*Kisi Ke Liye Marne Ki Duaa Karna Kesa ?*
*🌹SAWAL:-🌹*
Asslamu Alaikum Mera Sawal Hai Ki,
Kuch Log Kisi Ki Marne Duva Karte Hai Allah Ki Bargah Me Ki Falah Mar Jaye Falah Ko Ye Ho Jaye Halaki Wo Momin Hai Jiski Marne Ki Dua Ho Rhi He Wo
Aisa Kehna Kaisa ?
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ
Momin Ke Liye Marne Ki Dua Jaaiz Nahiñ, Ki Agar Vo Nek or Parhezgaar Hoga to or Neki Karega or Agar Gunahgar He to Isi Zindagi Me Taubah Ki Ummid He...
Rasoolallah ﷺ Ne Irshad Farmaya,
لَا یَتَمَنَّیَنَّ اَحَدٌ مِّنْکُمُ الْمَوْتَ اِمَّا مُحْسِنًا فَلَعَلَّہٗ اَنْ یَّزْدَادَخَیْرًاوَاِمَّا مُسِیْئًا فَلَعَلَّہٗ اَنْ یَّسْتَعْتِبَ..
Yaani Tum Me Se Koi Maut Ki Tamanna Hargiz Na Kare (Kyuñ Ki) Ya to Vo Nekokaar Hoga to Shayad Vo Nekiyañ Barhaye Ya Vo Gunahgar Hoga to Shayad Vo Taubah Karle.
*📚(Nasaai Shareef, S-311, Hadees-1815)*
Mufassire Qur'an, Hakeemul Ummat Hazrat Allama Mufti Ahmad Yaar Khan Naeemi Alaihir Rahma Farmate Hai,
Momin Ki Zindagi Baharhaal Achchi He Kyuñ Ki Aamal Isi Me Ho Sakte Hai, Mazeed Farmate Hai: Zindagi Ka Zamana Tukhm (Beej) Bone Ka Zamana He Jo Boye Ga, Aage Chal Kar Kaatega, Badkaar Agar Taubah Karega to Isi Zindagi Me, Nek Kaar Nekiyañ Barhayega to Isi Zindagi Me..
*📚(Mir'aatul Manajeeh, J-2, S-436)*
Momin Ka Taweel Umr Paana or Usme Nek Amal Karna Baise Sa'aadat He, Chunanche Hadeese Paak Me He:
وَاِنَّ مِنَ السَّعَادَةِ اَنْ يَطُوْلَ عُمْرُ الْعَبْدِ وَيَرْزُقَہُ اللہ الْاِنَابَةَ
Yaani Nek Bakhti Me Se Ye He Ki Bande Ki Umr Taweel Ho or Allah Ta'ala Use (Apni Taraf) Ruju'a Karna Naseeb Kare.
*📚(Musnad Ahmad, J-5, S-87, Hadees-14570)*
Raisul Mutakallimeen, Walide Huzur Huzur Aala Hazrat, Hazrat Allama Mufti Naqi Ali Khan Alaihir Rahmato Ridwan Farmate Hai,
Be Garze Sharaee Kisi Ke Marne or Kharabi Ki Dua Na Maange Huzure Aqdas ﷺ Farmate Hai,
إذا سمعتم الرجل يقول هلك الناس فهو أهلكهم.
Jab Sunoñ Tum Kisi Mard Ko Ki Kahta He Log Halaak Hoñ to Vo Sab Se Zyada Halaak Hone Wala He.
*📚("المسند" للإمام أحمد بن حنبل، الحديث: ٧٦٨٩، ج ۳، ص ۱۰۲.)*
Hadees Shareef Me He: Ek Sharabi Ko Huzure Aqdas ﷺ Ke Paas Hazir Laaye Huzur Ne Had Maarne Ka Hukm Diya Koi Uske Dhaul Marta (Yaani Thappad Lagata), Koi Jute, Farmaya: "Uski Malamat Karo". Kisi Ne Kaha: Tujhko Khuda Ka Khauf Na Aaya, Kisi Ne Kaha: Tu Rasool ﷺ Se Na Sharmaya, Ek Ne Kaha: "Khuda Tujhe Khwar Kare". Farmaya: Ye Na Kaho Balki Kaho:
اللَّهُمَّ اغْفِر لَهٗ اللَّهُمَّ ارْحَمْهُ
"Khudaya! Usko Bakhsh De, Khudaya! Us Par Raham Farma.."
*📚(سنن أبي داود، باب في الحد في الخمر الحديث: ٤٤٧٧ -٤٤٧٨ ، ج-٤ ، ص٢١٦-٢١٧.)*
Haañ Agar Kisi Kafir Ke Imaan Na Laane Par Yaqeen Ya Zanne Galib Ho or Jeene Se Deen Ka Nuqsan Ho Ya Kisi Zalim Se Ummide Taubah or Tarke Zulm Ki Na Ho or Uska Marna, Tabah Hona Khalq Ke Haq Me Mufeed Ho, Ayse Shakhs Par Bad Duaa Durust He..
Saiyeduna Nooh Alaihis Salam Ne Jab Dekha Ki Qaum Ke Sarkash Apne Kufro Inaad Se Baaz Na Aayeñge or Wadd, W Suwa'a, W Yagoos, W Nasr Ko Na Chhodege, Janaabe Ilahi Me Arz Ki,
وَ قَالَ نُوۡحٌ رَّبِّ لَا تَذَرۡ عَلَی الۡاَرۡضِ مِنَ الۡکٰفِرِیۡنَ دَیَّارًا
Or Nooh Ne Arz Ki, Khudaya Zameen Par Kafiroñ Me Se Koi Ghar Wala Na Chhor.
*📚(Parah-29, Surah Nooh, Aayat-26)*
Isi Tarah Hazrat Saiyeduna Moosa Alaihis Salam Ne Qibtiyoñ (Fir'aonyoñ) Par Duaa Ki,
رَبَّنَا اطۡمِسۡ عَلٰۤی اَمۡوَالِہِمۡ وَ اشۡدُدۡ عَلٰی قُلُوۡبِہِمۡ فَلَا یُؤۡمِنُوۡا حَتّٰی یَرَوُا الۡعَذَابَ الۡاَلِیۡمَ
Khudaya Un Ke Maal Mita De or Unke Diloñ Par Sakhti Kar Ki Vo Imaan Na Laayeñ Jab Tak Dardnaak Azaab Na Dekheñ.
*📚(Parah-11, Surah Yunus, Aayat-88)*
*📚(أحسن الوعاء لآداب الدعاء*
*مصنف : رئيس المتكلمين مولانا نقى على خان عليه رحمة الرحمن*
*مع ذيل المدعاء لأحسن الوعاء*
*شارح: اعلیٰ حضرت امام اهلسنت امام احمد رضا خان عليه رحمة الرحمن کی تسهیل و تخریج)*
*📚 Mulakhkhsan: (Fazaile Dua, S-181 Ta 188, )*
Wallahu Ta'ala Aa'alam Bis-sawab
*✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad Gujarat*
*🗓️15 Dec 2024, 12 Jamadi Ul Aakhir 1446*
📲+91
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
*Amanat Me Khayanat Na Kare Yaani Post Me Tabdili Karne Ki Ijazat Nahiñ. Agar Kuchh Khami Ya Lafzi Galti Nazar Aaye To Admin Se Rabta Kare*
No comments:
Post a Comment