ye Raqam Wusool Ho Jaye Us Waqt Jitne Saal Guzre Un Sab Ki Vo Ek Saath Zakat Nikalega.
Wallahu Ta'ala Aa'alam
*🎙️Al-Jawab: Hazrat Allama Mufti Muzzammil Barkati Sahab Qibla*
*📬Baani Sadrushshariyah Academy W Sadrul Mudarriseen W Mufti Darul Uloom Anware Madina Khambhaliya, Gujarat*
*🗓️19 March 2024, 8 Ramzanul Mubarak 1445*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+91
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
No comments:
Post a Comment