Aurat Iddat Me Kya Kar Sakti He Kya Nahiñ ? Sarme Kangi Karna, Tel Dalna, Naye Kapde Pahanna ?

 *🌹SAWAL:-🌹*
Assalamualaikum Hazrat Aurat Jab Iddat Me Baithe to Kya Kya Kar Sakti H Kya Nhi 
Kya Wo Naye Kapde Pahn Sakti H 
Or Sir Me Tel Dal Sakti H Ya Kanga Kar Sakti H Thoda Tafseeli Jawab Inayt Kare 

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Jis Aurat Ka Shohar Faut Ho Jaye Us Par Iddat Me Sog Manana Zaroori Hota He.. Or Sog Ka Matlab Ye He Ki Aurat Iddat Me Zeenat Ko Tark Kare or Naye Kapde Pahanna, Sar Me Tel Daalna Ya Kangha Karna Bhi Zeenat Me Dakhil He, Lihaza Jab Tak Iddat Baaqi Ho Bila Zaroorate Sharai Naye Kapde Nahiñ Pahan Sakti or Na Sar Me Tel Daal Sakti He, Na Kangha Kar Sakti He, Haañ Agar Uzr Ho Ijazat He...

Jaisa Ki Huzur Sadrushshariyah Mufti Amjad Ali Aazmi Alaihir Rahmato Ridwan Taherir Farmate Hai,
Sog Ke Ye Ma'ana Hai Ki Zeenat Ko Tark Kare Yaani Har Qism Me Zewar Chandi Sone Jawaahir Wagairaha Ke Aur Har Qism or Har Rang Me Resham Ke Kapde Agarche Siyah Hoñ Na Pahne or Khushbu Ka Badan Ya Kaproñ Me Istemaal Na Kare or Na Tel Ka Istemal Kare Agarche Usme Khushbu Na Ho Jaise Rogan Zaitun or Kangha Karna or Siyah Surma Lagana. Yuñhi Sufeid Khushbudaar Surma Lagana or Mahendi Lagana or Za'afraan Ya Kusum Ya Geero Ka Ranga Huva Ya Surkh Rang Ka Kapda Pahanna Mana'a He in Sab Cheezoñ Ka Tark Wajib He... Yuñhi Purya Ka Rang Gulabi, Dhaani, Champai or Tarah Tarah Ke Rang Jin Me Taz'in (Yaani Banaw Singar) Hota He Sabko Tark Kare..

Jis Kapde Ka Rang Purana Ho Gaya Ki Ab Uska Pahanna Zeenat Nahiñ Use Pahan Sakti He. Yuñhi Siyah Rang Ke Kapde Me Bhi Harj Nahiñ Jabki Resham Ke Na Hoñ.

Uzr Ki Wajah Se in Cheezoñ Ka Istemal Kar Sakti He Magar Is Haal Me Uska Istemaal Zeenat Ke Qasd Se Na Ho Maslan Darde Sar Ki Wajah Se Tel Laga Sakti He Ya Tel Lagane Ki Aadi He Janti He Ki Na Lagane Me Darde Sar Ho Jayega to Lagana Jaaiz He. Ya Darde Sar Ke Waqt Kangha Kar Sakti He Magar Us Taraf Se Jidhar Ke Dandaane Mote Hai Udhar Se Nahiñ Jidhar Barik Hoñ Ki Ye Baal Sanwaarne Ke Liye Hote Hai or Ye Mamnoo'a He.. Ya Surma Lagane Ki Zaroorat He Ki Aankhoñ Me Dard He Ya Kharisht He (Ek Bimari Jisme Badam Par Phunsiya Nikal Aati He or Khujli Hoti He) to Reshmi Kapde Pahan Sakti He Ya Uske Paas or Kapde Nahiñ He to Yahi Reshmi Ya Ranga Huva Pahane Magar Ye Zaroor He Ki Unki Ijazat Zaroorat Ke Waqt He Lihaza Baqadre Zaroorat Ijazat He Zaroorat Se Zyada Mamnoo'a Maslan Aankh Ki Bimari Me Surma Lagane Ki Zaroorat Ho to Ye Lihaz Zaroori He Ki Siyah Surma Us Waqt Laga Sakti He Jab Sufaid Surma Se Kaam Na Chale or Agar Sirf Raat Me Lagana Kaafi He to Din Me Lagane Ki Ijazat Nahiñ..
*📚(Bahare Shariyat, H-8, Sog Ka Bayan, Mas'ala-1,2,3)*
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
*🗓️29 Apr 2024, 19 Shawwal 1445*
📲+918
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?*

 *Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?* *🌹SAWAL:-🌹* اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ Jacket Ki Chain K...

Popular Posts