Zinda Shakhs Ka Apne Liye Chaliswañ Ka Fatiha Karvana Kesa ?

 *🌹SAWAL:-🌹*
السَّلامُ عَلَيْكُمْ وَرَحْمَةُ اللهِ وَبَرَكَاتُهُ
Maine Ek Shakhs Ko Aisa Kaihte Suna Hai Ki Wo Apna Chaliswa Karane Ko Kah Raha Tha Abhi Se Jabki Wo Jinda Hai  Kya Ye Sahi Hai Ya Nahin  
Jawab Inayat Farmaye

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Teeja Chalisvañ Wagairah Isale Sawab Hi Ki Ek Qism He, or Isale Sawab Zinda Ko Bhi Karna Jaaiz He.. Jabki Koi or Khilafe Shara'a Baat Na Ho...

Fatawa Faizur Rasool Me He,
Haañ, Apne Aamal Namaz W Roza or Haj W Zakat Wagairah Har Qism Ki Nekiyoñ Ka Sawab Zinda or Murda Donoñ Ko Bakhshna Jaaiz He..

Jaisa Ki *📚Fatawa Aalamgiri, J-1, S-240* Me He,
 أَنَّ الْإِنْسَانَ لَهُ أَنْ يَجْعَلَ ثَوَابَ عَمَلِهِ لِغَيْرِهِ صَلَاةً كَانَ أَوْ صَوْمًا أَوْ صَدَقَةً أَوْ غَيْرَهَا كَالْحَجِّ وَقِرَاءَةِ الْقُرْآنِ وَالْأَذْكَارِ وَزِيَارَةِ قُبُورِ الْأَنْبِيَاءِ عَلَيْهِمْ الصَّلَاةُ وَالسَّلَامُ وَالشُّهَدَاءِ وَالْأَوْلِيَاءِ وَالصَّالِحِينَ وَتَكْفِينِ الْمَوْتَى وَجَمِيعِ أَنْوَاعِ الْبِرِّ، كَذَا فِي غَايَةِ السُّرُوجِيِّ شَرْحِ الْهِدَايَةِ
Yaani Apne Amal Namaz, Roza, Zakat , Haj, Qira'at Qur'an W Azkaar Ka Sawab or Ambiya W Mursaleen Alaihumus Salat W Salam Shohda E Islam Awliya E Kiram W Buzurgane Deen Ki Qabroñ Ki Ziyarat Ka Sawab or Murdoñ Ki Tajheezo Takfeen Wagairah Har Qism Ki Nekiyoñ Ka Sawab Dusre Ko Bakhshna Jaaiz He..

Or *📚Bahrur Raaiq, J-3, S-59* Me He,
لا فرق بين أن يكون المجعول له ميتا أو حيا. 
Yaani Murda or Zinda Ko Sawab Bakhshne Me Koi Farq Nahiñ..
*📚(Fatawa Faizur Rasool, J-2, S-679)*
Wallahu Ta'ala Aa'alam Bis-Sawab 
*✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad*
*🗓️18 July 2024, 11 Muharramul Haram 1446*
📲+918
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
*Amanat Me Khayanat Na Kare Yaani Post Ke Sath Chhedchhad Karne Ki Ijazat Nahiñ... Agar Kuchh Khami Ya Lafzi Galti Nazar Aaye To Admin Se Rabta Kare.*

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Jab Se Balig Hua Be Ilmi Me Sahih Tarah Se Gusl Na Kiya Sirf Nahaya Ho Aysi Soorat Me Padhi Gai Namazoñ Ka Hukm

 *Jab Se Balig Hua Be Ilmi Me Sahih Tarah Se Gusl Na Kiya Sirf Nahaya Ho Aysi Soorat Me Padhi Gai Namazoñ Ka Hukm* *🌹SAWAL:-🌹* اَلسَلامُ ع...

Popular Posts