*Kafir Ki Haram Kamaai Ki Raqam Se Khana Pina Ya Tohfa Lena Kesa ?*
*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamualaikum, Kya Aysa Kafir Jiski Kamaai Haram Ki Satta Ya Sharab Ki Ho Aur Ayse Hi Sood Leta Ho to Un Logoñ Ke Paiso Se Tohfa Lena Ya Kuchh Khana Pina Kesa ?
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ
اللهم هداية الحق والصواب
Awlan Hamare Nazdeek Jo Haram He Vo Kafir Ke Yahañ Halal or Usne Us Maal Ke Zariya Musalman Ko Jo Kuchh Tohfa Diya Ya Kuchh Khane Ko Diya Musalman Usko Istemaal Me Laa Sakta He Kyuñ Ki Kaafir Furu'a Ka Mukallaf Nahiñ or Isi Tarah Ka Hukm Uske Soodi Paise Ka He.
Chunanche Imame Ahle Sunnat Aala Hazrat Imam Ahmad Raza Qudassirrahu Farmate Hai,
Hunood Jo Apne Ma'abudaane Baatil Ko Zabeeha Ke Siwa or Qism Ta'aam W Shirni Wagairah Charhate Hai or Use Bhog Ya Prashad Naam Rakhte Hai Uska Khana Shar'an Halaal He Ya Nahiñ ? Uske Jawab Me Tahreer Farmate Hai: Halaal He لعدم المحرم (Hurmat Ki Daleel Na Hone Ki Wajah Se) Magar Musalman Ko Ehteraz Chahiye لخبث النسبۃ (Nisbat Ki Khabaasat Ki Wajah Se)..اھ
*📚(Fatawa Razviya Mutarjim, J-21, S-607, Mas'ala-198)*
Wallahu Ta'ala Aa'alam
*✍🏻Al-Jawab: Hazrat Maulana Mufti Faiz Raza Khan Tahesini Mazhari Summa Manzari Sahab Qibla*
*📬Markaze Ahle Sunnat Bareilly Shareef*
*🗓️2 Nov 2024, 29 Rabi Us Saani 1446*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+91
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad Gujrat_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
*Amanat Me Khayanat Na Kare Yaani Post Me Tabdili Karne Ki Ijazat Nahiñ. Agar Kuchh Khami Ya Lafzi Galti Nazar Aaye To Admin Se Rabta Kare*
No comments:
Post a Comment