Gair Muslim Se Hadiya (Gift) Lena Kesa ?*

 *Kafir Se Hadiya (Gift) Lena Kesa ?*

*🌹SAWAL:-🌹*
Hazrat Se Ek Sawal Hai Ki Zaid Ko Kisi Kaafir (Jise Woh Dost Kahta Hai) Ne Gift Diya Aur Usne Gift Accept Kar Liye to Shariyat Ka Kya Hukm Lagenge Zaid Par ?

*🌹JAWAB:-🌹*
اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ
Jo Paise or Samaan Vo (Harbi Kafir) Apni Khushi Se Deñ Usko Lena or Istemaal Karna Jaaiz He. Jabki Koi Zillat Ka Pahlu Na Ho..

Sarkar Aala Hazrat Alaihir Rahmato Ridwan Taherir Farmate Hai,
Bamaslihate Sharaee Ayse (Kafir Ko) Hadiya Dena Jis Me Kisi Rasme Kufr Ka Aezaaz Na Ho, Uska Hadiya Qubool Karna Jis Se Deen Par Aitraaz Na Ho Hatta Ki Kitabiyah Se Nikah Karna Bhi Fee Nafsa Halaal He.
*📚(Fatawa Razviya Mutarjim, J-14, S-420, Mas'ala-182)*
Wallahu Ta'ala Aa'alam Bis-sawab
*✍🏻Al-Jawab: Hazrat Maulana Mufti Faiz Raza Khan Tahesini Mazhari Summa Manzari Sahab Qibla*
*📬Markaze Ahle Sunnat Bareilly Shareef*
*🗓️31 Oct 2024, 27 Rabi Us Saani 1446*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+918
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad Gujrat_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
*Amanat Me Khayanat Na Kare Yaani Post Me Tabdili Karne Ki Ijazat Nahiñ. Agar Kuchh Khami Ya Lafzi Galti Nazar Aaye To Admin Se Rabta Kare*

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Masjid Ke Dusre Floor Par Namaz Padhna Kesa ? Tanha Sunnat Wagairah Padhne Ka Bhi Kya Hukm He?

 *Masjid Ke Dusre Floor Par Namaz Padhna Kesa ? Tanha Sunnat Wagairah Padhne Ka Bhi Kya Hukm He?* *🌹SAWAL:-🌹* Assalamualaikum Wa Rahmatull...

Popular Posts