Sant Kabeer Daas Musalman Tha Ya Nahiñ ?

 *Sant Kabeer Daas Musalman Tha Ya Nahiñ ?*

*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamualaikum 
Hazrat Ki Bargah Me Swal Hai Ki Kabeerdas Jo Ek Hindi Shayr Thy Unhone Huzur Ki Shan Me Kaafi Ache Ashar Likhe Hai ,kya Wo Musalman Thy Kya Unki Tazeem Ki Jaygi Kya Wo Buzurgo Me Se Thy Jawab Inayat Frmay

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Kabeer Daas Ke Ta'alluq Se Jo Kuchh Kaha Ya Suna Usse Yahi Kaha Ja Sakta He Ki Ye Kabeer Daas Ek Sulehkulli Shayar Tha, Yaani Na Musalman, Na Hindu.. Balki Vo Hinduoñ Ko Bhi Achcha Samajhta Tha or Musalmanoñ Ko Bhi Achcha Samajhta Tha Magar Vo Kisi Bhi Mazhab Ke Rusoomat Par Amal Paira Nahiñ Tha, Balki Vo Chahe Hinduoñ Ka Mazhab Ho Ya Musalmanoñ Ka Mazhab Ho Unke Aqaaido Nazariyat W Rusoomat Se Bilkul Aazad Tha, 

Uski Wajah Ye He Ki Uski Maañ Jo Ek Brahman Thi. Jab Ye Paida Huva to Uski Maañ Ne Usko Dariya Ya Nadi Ke Kinare Daal Diya Tha, Vahañ Se Ek Musalman Dhobi Ne Usko Utha Kar Uski Parwarish Ki Thi, Jiski Bina Par Kuchh Sufi Musalmanoñ Ki Bhi Sohbat Use Mili Magar Badahu Ramaanus Jo Ek Hindu Sadhu He Uski Bhi Sohbat Me Kaafi Lambe Arse Tak Raha..

Vo Ek Sulah Kulli Shayar Tha Uska Ek Sher Ye He Ki,
"Hindu Kaho to Me Nahiñ Musalman Bhi Naa Hi,
Paanch Tatw Ka Putla Gaibi Khele Maahi."

Yaani Agar Tum Mujhe Hindu Kaho to Hindu Bhi Nahiñ or Musalman Kaho to Me Musalman Bhi Nahiñ Balki Me to Sirf Paanch Tatw Ka, Paanch Anaasir Ka Mila Huva Ek Insan or Jism Huñ..

To Ye Sab Ash'aar Ye Batate He Ki Ye Musalman Nahiñ Tha... Haañ Logoñ Ne Ye Likha He Ki Vo Tauheed Ka Qaail Tha. Magar Zamana E Risalat ﷺ Ke Baad Rasoole Qainat ﷺ Ke Tashreef Lane Ke Baad Musalman Momin Hone Ke Liye Sirf Tauheed Kaafi Nahiñ Balki Tauheed Ke Sath Sath Risalat Ma'aab ﷺ Ki Gawahi W Ikraar or Aakhirat Wagairah Jo Bunyadi Aqaaid He Usko Mannna Bhi Nihayat Zaroori He.. or in Tamam Aqaaid Ka Vo Paband Tha Is Ta'alluq Se Koi Mustanad Baat Nahiñ Paai Jaati... 

Albatta Ye Zaroor Paya Jata He Ki Usne Hindu Sadhuoñ Ki Bhi Sohbat Ikhtiyar Ki, Musalman Sufi Buzurgoñ Ki Bhi Sohbat Ikhtiyar Ki, or Aakhir Me Vo Ek Aysa Hindi Shayar Ban Kar Ubhra Ki Jisne Sulahkulliyat Ki Bunyad Daali or Apne Aap Ko Yuñ Logoñ Ke Samne Pesh Kiya Ki Me Musalmanoñ Ke Sath Huñ to Musalman, Hinduoñ Ke Sath Huñ to Hundu.. Yaani Me Na Musalman Huñ Na Hindu, Ek Sulahkulli Insan Huñ.. Algaraz Ham Musalmanoñ Ko Chahiye Ki Ham Kulli Taur Par Ye Aqeedah Rakhe Ki Jo Musalman He Vo Musalman or Jo Kafir He Vo Kafir.. Ek Aam Musalman Ke Liye Ye Aqeedah Rakhna Zaroori He..
Wallahu Ta'ala Aa'alam Bis-sawab 
*_🎙 Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Taufiq Raza Sahab Misbahi_*
*📬Tadriso Ifta Darul Uloom Qadriyah Razviyah, Petlad*
*🗓️21 August 2024, 15 Safar 1446*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+9
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
*Amanat Me Khayanat Na Kare Yaani Post Ke Sath Chhedchhad Karne Ki Ijazat Nahiñ... Agar Kuchh Khami Ya Lafzi Galti Nazar Aaye To Admin Se Rabta Kare*

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?*

 *Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?* *🌹SAWAL:-🌹* اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ Jacket Ki Chain K...

Popular Posts