Kya Sabqate Lisaani Se Kufriya Jumla Ada Hone Se Qaail Kafir Ho Jayega ?

 *Kya Sabqate Lisaani Se Kufriya Jumla Ada Hone Se Qaail Kafir Ho Jayega ?*

*🌹SAWAL:-🌹*
Kya Farmate Hai Aulma E Ahle Sunnat W Muftiyane Shariyat Is Mas'ala Me Ki Zaban Phisalne Ki Wajah Se Kufriya Baat Munh Se Nikal Gai to Kya Hukm He ? Jawab Inayat Farmayeñ
Al-Mustafti: Khubaib Khan, Mumbai 

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Agar Waqaee Zubaan Phisalne Ki Wajah Se Kufriya Kalma Muñh Se Nikal Gaya Maslan Kahna Kuchh Chahta Tha Magar Zubaan Se Aysi Baat Ya Lafz Nikal Gaya Jo Kufriya Ho or Vo Us Kufriya Kalma Se Nafrat W Bezari Ka Izhaar Bhi Kare Jis Se Sunne Wale Ko Maloom Ho Ki Galti Se Lafz Nikla He or Us Kufriya Kalma Par Data Na Raha to Qaail Par Hukme Kufr Na Hoga Albatta Ehtiyaatan Taubah W Istagfaar Ka Hukm Diya Jayega..

Khatimul Muhaqqiqeen Allama Ibne Aabedin Shami Qudassirrahus Saami Raqam Farmate Hai,
من تكلم بكلمة الكفر هازلا اولاعبا كفر عند الكل ولا اعتبار باعتقاده كما صرح به في الخانية و من تكلم بها مخطئا او مكرها لا يكفر عند الكل 
*📚[ شامی ، کتاب الجہاد، باب المرتد ، ج:۶، ص: ۳۵۸]*

Usi Me He,
 "ما كان خطأ من الالفاظ و لا يوجب الكفر فقائله يقر على حاله ، ولا يؤمر بتجديد النكاح ولكن يؤمر بالاستغفار والرجوع عن ذلك 
*📚[ ايضا ص : ٣٩١]*

Fatawa Hindiya Me He,
 الخاطى إذا أجرى على لسانه كلمة الكفر خطأبأن كان يريد أن يتكلم بما ليس بكفر فجرى على لسانه كلمة الكفر خطألم يكن ذلك كفر اعندالكل
*📚[كتاب السير ، الباب التاسع ، ج: ۲، ص: ۲۸۷]*

Majma'ul Anhar Fee Sharah Multaqil Ab'har Me He,
 ما كان خطأ من الالفاظ لا يوجب الكفر فقائله مؤمن على حاله و لا يؤمر بتجديد النكاح لكن يؤمر بالاستغفار والرجوع عن ذلك 
*📚[ كتاب السير ، باب المرتد، ج: ۲، ص: ۵۰۱ ، بیروت ]*

Sadrushshariyah Mufti Muhammad Amjad Ali Aazmi Alaihir Rahma Tahreer Farmate Hai,
Kahna Kuchh Chahta Tha or Zabaan Se Kufr Ki Baat Nikal Gai to Kafir Na Huva Yaani Jab Ki Us Amr Se Izhaare Nafrat Kare Ki Sunne Waaloñ Ko Bhi Maloom Ho Jaye Ki Galti Se Ye Lafz Nikla He or Agar Baat Ki Pach Ki(Ki Hui Baat Par Ada Raha) to Ab Kafir Ho Gaya Ki Kufr Ki Taeed Karta He..
*📚(Bahare Shariyat, Murtad Ka Bayan, J-2, S-456)*
Wallahu Ta'ala Aa'alam 
*✍🏻Mujeeb: Mahfoozurrahman Amjadi*
*📬Al-Mutakhassis Fil-Fiqhe Al-Hanfi, Imam Ahmad Raza Learning & Research Centre Nashik, Maharashtra*
*🗓️23 July 2024, 16 Muharram Ul Haraam1446*
*✅Qadd SahhalJawab, Wallahu Ta'ala Aa'alam Bis-sawab*
*_Abul Akhtar, Hazrat Allama Mufti Mushtaq Ahmad Amjadi Sahab Qibla_*
*📬Khadim: Azhari Darul Ifta, Nasik*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+91
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
*Amanat Me Khayanat Na Kare Yaani Post Ke Sath Chhedchhad Karne Ki Ijazat Nahiñ... Agar Kuchh Khami Ya Lafzi Galti Nazar Aaye To Admin Se Rabta Kare*

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Jab Se Balig Hua Be Ilmi Me Sahih Tarah Se Gusl Na Kiya Sirf Nahaya Ho Aysi Soorat Me Padhi Gai Namazoñ Ka Hukm

 *Jab Se Balig Hua Be Ilmi Me Sahih Tarah Se Gusl Na Kiya Sirf Nahaya Ho Aysi Soorat Me Padhi Gai Namazoñ Ka Hukm* *🌹SAWAL:-🌹* اَلسَلامُ ع...

Popular Posts