Qabr Ke Upar Masjid Banana Or Namaz Parhna Kesa ?

 *Qabr Ke Upar Masjid Banana Or Namaz Parhna Kesa ?*

*🌹SAWAL:-🌹*
Kya Farmate Hai Aulma E Kiram W Muftiyane Islam Darj Zail Mas'ala Me Ki,
Ek Jagah Do Qabr Maujud Thi or Vo Jagah Unhiñ Qabr Waloñ Ki Thi Ab Unke Bachche Jo Is Waqt Us Zameen Ke Waris W Maalik Hai Us Jagah Masjid Bana Diye Hai, Masjid  Banane Se Pahle Vo Jagah Jahañ Masjid Banaai Gai He Vahañ Ki Aam Zameenoñ Se Niche Thi Is Liye Unlogoñ Ne Pilar De Kar Chhat Qaaim Kiya Jis Se Vo Zameen Aam Zameenoñ Ke Barabar Ho Gai or Niche Se Qabr Tak Jaane Ke Ke Liye Rasta Bhi He Uske Upar Chhat Par Masjid Banai Gai Magar Qabr Jis Jagah Maujud Thi Uske Thik Upar Koi Ihaata Nahiñ Kiya Gaya Balki Uspar Bhi Namaz Hoti He Ab Gaanw Ke Log Ye Janna Chahte Hai Ki Kya Is Tarah Masjid Banana Durust He ? Or Us Khas Qabr Wali Jagah Ke Upar (Chhat Par) Namaz Parh Sakte Hai Ya Nahiñ ? Ya Us Khas Qabr Wali Jagah Jo Chhat Par Aa Rahi He Usko Gher Diya Jaye or Baaqi Jaghoñ Par Namaz Parhi Jayegi ? Mukammal Wazahat Farma Kar Rahenumai Farmayeñ, Nawazish Hogi.

*🌹JAWAB:-🌹*
بسم اللہ الرحمن الرحیم 
Soorate Mas'oola Me Agar Koi Pilar Khas Qabr Par Nasab Ho to Is Tarah Masjid Banana or Us Me Namaz Parhna Jaaiz  Nahiñ Ki Usme Mayyat Ko Eeza He or Musalman Ki Eeza Bahaalate Hayaat Ya Ba'ade Maut Bahar Soorat Haram W Gunah He, or Agar Koi Pilar Khas Qabr Par Nasab Na Ho Balki Hudoode Maqbarah Ke Baahar Nasab Ho to Is Tarah Masjid Banane or Usme Namaz Parhne Me Harj Nahiñ, Is Soorat Me Khas Qabr Ke Upar Chhat Par Bila Kharaahat Namaz Jaaiz He Use Gherne Ki Kuchh Haajat Nahiñ..

Fatawa Hindiya Me He,
يكره ان يبنى على القبر
*📚[كتاب الصلاة، الباب الحادي والعشرون ، ج:۱، ص: ۲۲۷]*

Aala Hazrat Imam Ahmad Raza Qudassirrahu Raqam Taraaz Hai,
Agar (Zameen) Uski Apni Milk He to Is Tarah Masaqqat Karna Ki Diwar Ya Paya Ayn Kis Qabr Par Nasab Ho Jaaiz Nahiñ Ki Us Zameen Me Mayyat Ki Eeza He or Musalman Ki Eeza Haiyyan Ho Ya Maiyytan Har Tarah Haram He,
قال النبي صلى الله تعالى عليه وسلم انزل من هذا القبر لا تؤذى صاحب القبر ولا يؤذيك ، وفی حدیث عبد الله بن مسعود رضی الله تعالى عنہ انى اكره اذى المسلم في مماته كما اكره اذاه في حياته
*📚(Fatawa Razviya Qadeem, Kitabul Waqaf Baabul Masjid, J-6, S-491)*

Aala Hazrat Imam Ahmad Raza Qudassirrahu Qabrastan Par Chhat Daal Kar Us Ko Masjid Banane Ke Muta'alliq Ek Sawal Ke Jawab Me Tahreer Farmate Hai,
Masjid Qadeem Lab Maqbarah Waqe'a He Ye Beroone Hudood Maqbarah Sutoon Qaaim Karke Upar Kaafi Balandi Par Paat Kar Chhat Ko Sahne Masjid Se Mila Kar Masjid Kar Dena Chahta He Is Tarah Ki Zameene Maqbarah Na Roke, Na Usme Dafn Mauta Karne or Uski Garz Se Logoñ Ke Aane Jane Ki Raah Ruke, Na Us Chhat Ke Sutoon Quboore Muslimeen Par Waqe'a Hoñ Balki Hudoode Maqbarah Se Bahar Hoñ to Isme Harj Nahiñ Jabki Vo Zameen Jisme Sutoon Qaaim Kiye Gaye Muta'alliqe Masjid Ho or Kaar Rawaai Ahle Muhalla Ki Ya Unke Izn Se Ho Ya Vo Zameen Us Saqaf Ya Kisi Dusre Musalman Ki Milk Ho or Maalik Use Har Kaam Ke Liye Waqaf Karde Ya Vo Zameen Uftaada Baytul Maal Ki Ho or Usme Kaar Rawaai Se Musalmanoñ Ke Raaste Wagairah Ko Zarar Na Ho Ki in Haalatoñ Me Usne Koi Beja Tasarruf Na Kiya, Na Uski Zameen Ko Kisi Dusre Kaam Me Sarf Kiya, Sirf Balaai Hawa Me Ki Na Mauquf Thi Na Mamlook, Ek Tasarruf Gair Muzr Nafa'e Muslimeen Ke Liye Kiya, or Yahiñ Se Zaahir Ho Gaya Ki Vo Saqaf Bhi Masjid Ho Jayegi or Usme Namazi Ko Sawabe Masjid Milega or Uske Niche Qabreñ Hona Is Bina Par Ki Hamare Aulma Ne Qabroñ Ke Satahe Baalaai Ko Haqqe Mayyat Likha He Hargiz Maane'a Masjidiyat Na Hoga.
*📚(Ayzan, S-399,400)*

Sadrushshariyah Mufti Amjad Ali Aazmi Alaihir Rahma Raqam Farmate Hai,
Qabr Par Masjid Ki Diwareñ Uthana Jaaiz Nahiñ, Hadees Me He: "ولا يبنی علیہ" or Qabr Ko Bazaroorat Masjid Me Dakhil Kar Sakte Hai Magar Is Tarah Ki Qabr Ke Aas Paas Diwar Utha Leñ Itni K Diwaareñ Qabr Se Unchi Ho Jayeñ Phir Chhat Paat Leñ Ki Qabr Ba Jinsa Tah Khana Me Rahe or Chhat Masjid Ke Kaam Me Aaye or Ye Bhi Us Waqt Kar Sakte Hai Ki Jab Vo Waqfi Qabrastan Me Na Ho.
*📚(Fatawa Amjadiya, J-3, S-19)*
Wallahu Ta'ala Aa'alam 

*_✅Qad Sahhal Jawab, Wallahu Ta'ala Aa'alam Bis-sawab_*
*Abul Akhtar (Hazrat Allama Mufti) Mushtaq Ahmad Amjadi Gufralahu*
*📬Khadim: Azhari Darul Ifta, Nasik, Maharashtra*

*✍🏻Al-Jawab: (Hazrat) Mahfoozur Rahman Amjadi Sahab*
*📬Al-Mukhtasas Fil Fiqhul Hanfi Imam Ahmad Raza Learning and Research Centre, Nasik*
*🗓️26 Oct 2024, 22 Rabi Ul Gaus 1446*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+918487928693
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad Gujrat_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
*Amanat Me Khayanat Na Kare Yaani Post Me Tabdili Karne Ki Ijazat Nahiñ. Agar Kuchh Khami Ya Lafzi Galti Nazar Aaye To Admin Se Rabta Kare*

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?*

 *Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?* *🌹SAWAL:-🌹* اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ Jacket Ki Chain K...

Popular Posts