Muh Me Tambaku Khaini Wagairah Rakh Kar Durood Shareef Padhna Kesa?

 *🌹SAWAL:-🌹*
Assalamualaikum 
Muh Me Tambaku Khaini Wagaira Rakkar 

Darood Sharif Padna Kaisa Hai

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Tambaku Ya Khaini Kha Kar Agar Muh Me Badbu Ho to Durood Shareef Ya Koi Wazeefa Nahiñ Karna Chahiye. Or Agar Tambaku Ya Khayni Wagairah Muñh Me He or Boo Na Ho to Durood Shareef Ya Digar Wazaaif Kar Sakte He Magar Bahetar He Saaf Karle.

Jaisa Ki Sarkar Aala Hazrat Alaihir Rahmato Ridwan Taherir Farmate Hai,
Baqadre Zarar W Ehtilaale Hawaas (Paan Tambaku Wagairah) Khana Haram He. Or Is Tarah Ki Muñh Me Boo Aane Lage Makrooh or Agar Thodi Khusoosan Mushk Wagairah Se Khushbu Karke Paan Me Khaye Or Har Baar Kha Ke Kulliyoñ Se Khub Muñh Saaf Karde Ki Boo Aane Na Laye to Khakis Mubah He .

Boo Ki Halat Me Koi Wazeefa Na Karna Chahiye. Muñh Achhi Tarah Saaf Karne Ke Baad Ho or Quraan Azeem to Halate Badbu Me Parhna or Bhi Sakht He. 

Haañ Jab Badbu Na Ho to Durood Shareef W Digar Wazaaif Is Halat Me Bhi Parh Sakte Hai Ki Muñh Me Paan Ya Tambaku Ho Agarche Bahetar Saaf Kar Lena He.

Lekin Quraan Azeem Ki Tilawat Ke Waqt Zaroor Muñh Bilkul Saaf Karleñ. Or Aam Malaaika Ko Tilawat Ki Qudrat Na Di Gai. Jab Musalman Qur'an Parhta He Farishta Uske Muñh Par Muñh Rakh Kar Tilawat Ki Lazzat Leta He Us Waqt Agar Muñh Me Khane Ki Kisi Cheez Ka Lagao He Farishtoñ Ko Eeza (Taklif) Hoti He. اخ 
*📚(Ahkame Shariyat, H-1, S-136, Shabbir Biradarz Lahor)*
Wallahu Ta'ala Aa'alam Bis-sawab 
*✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad*
*🗓️2 Oct 2024, 28 Rabi Ul Awwal 1446*
📲+91
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
*Amanat Me Khayanat Na Kare Yaani Post Ke Sath Chhedchhad Karne Ki Ijazat Nahiñ... Agar Kuchh Khami Ya Lafzi Galti Nazar Aaye To Admin Se Rabta Kare.*

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?*

 *Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?* *🌹SAWAL:-🌹* اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ Jacket Ki Chain K...

Popular Posts