*Chacha Chahi Ko Abbu Ya Ammi Kahna Ya Sauteli Maañ Ko Maañ Kahne Kesa ?*
*🌹SAWAL:-🌹*
Hazrat Ek Suwal Puchna Tha Ke
Zaid Ki Ammi Ka Inteqal Ho Gaya Tha Jab Wo 2 Saal Ka Tha
To Uski Parwarish Uski Badi Ammi Ne Ki Use Pala
To Puchna Ye Tha Ke Kya Zaid Badi Ammi Aur Bade Abbu Ko
Ammi Abbu Keh Kar Pukar Sakta Hai Kya? Jabke Raj'at Wagaira Ka Bhi Koi Muamla Nahi Hai Sirf Palne Ki Wajah Se Ammi Abbu Kehna Jayiz Hoga?
Q 2: Aur Sauteli Maa Ko Ammi Kehna Kaisa Hai?
Hamne Kahi Suna Tha Ke Ammi Abbu K Alawa Kisi Aur Ko Ammi Abbu Nhi Keh Sakte Haraam Hai
Aur Kehne Wale Aur Kahelwane Wale Dono Par Jannat Haraam Hogi
Hazrat Is Muamle Me Islah Farma De Plz
*🌹JAWAB:-🌹*
اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ
Kisi Aur Ko Baap Kehna Ya Kisi Aur Ko Maa Kehna Yani Apni Nisbat Apne Baap Ke Alawa Kisi Aur Ki Taraf Karna Ye Us Waqt Mana'a He Jab Apne Haqeeqi Baap Ki Nisbat Ka Inkaar Karde or Apni Nisbat Kisi Dusre Ki Taraf Kare Tab Ye Mana'a Hoga.. Or Isi Ke Ta'alluq Se Hadees Shareef Me Sakht Waeed Aai Ki Us Par Jannat Haraam Hone Ke Baare Me Kaha Gaya,
Hadees Shareef Me Hazrate Sa'ad Radiallahu Ta'ala Anhu Se Marwi He,
قال سمعت النبي صلى الله عليه وسلم، يقول: «من ادعى إلى غير أبيه، وهو يعلم أنه غير أبيه، فالجنة عليه حرام»
*📚(الصحیح للبخاری، کتاب الفرائض، باب من ادعی إلی غیر أبیه، حديث: 6766، ج: 4/ص: 1885).*
Lekin Jahañ Urfe Aam Me Chacha Ko Bhi Baap Kaha Jata He Ya Bade Abba Kaha Jata He, Yuñhi Chachi Ko Bhi Badi Ammi Kah Kar Pukara Jata He, Yuñ Hi Dudh Pilane Waali daya Ko Bhi Maa Keh Kar Bulaya Jata He, or Hamare Muaashra Me Shadi Karke Aai Hui Ladki Bhi Apne Sasur Ko Abba or Apni Saas Ko Ammi Kahti He to Ye Jaaiz He, Urfe Aam Me Yahi Mut'aaraf He, or Arbi Zaban Me Bataure Muhavra Raaij He..
Qur'ane Paak Me Bhi or Hadees Shareef Me Bhi Uski Wazahateñ or Arbi Muhavre Me Uski Bahut Saari Misaale Maujud He,
Maslan Hazrate Ibraahim Alaihis Salato Tasleem Ne Apne Chacha Aazar Ko Jo Nasihat Farmaai Thi, Is Ta'alluq Se Allah Tabarak W Ta'ala Ne Qur'aan Majeed Me Irshad Farmaya,
اِذْ قَالَ اِبْرٰهِیْمُ لِاَبِیْهِ اٰزَرَ اَتَتَّخِذُ اَصْنَامًا اٰلِهَةًۚ-اِنِّیْۤ اَرٰىكَ وَ قَوْمَكَ فِیْ ضَلٰلٍ مُّبِیْنٍ(74)
Tarjama E Kanzul Imaam:
Or Yaad Karo Jab Ibraahim Ne Apne Baap Aazar Se Kaha Kya Tum Butoñ Ko Khuda Banate Ho Beshak Me Tumheñ or Tumhari Qaum Ko Khuli Gumrahi Me Paata Huñ.
*📚(Surah Al-An'aam, Aayat-74)*
Or Ye Baat Shawaahid Se Sabit Shuda He, Ki Hazrate Ibraahim Alaihis Salato Tasleem Ke Baap Taarikh the, Aazar Nahiñ the, Is Aayate Kareema Me Bhi Hazrate Ibraahim Ne Apne Chacha Aazar Ko Baap Kah Kar Pukara, to Ye Arbi Muhavre Me Raaij He..
Yuñ hi dusri aayat bhi mulahaza kare.Allah farmaya hai...
وَٱتَّبَعْتُ مِلَّةَ ءَابَآءِىٓ إِبْرَٰهِيمَ وَإِسْحَٰقَ وَيَعْقُوبَ ۚ مَا كَانَ لَنَآ أَن نُّشْرِكَ بِٱللَّهِ مِن شَىْءٍۢ ۚ
*📚[سورۃ یوسف: 38]*
Hazrate Yusuf Ne Kaha Me Apne Baap Dada Ke Deen Ka Paband Huñ, Yaani Ibrahim, Is'haak or Yaqoob Ke Deen Ka, Hame Hargiz Ye Sazawar Nahiñ Ke Ham Allah Tabarak W Ta'ala Ke Sath Kisi Ko Bhi Shareek Kareñ..
Is Aayat Me Bhi Is'haak Alaihis Salam Yusuf Alaihis Salam Ke Dada He Fir Bhi Un Par "Ab" Ka Lafz Bola Gaya...
Hazrate Yaqoob Alaihis Salam Ne Apne Betoñ Se Puchha Tha
”ما تعبدون من بعدی"
Tum Mere Baad Kis Ki Ibadat Karoge ? Unhoñ Ne Jawab Diya,
نَعْبُدُ اِلٰهَكَ وَ اِلٰهَ اٰبَآىٕكَ اِبْرٰهیمَ وَ اِسْمٰعِیْلَ وَ اِسْحٰقَ اِلٰهًا وَّاحِدًاۖ-ۚ وَّ نَحْنُ لَه مُسْلِمُوْنَ
Aapke Ma'abood Ki or Aapke Aaba W Ajdaad Ibraahim Alaihis Salam or Ismaail Alaihis Salam or Is'haaq Alaihis Salam Ke Ma'abood Ki Jo Ma'abood Ek Hi He or Ham Usi Ke Farmañ Bardaar Raheñge.
*📚(Surah Baqrah, Aayat-133)*
Ismaail Alaihis Salam Hazrate Yaqoob Alaihis Salam Ke Chacha He Un Par Bhi "اب" (Ab) Ka Lafz Bola Gaya He..
Or Ham Dekhte Hai Ki Haqeeqi Maañ Ke Alawa Bhi dudh pilane Vali aurat ke liye bhi Maañ Ka Lafz Bola Jata He, Jaisa Ki Qur'aan Azeem Me Maharrumaat Ka Bayan He,
وَأُمَّهتكم الّٰتِیۡۤ اَرۡضَعۡنَکُم
Vo Maayeñ Bhi Tum Par Haraam Hai Jinhoñne Tum Ko Dudh Pilaya.
*📚(Surah Nisaa, Aayat-23)*
Is Aayat Me Haqeeqi Maañ Ke Alawa Usko Bhi Maañ Kaha Gaya He Jisne Bachche Ko Dudh Pilaya Ho.
Or Hadeese Paak Me Aata He, Ki Fatah Makka Ke Mauqa'a Par Jab Huzur ﷺ Ne Hazrate Hamza Radiallahu Anhu Ki Beti Hazrat Ja'afar Radiallahu Anhu Ke Hawale Ki, to Aap ﷺ Ne Irshad Farmaya:
“الخالة بمنزلة الأم”.
Jo Khala Hoti He Vo Maañ Ke Qaaim Maqam Hoti He.
*📚(Bukhari, Hadees-4251)*
Hazrat Ja'afar Radiallahu Anhu Ke Ghar Us Ladki Ki Khala Thi.. Is Bina Par Khala Ko Bhi Maañ Ka Darja Diya Gaya He..
In Aayate Mubaraka Or Hadise Mubaraka Se Ye Baat Azhar Minash Shams Hoti He Ki Jis Shakhs Ki Taraf Baap Ki Nisbat Urfi Ho or Ye Mash'hooro Ma'aroof Ho Ki Ye Fulañ Hi Ka Beta He, Muaashre Ki Bina Par Chacha Ko Bade Abba, Chachi Ko Bade Ammi Ya Ammi Ya Khala Ko Ammi Ya Dudh Pilaai Daaya Ko Maañ, Yuñ Hi Bahu Apne Sasur Ko Abba, Saas Ko Maañ Ya Sauteli Maañ Ko Bhi Maañ Kehte He to Ye Urfe Aam Me Jaaiz W Durust He...
Wallahu Ta'ala Aa'alam Bis-sawab
*_🎙 Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Taufiq Raza Sahab Misbahi_*
*📬Tadriso Ifta Darul Uloom Qadriyah Razviyah, Petlad*
*🗓️14 Dec 2024, 11 Jamadi Us Saani 1446*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+9
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad Gujrat_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
*Amanat Me Khayanat Na Kare Yaani Post Me Tabdili Karne Ki Ijazat Nahiñ. Agar Kuchh Khami Ya Lafzi Galti Nazar Aaye To Admin Se Rabta Kare*
No comments:
Post a Comment