Shawwal Ke Mahine Me Umrah Par Jane Wale Par Kya Haj Farz Ho Jayega

 *🌹SAWAL:-🌹*
اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ
Hazrat Shawwal K Mahine Me Umrah Par Jane Walo Par Haj Farz Ho Jati Hai ???

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Bareily Shareef Me Mun'aqid Hone Wale Fiqhi Seminar Me Is Ta'alluq Se Faisla Hua Ki,

Kisi Shakhs Ne Maahe Shawwal Me Umrah Kiya or Uske Paas Ayyame Haj Tak Wahañ Thaharne or Khane Pine Ki Isteta'at Na Ho to Us Par Haj Farz Nahiñ, Yuñhi Ahlo Ayaal Ke Nafqa Par Qudrat Na Ho Jab Bhi Haj Farz Nahiñ Ki Isteta'at Zaad or Nafqa E Ayaal Sharte Wujoob He..

Jo Shakhs Khane Pine Ki Isteta'at Na Rakhta Ho Agarche Uske Paas Haj Tak Ka Visa Ho Us Par Haj Farz Na Hoga...

Jo Gani Makka Mukarrama Me He or Ayyame Haj Tak Wahañ Thaharne Ka Visa Nahiñ or Shawwal Ka Hilaal Ho Chuka Ho to Sharaaite Wujoob Ada Paye Jane Ki Wajah Se Us Par Haj Ki Adayegi Wajib Hogi, or Vo Hukme Muhsar Me Hoga or Mana'a Minal Sultan Ki Wajah Se Vo Saale Rawañ Haj Na Kar Sake to Gunahgaar Na Hoga, Albatta Saale Aaindah Adayegi E Haj Lazim Hogi. Or Agar Kisi Uzr Ki Wajah Se Khud Haj Na Kar Sake to Hajje Badal Ya Waqte Akhir Me Wasiyyat Kare.
*📚(Faisla Jaat Sharai Council, S-233,234)*
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
*🗓️30 Apr 2024, 20 Shawwal 1445*
📲+918
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Jab Se Balig Hua Be Ilmi Me Sahih Tarah Se Gusl Na Kiya Sirf Nahaya Ho Aysi Soorat Me Padhi Gai Namazoñ Ka Hukm

 *Jab Se Balig Hua Be Ilmi Me Sahih Tarah Se Gusl Na Kiya Sirf Nahaya Ho Aysi Soorat Me Padhi Gai Namazoñ Ka Hukm* *🌹SAWAL:-🌹* اَلسَلامُ ع...

Popular Posts