Gutkha Paan Masala Khana Kesa?

 *🌹SAWAL:-🌹*
Assalamualaikum Huzur Gutkha Pan Masala  Khana Kaisa Hai ?

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Itni Miqdar Me Tambaku Ya Gutkha Wagairah Khana Jis Se Aql Me Fitur Aa Jae Our Hawas Baqi Na Rahe Sehat Ke Liye Muzir Ho to Najaaiz He.. Our Kam Miqdar Me Ho Jis Se Nuqsan Na Ho to Kha Sakta He.. Magar Bachna Behtar Khas Kar Gutkha Se Ke Us Se Let Sawer Nuqsan Hota Hi He..

Fatawa Razwiyya Shareef Me Sarkar Aala Hazrat Se Suwal Hua Ki Paan, Chuna or Huqqa or Tambaku or Surti Khana Kesa He ?
Jiske Jawab Me Aapne Farmaya,
Paan Khana Jaaiz He or Utna Chuna Bhi Ki Zarar Na Kare or Utna Tambaku Bhi Ki Hawaas Par Asar Na Aaye, Yahañ Surti Tambaku Ko Hi Kahte Hai.
*📚(Fatawa Razviya Mutarjim, J-24, Mas'ala-243)*

Lihaza Khaye to Masjid Me Jaane Se Pehle Muñh Ko Achchhi Tarah Saaf Bhi Kar Le Ke Aysi Halat Me (Muñh Se Badbu Aati Ho) Namaz Makrooh Our Masjid Jana  Haram He Our Is Se Dusre Namaziyoñ Ko Bhi Taklif Pahunchegi Ye Bhi Haram..

Jaisa Ke *📚Fatawa Razwiyya Shareef Mutarjim Jild 7* Me Tambaku Ya Huqqa Ki Badbu Ke Ta'alluq Se Sawal Ke Jawab Me He,
Muñh Me Badbu Hone Ki Halat Me Namaz Makrooh or Aysi Hakat Me Masjid Me Jana Haram He, Jab Tak Muñh Saaf Na Karle, or Dusre Namazi Ko Eiza Pahunchi Haram He or Dusra Namazi Na Bhi Hoto Badbu Se Malaaika Ko Eiza Pahunchti He, 

Hadees Me He,
ان الملٰئکۃ تتأذی ممایتاذی منہ بنواٰدم
Kyuñ Ki Malaaika Har Us Shay Se Aziyyat Paate Hai Jis Se Bani Aadam Aziyyat Paate Hai.
*📚(Mas'ala-1009)*
Wallahu Ta'ala Aa'alam 
*✍🏻Al-Jawab: Hazrat Allama Mufti Qasim Raza Sahab Misbahi*
*📬Masjide Hazrate Bilal, Nadiyad*
*🗓️28 Apr 2024, 18 Shawwal 1445*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+918
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Jab Se Balig Hua Be Ilmi Me Sahih Tarah Se Gusl Na Kiya Sirf Nahaya Ho Aysi Soorat Me Padhi Gai Namazoñ Ka Hukm

 *Jab Se Balig Hua Be Ilmi Me Sahih Tarah Se Gusl Na Kiya Sirf Nahaya Ho Aysi Soorat Me Padhi Gai Namazoñ Ka Hukm* *🌹SAWAL:-🌹* اَلسَلامُ ع...

Popular Posts