*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamualaikum Hazrat,
Kachchi Muli Aur Pyaz Khana Kaysa Hain Jawab Farmaye
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ
Muli Piyaz Kha Sakte Hain,
Haañ Usko Kha Kar Muñh Μe Badbu Baaki Ho to Masjid Me Jana Haram Aur Usi Halat Me Namaz Padhna Makrooh Hai Lihaza Agr Kha Liya Jaye to Ahetiyat Ye Kare Ki Muñh Se Badbu Dur Kar Leñ.
Huzur Sadrushshariyah Alaihir rahma tahreer farmate hai,
Kachcha Lahsun, Pyaz Khana Makrooh He Or Khane Ke Baad Jab Tak Boo Baqi He, Masjid Me Jana Mana'a He Or Agar Waqt Me Gunjaish Ho, To Namaz Me Bhi Takhir Kare, Warna Badarja Majboori Parhle. Yuñhi Jab Tak Boo Baaqi Ho, Tilawat Bhi Makrooh He Or Wajah Sabki Ye He Ki Isse Farishtoñ Ko Eeza Hoti He.
*📚(Fatawa Amjadiya, J-4, S-149,150)*
Or Sarkar Aala Hazrat Alaihir Rahmato Ridwan Farmate Hai,
"Muñh Me Badbu Hone Ki Halat Me Namaz Makrooh Hogi Aur Aysi Halat Me Masjid Me Jana Haram Hai Jab Tak Muñh Saaf Na Karle.. Aur Dusre Namazi Ko Iza Pahunchani Haram. Aur Dusra Namazi Na Bhi Ho To Bad Bu Se Malaaika Ko Iza Pahunchti Hai.
*📚(Fatawa Razviya, Jild 7, Safha-384)*
Wallahu Ta'ala Aa'alam Bis-Sawab
*✍🏻Al-Jawab: Hazrat Maulana Ashraf Qadri Alimi Sahab*
*📬Madarsa Lateeful Uloom, Raza Nagar, Jigna, Mirzapur, Up*
*🗓️15 Nov 2024, 11 Jamdi Ul Awwal 1446*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+918487928693
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad Gujrat_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
*Amanat Me Khayanat Na Kare Yaani Post Me Tabdili Karne Ki Ijazat Nahiñ. Agar Kuchh Khami Ya Lafzi Galti Nazar Aaye To Admin Se Rabta Kare*
No comments:
Post a Comment