Pasine Wale Kapdoñ Me Namaz Padhna Kesa ?

 *🌹SAWAL:-🌹*
Assalamualaikum
Garmi Ka Mausam Hai
Pasine Se Sare Kapde Bhig Jate Hain 

Isi Halat Me Namaz Padna Kaisa

*🌹JAWAB:-🌹*
Insan Ka Pasina Paak He Agarche Kitna Hi Ho, Agarche Junub Ya Haiza Aurat... Or Pasine Ki Halat Me Parhi Gai Namaz Bhi Ho Jayegi... Albatta Itna Pasina Ho Ki Jism Se Zyada Badbu Aati Ho to Is Halat Me Masjid Me Jane Ki Ijazat Nahiñ.. 

Sarkar Aala Hazrat Alaihir Rahmato Ridwan Taherir Farmate Hai,
Badan Se Nikalne Wali Cheez Do Qism Ki He, Paak or Napaak, Paak Nikalne Se Taharat Nahiñ Jaati Jaise Aansu, Paseena, Thuk, Rinth, Insan Ka Dudh...
*📚(Fatawa Razviya Mutarjim, J-1, S-354, Mas'ala -7)*

Or Ek Jagah Farmate Hai,
Junub Ka Pasina Misl Uske Luaabe Dahan Paak He.
Durre Mukhtar Me He,
Aadmi Ka Jhuta Mutlaqan Paak He Chahe Junubi Ho Ya Kafir Ho, or Pasine Ka Hukm Jhute Jaisa He..
*📚درمختار باب المیاہ مطبوعہ مجتبائی دہلی ١/٤٠*
*📚(Fatawa Razviya Mutarjim, J-4, Safha-380, Mas'ala-166)*

Or Usi Me Hai,
Jo Cheez Aadatan Badan Se Baha Karti Hoñ or Usse Wuzu Na Jata Ho Jaise Aansu, Paseena, Dudh, Balgam, Naak Ki Rezish Wo Agarche Kitni Hi Kasrat Se Nikle Naqize Wuzu Nahiñ Agarche Uski Kasrat Baja E Khud Ek Marz Gini Jati Ho.
*📚(Fatawa Razviya Mutarjim, J-1, S-367, Raza Foundation)*

Or Agar Paseena Is Tarah Ho Ki Jism Se Zyada Badbu Aati Ho Jisse Dusre Namazi Ko Eiza Pahunche to Masjid Me Jana Jaaiz Nahiñ..

Jaisa Ke Fatawa Razviya Me He,
Jis Ke Badan Me Badboo Ho Ki Usse Namaziyoñ Ko Eiza Ho Maslan Ma'azallah Ganda Dahan (Yaani Jiske Muñh Se Badbu Aane Ki Bimari Ho), Ganda Bagal (Yaani Jiske Bagal Se Badbu Aane Ka Marz Ho) Ya Jis Ne Kharish Wagairah ke Baais Gandhak Mili Use Bhi Masjid Me Na Aane Diya Jaye..
*📚(Fatawa Razviya Mutarjim, J-8, S-72, Mas'ala-1117)*

Or Itni Badbu Na Aati Ho Ki Mahsoos Na Hoti Ho to Masjid Me Jana Jaaiz He, Ki Paak Badboo Jaisa Ki Aksar Logoñ Ke Badan Me Paseene Ki Badbu Hoti He Magar Libaas Ke Niche Chhupi Hui Hoti He or Mahsoos Nahiñ Hoti to Is Soorat Me Masjid Ke Andar Jane Me Koi Harj Nahiñ.. Isi Tarah Agar Rumal Me Paseene Wagairah Ki Badbu He Jaise Ki Garmi Me Muñh Ka Pasina Puchhne Se Aksar Ho Jati He To Aysa Rumal Masjid Ke Andar Na Nikale Jeb Me Hi Rahne De, 
Iski Misaal Dete Huve Mufti Ahmad Yaar Khan Naeemi Alaihir Rahma Farmate Hai,
Masjid Me Mitti Ka Tel Jalana Bhi Jaaiz Nahiñ Ki Mitti Ka Tel Badbu Daar Cheez He... (or Aage Farmaya) Haañ Agar Kisi Soorat Se Mitti Ke Tel Ki Badbu Uda Di Jaye Ya Is Tarah Lamp Wagairah Me Band Kiya Jaye to Iski Badbu Zahir Na Ho to Jaaiz He.
*📚(Fatawa Naeemiya, S-49)*

Lihaza Paseene Ki Halat Me Namaz Padhna Jaaiz He, Agarche Paseene Se Pure Kapde Bhige Ho, Jabki Zyada Badboo Na Aati Ho, or Koi or Najsat Na Lagi Ho.. Haañ Agar Zyada Badbu Aati Ho To Usko Masjid Jana Jaaiz Nahiñ.. Agar Thodi Si Bu Ho Chhupi Hui Ke Mahsoos Na Hoti Ho to Harj Nahiñ..  or Bahetar Yahi He Ki Agar Mayassar Ho to Kapde Badal Kar Saaf Suthre Kapdo Me Namaz Padhe...
Wallahu Ta'ala Aa'alam Bis-sawab 
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
*🗓️2 May 2024, 22 Shawwal 1445*
📲+91
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Jab Se Balig Hua Be Ilmi Me Sahih Tarah Se Gusl Na Kiya Sirf Nahaya Ho Aysi Soorat Me Padhi Gai Namazoñ Ka Hukm

 *Jab Se Balig Hua Be Ilmi Me Sahih Tarah Se Gusl Na Kiya Sirf Nahaya Ho Aysi Soorat Me Padhi Gai Namazoñ Ka Hukm* *🌹SAWAL:-🌹* اَلسَلامُ ع...

Popular Posts