*Jahañ Shafai Ul Mazhab Ka Koi Aalim Na Ho Wahañ Shafai Mazhab Wale Aami Shakhs Ko Hanfi Mazhab Ki Pairwi Karna Kesa ?*
*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamu Alaikum Hazrat Mai Shafai Hun Mere Walid Aur Mere Dada Sab Shafai Mazhab Se Hain Hanfi Nahi Hain to Mai B Shafai Hi Hun Na Huzur ? Magar Mere Walid Sahab Jab Chhote the Tab Mysore Aagaye Waise Hum Mangalore Me Rehte the Ab Chhuttiyon Me Bas Jaate Hain to Mujhe Shafiyon Ka Tareeqa Kuch B Maloom Nahi Hai Pura Sab Hanfiyon Ki Tarah Se Hi Rehta Hun Pura Hanfiyon Ke Hukum Par Hi Amal Karta Hun to Isme Kya Hukum Hai Huzur Jawab Inayat Farmayen
*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ
Wo Shafai Hai, Albatta Surate Masoola Mei Agar Wo Aise Ilaaqe Mei Ho Jahan Shafiy ul Mazhab Koi Aalim e Deen Maujood Na Ho Aur Ye Khud Koi Aami Shakhs Ho Jo k Apne Mazhab Ke Ta'alluq Se Jaahil Ho(Be-ilm) Aur Agar Hanafiyul Mazhab Saahibe Ilm Wahan Maujood Ho To Usi Ki Pairwi Ki Jaayegi.....
Shah Wali Ullah Sahab Dehelvi Alehir Rehmah Apni Tasneef(Al'insaaf)Mei Likhte Hain:
"Jab Koi Nawaqif Aam Insan Hindustan or Maawara Ul Nahar Ke Shahroñ Me Ho ( Ki Jahañ Mazhabe Hanfi Par Hi Zyada Tar Amal Hota Hai) or Vahañ Koi Shafai, Maliki, or Hambali Aalim Na Ho or Na Un Mazaahib Ki Koi Kitab Ho to Us Waqt Us Par Wajib Hai Ki Imam Abu Haneefa Rahimahullah Ke Mazhab Ki Taqleed Kare or Us Par Haram Hai Ki Hanfi Mazhab Ko Tark Karde, Kyuñ Ki Is Soorat Me (Mazhabe Hanfi Ko Tark Karna) Shariyat Ki Rassi Apni Gardan Se Nikaal Phekna He or Muhmal Wa Bekaar Ban Jaana Hai".
*(Al-insaaf, S-70)*
Wallahu Ta'ala A'alam
*✍🏻Al-Jawab: Hazrat Maulana Mufti Faiz Raza Khan Tahseeni Mazhari Summa Manzari Sahab Qibla*
*📬Markaze Ahle Sunnat Bareilly Shareef*
*🗓️31 Oct 2024, 27 Rabi Us Saani 1446*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad Gujrat_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
*Amanat Me Khayanat Na Kare Yaani Post Me Tabdili Karne Ki Ijazat Nahiñ. Agar Kuchh Khami Ya Lafzi Galti Nazar Aaye To Admin Se Rabta Kare*
No comments:
Post a Comment