Namaz Ke Baad Peshani Par Hath Rakh Kar Istigfaar Padhna Kesa ?

 *Namaz Ke Baad Peshani Par Hath Rakh Kar Istigfaar Padhna Kesa ?*

*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamualaikum Warahmatullahi Wa Barakathu
Name: Md Imtiyaz
Sawal: Maine Dekha Hai Farz Namaz Ke Baad Bohot Se Log Peshani Pr Daya(Right) Hath Rakh Kr *Astagfirullah* Padhte Hai....ye Amal Kaha Se Sabit Hai? Hadees Me Kya Aaya Hai Iske Bare Me ? Ye Karna Sahi Bhi Hai Ya Nhi?..... Jald Jawab Ki Guzarish Hai...

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Ahaadise Mubaraka Ke Andar Is Tareeqe Ka Koi Wazeh Taur Se Amal to Nahiñ Aaya He, Albatta Ahaadis Me Ba'ade Namaz Huzur ﷺ Ne Istagfaar Kiya or Allah Ke Rasool ﷺ Ne, رَبَّنَاۤ اٰتِنَا فِی الدُّنْیَا.. Wagairah Ki Duaye Padhi He, Ayse Hi Farz Namaz Ke Baad Jo Duaaye Padhi Jati He Vo Sab Kar Sakte Hai, Aur Ye Hamare Buzurgoñ Se Amal Sabit He Ki, Peshani Par Hath Rakh Kar Ke "Ya Qawiyyu Ya Hafeezo" Padh Kar Ke Dam Kiya Jata He, Isse Zahan Qawi Hota He, or Haafize Ki Mazbooti Paida Hoti He, Amaliyat Ki Kitaboñ Me Ye Tamam Baateñ Maujud He... 

Raha Istagfaar to Istagfaar Sar Par Hath Rakh Karke Kare Ya Ayse Hi Kare Ki Ye to Qur'aan Majeed Se Bhi Sabit He, Jaisa Ki Surah Noor Ke Andar Allah Tabarak W Ta'ala Ka Farman He Ki Jab Nooh Alaihis Salato Salam Ne Apni Qaum Ke Baare Me Rab Ki Bargah Me Kaha to Allah Tabarak W Ta'ala Ne Unheñ Yahi Kaha Ki Apni Qaum Se Kaho Ki Istagfaar Kare...

Allah Farmata He,
فَقُلۡتُ اسۡتَغۡفِرُوۡا رَبَّکُمۡ ؕ اِنَّہٗ کَانَ غَفَّارًا
Nooh Alaihis Salam Farmate Hai, Mai Ne Apni Qaum Se Kaha Ki Ay Meri Qaum ! Tum Allah Ki Bargah Me Istagfaar Karo, Magfirat Talab Karo, Gunahoñ Ki Bakhshish Chaho... 

Istagfaar Karna Ye Qur'an Se Bhi Sabit He or Ahaadis Me Bhi He Ki Banda Kam Az Kam Din Me 70 Martaba Apne Rab Ki Bargah Me Istigfaar Padhe... Ye Amaliyat Kitabul Aliyah Ke Andar khud Imam Saiyeduna Sultanul Muhaddiseen Muhammad Bin Ali, Al-Ma'aroof Mulla Ali Qari Rahematullah Alaihi Ne Bhi Isko Zikr Farmaya, or Bahut Se Buzurgoñ Ne Bhi Isko Zikr Farmaya, to Ye to Bilkul Sabit He Ki Namaz Ke Baad Istigfaar Kiya Jaye, Subah Me Istigfaar Kiya Jaye, Isi Tarah Ahaadis Me Ye Bhi Aaya Ki Allah Ke Rasool ﷺ Ne Irshad Farmaya Jo Fajr Ki Sunnat or Farz Ke Darmiyan "Subhanallahi Wabi Hamdihi, Subhanallahil Azeem, Wabi Hamdihi Astagfirullah" Padhle to Allah Ta'ala Use Pure Din Tamam Gamoñ Se Mahfooz Rakhega or Tamam Kaam Uske Liye Aasan Ho Jayega. Isme Bhi Istagfaar He...
Wallahu Ta'ala Aa'alam Bis-Sawab
*🎙️Al-Jawab: Hazrat Mufti Salman Raza Mustafai Sahab*
*📬Jamia Madinatul Uloom Ratanpur Kheda Gujrat*
*🗓️1 Dec 2024, 28 Jamadi Ul Awwal 1446*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+91
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad Gujrat_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
*Amanat Me Khayanat Na Kare Yaani Post Me Tabdili Karne Ki Ijazat Nahiñ. Agar Kuchh Khami Ya Lafzi Galti Nazar Aaye To Admin Se Rabta Kare*

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?*

 *Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?* *🌹SAWAL:-🌹* اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ Jacket Ki Chain K...

Popular Posts