Biwi Ki Razaai Bahan Se Nikah Ka Hukm?

 *Biwi Ki Razaai Bahan Se Nikah Ka Hukm*

*🌹SAWAL:-🌹*
اَلسَّلامُ عَلَيْكُمْ وَرَحْمَةُ اَللّٰهِ وَبَرَكاتُهُ
Hazrat Aap Ke Bargah Mai Sawal Hai Ki Zaid Ka Aik Shadi Hua Bibi Zinda Hai Zaid Ka Aik Chachara Behen Hai Joh Uska Dudh Behen (Razai Behen) Bhi Hai Yani Zaid Ka Saas Ka Dudh Piya Hai Chota Mai . Toh Zaid Uss Razai Behen Koh Dusre Shadi Ke Jariye Dusre Bibi Kar Sakte Hai ? Shariyat Ka Kya Hukm Hai ? 
Jaise Mujhe Thoda Jankari Hai Ki Zaid Aik Sath Do Behen ( Jo Apna Behen ) Ko Shadi Nehi Kar Payega Jab Tak Pahli Bibi Zinda Hai . Toh Waise Dudh Behen ( Razai Behen ) Ka Fatwa Kya Hoga , Jawab Inayat Farmaye

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Soorate Mas'ula Me Jo Dusri Aurat He, Chahe Vo Zaid Ki Razaai Bahan Ho Ya Zaid Ki Biwi Ki Razaai Bahan Ho, Donoñ Hi Soorat Me Us Ladki Se Nikaah Karna Najaaiz W Haraam He Ki Yaa to Ye Shohar or Vo Ladki Aapas Me Razaai Bhai Bahan He Ya Zaid Ki Biwi or Uski Razaai Bahan He, Donoñ Aapas Me Do Bahne He... Or Aysi Aurat Ko Apne Nikah Me Jama'a Karna Ye Najaaiz Aur Haraam He.. 

Bahare Shariyat Me Huzur Sadrushshariyah Badrut Tareeqah Mufti Amjad Ali Aazmi Alaihir Rahma Tahreer Farmate Hai Ki,
Aysi Do Aurteñ Jin Me Is Qism Ka Rishta Ho Jo Upar Mazkoor  Huva Vo Nasab Ke Sath Makhsoos Nahiñ Balki Dudh Ke Ayse Rishte Hoñ Jab Bhi Donoñ Ka Jama'a Karna Haram He, Maslan Aurat or Uski Razaai Bahan Ya Khala Ya Phoophi.
*📚(Bahare Shariyat, H-7, Muharramat Ka Bayan, Mas'ala-30)*
Wallahu Ta'ala Aa'alam Bis-sawab
*_🎙Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Taufiq Raza Sahab Misbahi_*
*📬Tadriso Ifta Darul Uloom Qadriyah Razviyah, Petlad*
*🗓️14 Nov 2023, 29 Rabi Ul Aakhir 1445*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+91
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?*

 *Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?* *🌹SAWAL:-🌹* اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ Jacket Ki Chain K...

Popular Posts