Diwali Par Kuffar Company Se Bonus Lena Kesa ?

 *Diwali Par Kuffar Company Se Bonus Lena Kesa ?*

*🌹SAWAL:-🌹*
Asslamualeikum Hazrat
Diwali Par Milne Bala Bonus Lena Kaisa He?

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Umooman Hindustan Me Diwali Ke Nazdik Company Ke Malikaan Apne Employees Ko Bataure Bonus Kuchh Raqam Ya Extra Salary Dete He, Jiska Musalman Ko Lena Jaaiz W Durust He.. Is Liye Ki Yahañ Ke Kuffar Harbi Hai or Harbi Kafir Ki Taraf Se Jo Maal Unki Raza W Kushi Se Mile Uska Lena Halaal Wa Mubah He, Basharteki Musalman Ki Taraf Se Gadr W Bad Ahdi Na Ho..

Hidaya Me He,
" ان مالهم مباح... فبای طریق أخذہ المسلم أخذ مالاً مباحا إذا لم یکن فیہ غدر"
Yaani Kuffar Ka Maal Mubah He Lihaza Unka Siwaye Dhoka Ke Jis Tareeqe Se Bhi Musalman Ne Le Liya Mubah Maal Liya.
*📚(کتاب البیوع،باب الربا،ج:٣، ص:٨٧ملخصا)*

Raddul Muhtaar Me He,
"لابأس بأن یاخذ منھم أموالهم بطیب أنفسهم بای وجہ کان لأنہ إنما أخذ المباح علی وجہ عری عن الغدر فیکون طیبا لہ"
Yaani Isme Koi Harj Nahiñ Ki Vo (Musalman) Harbiyoñ Ka Maal Unki Razamandi Se Le Kyuñ Ki Usne Maale Mubah Ayse Tareeqa Se Liya Jo Ki Dhoka Se Khali He Lihaza Ye Uske Liye Halaal He.
*📚(کتاب البیوع، باب الربا، ج:٧، ص:٤٢٣)*

Fatawa Razviya Shareef Me He,
Jo Maal Gair Muslim Se Ki Na Zimmi Ho Na Mustaamin Bagair Apni Taraf Se Gadr or Bad Ahdi Ke Mile Use Lena Jaaiz He Agarche Vo Dene Wala Kuchh Kahe Ya Samjhe Ki Uske Liye Uski Niyyat Bahetar He Na Ki Dusre Ki.
*📚(Fatawa Razviya, J-17, S-325)*

Usi Me He,
Kafir Gair Zimmi Ka Maal Bila Gadr Jo Hasil Ho Vo Maale Mubah Samajh Kar Lena Halaal He.
*📚(J-17, S-341)*

Bonus Bhi Vo Apni Khushi Se Dete He Musalman Ki Taraf Se Koi Bad Ahdi Ka Muaamla Nahiñ Hota Lihaza Diwali Wagairah Par Jo Kuffar Ki Company Wagairah Se Bonus Milta He Uska Lena Jaaiz W Mubah He.
Wallahu Ta'ala Aa'alam Bis-sawab
*✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad Gujarat*
*🗓️31 Oct 2024, 27 Rabi Us Saani 1446*
📲+918
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
*Amanat Me Khayanat Na Kare Yaani Post Me Tabdili Karne Ki Ijazat Nahiñ. Agar Kuchh Khami Ya Lafzi Galti Nazar Aaye To Admin Se Rabta Kare*

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?*

 *Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?* *🌹SAWAL:-🌹* اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ Jacket Ki Chain K...

Popular Posts